It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~*~ Tum Loag Kya Janoh Mujh Ko ~*~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Tum loag kya janoh mujh ko .! ? Loag mohabbat likhtey hein .. Main ...! Main dard likhta hoon .. ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [11] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Tum loag kya janoh mujh ko .! ? Loag mohabbat likhtey hein .. Main ...! Main dard likhta hoon .. ! Loag khushian banta'atey hein .! Main gham chunta hoon ..! Mazloom banta hoon na ? Aao Key taras khao mujh per ..! Main hara hua mein ghamgeen main chala ja raha janey kahan roko mujh ko hai na ? Ba'eyKaar hai sab..! Ba'eyMaeni sa ..! Main dard zaroor likhta hoon ..! Par dard hai nahi mujh ko Main gham zaroor chunta hoon per gham hai nahi mujh ko Main mazloom zaroor banta hoon .! Par mazloom hoon nahi mein ...! Main pukarta nahi taras khao mujh per K janta hoon taras key qabil hoon nahi main ..! Main khud ko hara hua kehta hoon per hara nahi mein ..! Ab sochney wala sochey ga kya ba'd bakht insaan hai dhong rachata hai kya ? ..! Haan dhong rachata hoon mein tum sab sai jhoot kehta hoon ..! Main jo hoon woh kehta nahi aur jo nahi woh kehta phirta hoon ? haan dhong rachata hoon mein jhoot bakta hoon ..! Main toh khush hoon tum sab ko dhoka deta hoon ..! main toh jeet chuka hoon...! tum sab ko shikast roz mein deta hoon mujh ko hara mat samjho tum mujh ko dukhayara mat samjho ..! ik dhongi hoon main ..! Natak kerta hoon ..! Jhoota hoon mein ..! tum sab sai jo kuch kehta hoon ..! Tum loag kya janoh mujh ko ...! ? Tum sab ko dhoka deta hoon ...! Tum Loag kya janoh mujh ko ...!
__________________ ![]() H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain |
|
#2
| |||||
| |||||
| hmmmm Main bus aak rule of life janta hoon Aap jo marzi hoon , jitna marzi tootaay howaay hoon , apni baatoon saay apnaay piyaar karnaay waloon ko dukh nahi daytaay ![]()
__________________ . .. . ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
![]() achi tehreer likhi hai paa jee ![]()
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
| hum nay jo jana hay aap ko...aur jo jantay hain...wo aap nahi jantay... aur baqi...likhtay rahieay...acha tau likhtay hi hain dil ka bojh bhi kam ho jata hay... ![]() khush rahieay...@};-
__________________ Soch Ke Be'kinara Sehra MaiN Dhool Urata HaY YaaD Ka MausaM..! |
|
#5
| |||||
| |||||
| Pardese film ka ek dialogue yaad aagaya kay yeh logh keya jannay tayre awaz ka dard :-s or ek jumla kay sahil say keya jaan sakoo gay darya kitna gehra hay |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
well said usman /clap5 so feesud such likha hain tumnay @};- |
|
#8
| |||||
| |||||
| hmm.... aacha likha hai ![]() kya kaha ja sakta hai is ke illawah.. bhooj halka ho jata hai tu yunhi likhtey rahiye.. ager bharta hai tu khushiyan likhiye ![]() Khush rahiye /rose
__________________ ![]() |