Kuch na Kuch to Zaroor hona hai | | kuchh na kuchh to zaruur honaa hai
saamnaa aaj un se honaa hai
to.Do phenko rakkho karo kuchh bhii
dil hamaaraa hai kyaa khilonaa hai
zindagii aur maut kaa matlab
tum ko paanaa hai tum ko khonaa hai
itnaa Darnaa bhii kyaa hai duniyaa se
jo bhii honaa hai vo to honaa hai
uTh ke mahafil se mat chale jaanaa
tum se roshan ye konaa konaa hai |