It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Woh Khud Kesa Hogaa within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; ye meri pehli koshish hay ummeed hay pasand aaey gi or na aaey tooooooooooo koi masla nahi tanqeed ka haq ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| ye meri pehli koshish hay ummeed hay pasand aaey gi or na aaey tooooooooooo koi masla nahi tanqeed ka haq hay aap ko kyoNkay insaan ko tanqeed ki zaroorat zyada hoti hay basharte'keh tanqeed baraey tanqeed na ho :cry6 ham jab bhi koi nazam ,ghazal ya koi bhi tehreer paRhtay hain or wo tehreer hamaray dilooN kay tarooN ko hila bhi day to be'sakhta ham us kay khaliq ki tareef par majboor ho jatay haiN or agar wo tehreer hamaray jazbaat-o-aeh'sasaat ki tarjumaani bhi karti ho to sonay par suhagah phir hamaiN us tasneef kay writer say aik unsiyat si mehsoos honay lagti hay or ham writer kay dekhay bagher hi us kay maddah hojatay haiN or sochtay haiN kay jab is ki tehreer itni achi or dilooN ko choo lenay wali hay to ye khud kitna acha hoga or ye bhi kaha jata hay kay kisi bhi shakhs ki tasneef ya takhleeq us ki shakhsiyat ka partou hoti hay ab agar ham is kae'naat ki taraf nazar doRaeN haray bharay khait ,khoubsorat baghaat ,oNchay oNchay pahaaR ,badal ,samandar,darya ,sehra ,chaNd ,soraj ,taray ,barish ,din raat ka aana jana ye sab kis ki takhleeq haiN US RABB-E-ZULJALAAL ki kya ham nay kabhi socha hay jis nay ye sab haseen-o-jameel cheezaiN banai haiN jis ki khoubsorti ko dekh kar insaan mabhoot hojata hay WOH KHUD KESA HOGA ?????????
__________________ samajajh jata hooN lekin dair say maiN daa'o-pej uskay woh baazi jeet jata hay meray chaalak honay tak |
|
#2
| |||||
| |||||
| First of all.....writer's club main....bohot khushaamdeed... Aur...rehi baat tunqeed ki to..aap ki tehreer per kiya tunqeed ki jaaye... ![]() Acha likha hai...ummeed hai ke aap is club ko apna samjhain ge aur share kerte rehain ge..... Khush rehiye..... Was'salaams ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Quote:
or janab ham sirf is club ko nahi poray HG ko hi apna samjhtay hain is liye har jagha hi hamain bardasht karna paRay ga ![]()
__________________ samajajh jata hooN lekin dair say maiN daa'o-pej uskay woh baazi jeet jata hay meray chaalak honay tak |
|
#4
| |||||
| |||||
| ham ji.. MashAllah.. aseer zehno main soch bharnay ka khoob andaaz hai.. Allah aap ko iss naik maqsad main kamyaab farmaye.. Aameen.. @};- wafa aur dua ke saath withlove @};-
__________________ ![]() .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN....... |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
3 3:w eldone3 |
|
#6
| |||||
| |||||
| Khoob likha aur likhti rahiye ga kay kalam likhtay likhtay hi zoar pakarta hay @};- Writer's Club may Khusamdeed ![]() -Shokh |
|
#7
| |||||
| |||||
| thanxxxxxxxxxx love, Ali ,shokh aap ki pasandeedgi ka ![]()
__________________ samajajh jata hooN lekin dair say maiN daa'o-pej uskay woh baazi jeet jata hay meray chaalak honay tak |
|
#8
| |||||
| |||||
| Quote:
Mozu hi aisa hai ke...ab kiya kehain...i mean....such to phir such hai...chahe use kissi bhi style se likhain ![]() Aur most welcome dear.....most welcome ![]() |
|
#9
| |||||
| |||||
| aiyai bacha ![]() khushamdeed tumhein yahan dekh kar bhi bauhat hi acha laga bauhat hi achi baat ki hai aur bauhat hi achi soch hai tumhari ![]() khush raho ![]()
__________________ |
|
#10
| |||||
| |||||
| mashaAllah bohat hi pyar bhari tehreer hey iss tehreer ki khoobsurati aur iski meanings ki wuss'at serf mehsoos ki ja sakti hey...bayan karna bohat mushkil mehsoos hota hey..aap ney bohat khoobi k sath iss ahsas ko share kia hey @};-thanx for sharing.
__________________ Kuch Aansoo Kuch KhushiyaaN Dey Kar Taal Gaya Jeevan Ka Ik Aur Sunehra Saal Gaya ...!! Meri Zaat Zarra E Bey NishaaN Mera Ishq Naghma E Bey Nawa |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| woh, khud, kesa, hogaa |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| haseen raatoN kaa khwaab hogaa | PK Swami | Urdu Poet Club | 4 | 03-27-2008 10:54 PM |
| dukh kii lahar ne chhe.Daa hogaa | Aisha Baig | Nasir Kazmi | 0 | 03-16-2008 01:30 PM |
| dukh kii lahar ne chhe.Daa hogaa | bhatti007 | Ghazal | 5 | 03-10-2008 09:38 PM |
| ab ye hogaa shaayad apanii aag men Khud jal jaayenge..!! | silent atitude | Ghazal | 5 | 10-29-2007 12:09 PM |
| lab-e Khaamosh se afshaa hogaa ....... | ayankhan | Ghazal | 11 | 10-20-2007 09:10 PM |