It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Tum Sehra Simatt Mujhe Janay Do...! within the withlove forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; Haan eid aayeee hum ne dekha chahyee khusi ... ghum ne dekha per apnay liye itna hi hua lipta dukh ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
![]() Haan eid aayeee hum ne dekha chahyee khusi ... ghum ne dekha per apnay liye itna hi hua lipta dukh kuch aur roya haan sach hi kehtay ho tum bhi ghum ka bojh her waqt hi kya per mujh ko eid se door rakho khushiyo'n se mera rabbt hi kya tum chahay mujhe pagal samjho tum chahay kaho deewana hai tum sehra simat mujhe janay do haan dekho aaj bahana hai aaj sab ke dil hi khatay hein jo khushiyo'n ka ik dhoka hai per apna her ik rasta aaj ghumo'n ne barh ker roka hai aaj sab ke pyaray miltay hein aaj jhoomta hua zamana hai aaj sab hi mujh se ghafil hein aaj her koi dekh begana hai tum sehra simat mujhe janay do haan dekho aaj bahana hai tum samjhay ho na samjho gay tum hairaa'n hi reh jao gay bitha ker pehloo main humko tum ghum ko pass bithao gay tum mujh ko nahaq rokay ho kab rukta hai jisay jana hai tum sehra simaat mujhe janay do haan dekho aaj bahana hai chalo tum ko sabab batlatay hein haan jo kuch bhi, sunatay hein tum parkho dard-e-dil ko, hum kamal-e-zabt aazmatay hein 2 pal ka apna jeewan hai bus 2 pal ka afsana hai tum sehra simat mujhe janay do haan dekho aaj bahana hai gar eido'n ki tum baat kero gay aankhen bheegen phir na kaho gay qatra qatra hum to jalen gay lamha lamha tum na jalo gay le ker chalen gay uss ke sheher mein loat aao gay wahan na raho gay raakh ho jayen gi bujh ker aankhen ghum na kero gay hastay raho gay haan uski judai ki babat kahen gay tum na roa gay wada kero gay apni zindagi bus 2 pal ik aaj hua to ik wo kal kal soraj sukh lutata tha kal chanda dukh le jata tha kal eide'n thi shab raaten thi kal khushiyo'n ki sab baaten thi kal wo tha aur ye rastay thay hum hastay gatay bastay thay wo mann mein yun muskata tha jaisay chori dil churata tha jaisay chamkay barf paharo'n per wo yun roshan ho jata tha jaisay chanda basay in taron mein wo aisay ghum ke maron mein jaisay shama jalay parwano mien wo roshan dil ke khano mein jaisay koi gilla na zamanay se jaisay mehboob mila deewane se jaisay dil ki dharkan zaroori ho jaisay khushboo gul ki majboori ho wo maseeha, mein ghum ka mara main uska wo mera pyara sab dard chun ker daman se mere wo dheeray se muskata tha meri eid ka chand wohi to tha main uss sung eid manata tha mere liye kya kya na tha wo sab kuch tha, khuda na tha phir ik rutt aaisi aayee thi khizaa'n pe lali chayee thi sab phool bhi murjhye thay bahar bohat itrai thi bhais badal ker khushion ka judai milnay aaye thi eid ki meri sab khushiyaa'n janay kahan beech aayee thi ik aansoo tapka yad hai bus phir door talak tanhai thi na pat jhar ka wo mausam tha na dukh sukh ka koi jhagra tha bus yunhi chaltay rastay mein kab sham huyee ik jhatkay mien khawahish-e-wasl mazeed thi , hum bichray thay kuch aisi hi eid thi , hum bichray thay khizan bhi sogwar thi, hum bichray thay wo to bhari bahar thi, hum bichray thay aaj uske mere beech ki doori kuch samjhota, kuch majboori eid keron ga na uss bin rehnay do meri zaat adhoori sab mausam roothay hein uss bin aaj aisay jeetay hein uss bin jaisay dukh utray in jheelon pe jaisay ghum jhalkay qandeelon se jaisay jugnoo bhatka jungle mein jaisay mojj thami ho sahil mein jaisay shama bujhay andheron mein jaisay udasi mann ke dairaon mein jaisay sawan dukh barsata ho jaisay pani aag lagata ho jaisay asar urra ho duaon se jaisay uljhay rastay paon se jaisay titli roothay phoolon se jaisay udasi jhalkay jhoolon se jaisay sehra mein ik pyasa ho jaisay khali dil ka kaasa ho jaisay aankhon se noorr rootha ho jaisay chehray se rungg utra ho jaisay jaa'n se tootay saansoon ki doori jaisay chanda se door pagli chakori jaisay dhoop utray hai chaon mein jaisay dia jalay hawaon mein jaisay gagan se tootay ik tara phiron uski judai mein main mara yun doo'n sadayen gali gali jaisay bikhray koi kali kali koi zindagi se thak jata ho jaisay moat ko bulata ho jaisay ashkon ki qatar chalay jaisay koi bojh utar chalay jaisay bichray koi pyaron se jaisay hum hein be-saharon se jaisay kishti beech bhanwar mein ho jab sahil bhi nazar mein ho jaisay koi taza qabar pe roye kuch na paye sab kuch khoye jaisay loat ker aaye her ik dua jaisay dam toray her ik sada jaisay ghum ka bojh aur ik wafa jaisay tanhai aur main tanha jaisay dil se dharkan ho kafa jaisay phool se khushboo juda abb eidei'n mubarik ho tum ko aankh main rehnay do ghum ko mujhe tum sung ab nahi jana hai haan wafao'n ko aazmana hai barso'n baad hai din aaya phir barso'n baad ye aana hai tum sehra simat mujhe janay do haan dekho aaj bahana hai wo dukh ka hai chanda chamaka wo dekho her ja ghum utray sab khushiyu'n sung aaj chor gaye aaj kitnay ye tanha niklay ye tanha hein mere saathi aaj inn ko pass bulana hai tum sehra simat mujhe janay do haan dekho aaj bahana hai meri aankh main laali utri hai main ne tanahi ko thama hai pairo'n se doori lipti hai aur rasta wohi purana hai aaj de ke sada sehrao'n main dardon ko aaj kamana hai tum sehra simat mujhe janay do haan dekho aaj bahana hai aaj marg ko hai taskheer kerna aaj mujh ko to mar jana hai meri sanso'n pe qarz baqi hai aaj sara qarz chukana hai haan ker ke eid sehrao'n main kuch ba'warr usay kerana hai wo samjha hai main bhool gaya bus usko yaad dilana hai tum sehra simat mujhe janay do haan dekho aaj bahana hai !!
__________________ ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
3 BOHAT KHOOB DEAR 3 |
|
#3
| |||||
| |||||
| ahannnnnnnnnnn nice dear ![]()
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
AOA, VERY NICE................ ..![]()
__________________ Ye Jantay Huye Bhi K Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga Phir Bhi Main Ne Hawa Ko Pakarna Chaha Badal Ko Choona Chaha |
|
#5
| |||||
| |||||
| Thanks for sharing good job keep it up.. |
|
#6
| |||||
| |||||
| Very nice thanks for sharing
__________________ Assalam-u-Alaikum ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Bohat Hi Umddaa Bohat Hi Kamal
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Very Nice Thanks for sharing
__________________ |