maiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa | | MaiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa
Ab iske baad meraa imtihaan kyaa legaa Ye ek melaa hai, vaadaa kisii se kyaa legaa
Dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa MaiN bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaauuNgaa
Ko’ii chiraagh nahiiN huN jo phir jalaa legaa Kalejaa chaahiye dushman se dushmanii ke liye
Jo be-amal vo badlaa kisii se kyaa legaa Hazaar toR ke aa jaauuN us se rishtaa “Waseem”
MaiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa
__________________ Zafar |