It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Tujhe Milay To Ussay Mera Bhi SaLaM kehna...! within the withlove forums, part of the Urdu Poetry by Poets of HallaGulla category; Suno jugnu! main ussay pukarta thankan se choor apnay pairo'n ke chalo'n ko saath saath liye dhoondta hua iss jungle ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [3] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Suno jugnu! main ussay pukarta thankan se choor apnay pairo'n ke chalo'n ko saath saath liye dhoondta hua iss jungle main aa phancha ho'n per kisi ne bhi to uss pyaray ka pata nahi bataya suno jugnu! wo jugnu hi to tha tum mujhe uss tak raah dikhlao jugnu ne kaha: paglay! "main bhi to uss bin adhoora ho'n jab tak wo raha, main roshan raha phir na janay wo kahan kho gaya tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!" yahan se loat ja wo tujhe yahan nahi milay ga.... jissay pukarta tu gali gali hai wo jugnu nahi wo to roshni hai Suno gul! tum ne dekha nahi to suna to ho ga main kaisay uss bin jeeta ho'n to phir madad kero wo phool hi to tha tumhi uss gul ka pata batao gul ne kaha: paglay! "mujhe khud ussi ki aas hai teri tarah hi talash hai uss bin to main kuch bhi nahi tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!" yahan se loat ja wo tujhe yahan nahi milay ga.... jissay dhoondta to koo-bakoo hai wo phool nahi wo to khushboo hai Suno dil! main bohat thakk chuka ho'n tum ne dekha wo kahee'n nahi milta to phir suno! usski yaad apnay aap mein se nikaal do to mujhe bhi kuch qarar aaye nahi to.... aisay na dar-badar kero madad kero dil ne kaha: paglay! "main bhi to janib-e-sanam rawana ho'n uss bin to main ik weerana ho'n mujh ko bhi uss ki nahi kuch khabar tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!" yahan se loat ja wo tujhe yahan nahi milay ga.... jis bin meri bhi zard rungat hai wo dil nahi wo to mohabbat hai.. Suno aankh! tum ne to sab kuch dekha hai main aur kitna bhatko'n ga wo tujh mein hi to rehta hai tere aanso'on mein main ne ussi ki soorat dekhi hai bus to tum ko qasam hai talash khatam kero abb madad kero aankh ne kaha: paglay! "uss ke bina to hum bhi dar-badar ho gaye hein aansoo thay jitne saray___pathar ho gaye hein wo meri beenai ki wos-atto'n se bahir hai tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!" yahan se loat ja wo tujhe yahan nahi milay ga.... jis ki talash hi tera muqadar hai wo aansoo nahi wo to samandar hai Suno samandar! main ghum ka mara ho'n apnay bha'n-warr se kaho mujhe paar lagaye yun na sataye mujhe dubo ker wo khud bhi doob jaye ga suno samandar! meri khushk aankhon ki janib dekho to tumhen yaad aaye ga ke ye jab sookhi thi to tum banay thay aaj wohi aankhen tumse madad maangti hain inhein paar laga do mera yaar mila do samandar ne kaha: paglay! "ye jo mujh mein tu dekhta irta-aash hai ussi dildaar ki to pyas hai wo kisi jazeeray per bhi to nahi milta tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!" yahan se loat ja wo tujhe yahan nahi milay ga.... jis ki chah mein tu ghayil hai.. wo samandar nahi wo to sahil hai Suno sahil! meri halat tum per ayaa'n hai labo'n pe damm hai nikalne ko ye jaa'n hai abb aur safar mujh se nahi ho ga tum aakhri umeed ho main ne tumharay inn chamaktay zarraat mein uss ko dekha hai sahil ne kaha: paglay! "uss bin to mere zarro'n mein chamak nahi zindagi ki baqi abb koi ramak nahi wo janey kyun hum se rootha hai tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!" yahan se loat ja wo tujhe yahan nahi milay ga abb kabhi nahi milay ga wo bicher gaya so bicher gaya to tu bhi loat ja.../// wo jo tujhe ji jaan se pyara hai wo zarra nahi wo to taara hai... Sun aey hawa sun aey hawa...! mera sara safar bekaar gaya main haar gaya main haar gaya jugnu,gul aur dil aankh,samandar,sahil inn sab mein mujhe wo kaheen na mila meri aas ka gulshan sookh gaya wo kyun mujh se yun rooth gaya sung le ke wo bahar gaya main haar gaya main haar gaya Sun meri baat o paglay! tu itni jaldi haar gaya? abhi kahan tu beech manjhdaar gaya to phir kahan teri mohabbat wo tera pyar gaya?? tu itni jaldi haar gaya?? Dekh hawa! tujhe sab hai pata to tu hi bata main kya karoo'n kahan ja ke uss ko talash keroo'n main kya keroo'n....... jo mere dil pe chahai chandni hai wo jugnu nahi wo to roshni hai wo jo kaheen nahi per char soo hai wo phool nahi wo to khushboo hai wo jo saray aalam se khubsoorat hai wo dil nahi wo to mohabbat hai wo meri aankhon mein jis ka ghar hai wo aansoo nahi wo to samandar hai wo jo meri wafa ki manzil hai wo samandar nahi wo to sahil hai wo jo meri umeed mera sahara hai wo zarra nahi wo to taara hai per paglay: sun! tu kyun yun bhatakta hai jissay tu poochta hai ke kahaa'n hai wo her jagah, yahaa'n wahaa'n hai yehi to teri mohabbat ka imtihaa'n hai ussay panay ki ussay choonay ki uske honay ya na honay ki baaton ko bhool ja ussay apnay mann mein mehsoos to ker tu phir se uss ko khoj magar kisi wajood mein matt dhoondna ussay baharo'n mein bassi ussi ki muskaa'n hai ussi ki aankhon se roshan ye jahaa'n hai tu ussay dhoond per ik baat bhool ker ussay choo matt bus mehsoos ker wo jo teri zamee'n tera aasmaa'n hai wo koi jism nahi wo to jaa'n hai.... haan aey hawa! main phir se usko dhoondo'n ga aur dhoond saka to poocho'n ga per aey hawa! tujhe hai pata main sadiyo'n se ussi ke liye bhatakta raha tu ne to sab dekha tu to janti hai ke waqt abb kamm hai mera labbo'n pe damm hai to bus main to chala alwidaa...alwidaa per sun aey hawa! tu meri wafa ki gawahi dena meri justajoo ki sab nishani dena agar kabhi.. agar kabhi milay to ussay bata-hi dena sun aey hawa! mere dil ke kaghaz per likha wo peghaam kehna! main jisay pukarta raha barso'n wo uska naam kehna! uski aankhon ko maddhh bharay do jaam kehna! uske dil main rung-o-mohabbat ka qayam kehna! uski jawani ko bahar'on ka badal,usko nazuk-andaam kehna! phir meri arzoo,meri talash,lagan,mera kaam kehna! main usay dhond leta per bohat ooncha uska muqaam kehna! phir meri justajoo,meri wafaon pe laga her ilzam kehna! thin tund-o-tez hawayen aur dia tha bohat badnaam kehna! phir bhi chiragh-e-dil jalta hi raha subah-o-shaam kehna! phir uske kano'n main dherey se mera anjaam kehna! tujhe milay to ussay mera bhi salam kehna!
__________________ ![]() |
|
#2
| |||||
| |||||
3 BOHAT KHOOB DEAR 3 |
|
#3
| |||||
| |||||
| ahannnnnn nicxe yara
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
AOA, VERY NICE................ ..![]()
__________________ Ye Jantay Huye Bhi K Wo Hawa Hai Mere Hath Na Aye Ga Wo Badal Hai Jisay Main Choo Na Paun Ga Phir Bhi Main Ne Hawa Ko Pakarna Chaha Badal Ko Choona Chaha |
|
#5
| |||||
| |||||
| Thanks for sharing good job keep it up.. |
|
#6
| |||||
| |||||
| Very nice thanks for sharing
__________________ Assalam-u-Alaikum ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Bohat Hi Umddaa Bohat Hi Kamal
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| very nice ji.....
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#9
| |||||
|