It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~**...Youn Tunha Nahi Kartay...**~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Mairay hissay mein aye tumharay dukh bhi ajeeb hain.. jo mein nay sambhaal rakhay hain.. sab gillay shikway jo tum ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Mairay hissay mein aye tumharay dukh bhi ajeeb hain.. jo mein nay sambhaal rakhay hain.. sab gillay shikway jo tum say hain.. jo kabhi kiyeah nahi mein nay.. gar chahoon bhi tu kahaan kar paoon ga.. chaloo sab raqam karta hoon.. par bhala kab koun samajhta hai.. lafzoon ko parho gi tum.. lehja kab sun paoo gi.. tum ho haseen rungoon say bani titli.. aur mein tehra babool jaisa.. par yeah kaisi majboori... tumharay hissay aye hai.. yeah mana tumhain gul ke chahat hai.. gul bhi tumhain hee chahay hain.. magar yeah kanta babool jaisa.. jo har waqat saath rakhti hoo... kaya chutkara iss say nahi mumkin.. ya iss ke tum ko adat hai.. yeah adat kaisi adat hai.. tumhain mairi zaroorat hai.. aur uss pay uss say chahat hai.. kabhi socha hai tum nay yeah.. tumhain kis ki zaroorat hai.. tumhain jab gul ke chahat hai.. mujhay kiyon saath rakhti hoo.. kiyon barbaad karti hoo.. mairay jazboon mein shidat hai.. yeah shidat aisi shidat hai.. kissi din jo bharak uthay.. jala sab raakh kar dain gai.. yeah gulshan jahaan hoo tum.. isay barbaad kar dain gai.. mairay jazboon ke shidat ko kiyon awaz daiti hoo.. gur tum ko uss say mohabat hai.. uss kay sung ke chahat hai.. tumhain woh acha lagta hai.. mujhay is ke musrat hai.. magar itni guzrish hai.. gar tum ko us ka hona hai.. mukamal toor pay hoo jaoo.. yeah jo adhay man say har shab tum.. mairay pass aati hoo.. mujh say baat karti hoo.. uss adhay mein may kabhi bhi tum.. poori sama sakti nahi hoo tum.. mein kaisay tum ko bat'laoon... ajab adat hai mairi bhi.. badal is ko nahi sakta.. adhooray rishtoon kay sang mein.. kabhi bhi reh nahi sakta.. woh adha man tumhara jo.. khayaal uss kay mein rehta hai.. woh adha man mujhay la doo.. ya phir youn karoo ab kay tum.. raat dhlnay say pehlay tum.. jab mujh ko choor kay jaoo.. yeah adha man pay lay jana.. mein bin kay bhi jee loon ga.. mein tum bin mar na jaoon ga.. bas itni baat hai daikho.. gar mujh say milnay aoo tu.. ya kissi kay pass jaoo tu.. bas itna kaam hai karna.. jo rishta istawar hai karna.. uss mein khoot nahi rakhna.. rishtoon ke sadaqat ko kabhi pamaal nahi karna.. safar pay jab nikltay hain.. safar jab lamba hoota hai.. naoo badla nahi kartay... kabhi aisa nahi kartay.. souraj ke tamazat mein ... hum jis ke chaoon laytay hain.. raat kay andhairay mein.. ussay tanha nahi kartay.. gar karna par hee jaye tu.. Youn Tanha Nahi kartay..!! .. @};- Ik dost say maz'rat kay saath @};-
__________________ Baray Udaas Din Hein.. Aur Soogwar Rattein... !! jazboon ka khuda jazba mohabbat naam hai jis ka kaya dhal lafzoon mein sakta hai ? samandar kaya kabhi koi koozay mein samaya hai? |
|
#2
| |||||
| |||||
| nice basit bhai @};- @};-
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#3
| |||||
| |||||
| [quote=Basit] mmmmmmm Basit no comments ... kia kuch keh gaye ho .. Meray Jazboon main Sheedat hay ,, Kahen ye Shidat Bharak na paray , Agg ko sholain si hay ye sheedat jo agar bharak uuthe tu sub kuch jala ker khaak ker day gi .... sub kuch barbaad ho jaye ga |
|
#4
| |||||
| |||||
| buhat acha likha hai ![]()
__________________ Khawab Howay Azaab !! |
|
#5
| |||||
| |||||
| tareef na karna ziadti ho gi ![]() likhiye aur share kijye ![]()
__________________ I hv tried to move on but with every one I feel more & more like I'll never be able to replace u. And the sad thing is... I know I hv already been replaced |
|
#6
| |||||
| |||||
| @};- bouhat hi khoobsorat andaz ....acha laga parh kay khush rahiyay... @};-
__________________ http://media.santabanta.com/gallery/...0clooney3h.jpg |
|
#8
| |||||
| |||||
| hmmmmm "yun tanha nahi kertey....." buhat hi khubsurat tehree dil ko cho leney wali... khush rahey @};-
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#9
| |||||
|