Quote:
Originally Posted by Shagufta Basit Mera khamoosh reh kar bhi unhain sab kuch suna dena
zubaa.n sey kuch na kehna dekh kar aansu baha dena
nasheman ho na ho ye tu falak ka mashghala tehra
k do tinkey jahan per dekhna bijli gira dena
ijazat ho tu keh doon qissa_e ulfat sar_e mehfil
mujhe kuch tu fasana yaad hay kuch tum suna dena
main mujrim hoon mujhe iqrar hay jurm_e mohabbat ka
magar pehley khata per ghour kar lo phir saza dena
main is halat main pohancha hashar waley khud pukaar uth'tey
koi faryaad karne aa raha hay rasta dena |
Mazrat k saath maddam laikin aap ne last shair nahi likha socha wo main bata doon.again Sorry from my side.
QAMAR wo sab se chup ker aa rahay hain fatiha Perhnay
Kahoon kis se main k shamma e turbat bujha daina