It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~**~Topic Of The Week (Ajj Or Muslman)~**~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [3] |
|
#2
| |||||
| |||||
| . Bohot acha mozoo select kia hai Irfan Bhai ...@};- Hamari nazer mein sab say bari kharabi mazhab say doori hai, ham dunyavi taleem tu hasil ker letay hein jo hamein sirf ye hee seekhati hai k is dunia maen kesay kamyaab hoon, or is dunia ki kamyabi k leeay insaan sab kuch ker guzerta hai, apna mazhab, apna imaan o deen apnay rishtay sab hee kuch dau per laga deta hai, osay sirf piyar rehta hai tu daulat say, k kesay isay din dooni or raat chogni karay........or jahaan jab paesa imaan ban jata hai tu os ki nazer mein sab rishtay natay , baas matlab k reh jatay hein, her cheez her rishta paesay say tola jata hai...khudgharzi , safaki, be rehmi, janam lay leti hai...or phir ye sab boraiaan jin ka aap nai ziker kia hai na, na sirf janam leti hein, balkay nasoor ban jati hein... Ager ham dunyavi taleem k sath sath deeni taleem say bhi arasta rahein tu..Khof e KHUDA paeda hota hai, apnai mazhab k sath sath dunia ko bhi nibahna aa jata hai, sahi manoon mein achay boray ki tameez hoti hai, or dunyavi haqooq kesay nibahay jatay hein, mohabbat o khaloose bhi berhta hai, khudgharzi kam hoti hai..or ye ehsaas hota hai k sirf ye hee dunia nahein hai aakhrat bhi hai, tu phir boraiaan kam janam leti hein....kia khayal hai? ( waaaah!!! aaaj tu ham bhi kuch likh paa rahay hein.. abb chahay jesa bhi ho hamara tu ye hee khayal hai.. 1 ). |
|
#3
| |||||
| |||||
| Jharna ne theek fermaya hai ...yaqeenan deen se doori hai ..aur wajah yeh bhi hai k hum aarzi khushiyooon aur zururatoon ki hiwas main is muqaam tuk agaiey hain ..@} br /> InshAllah hum thoray time baad is dawat main aatay hain @};-
__________________ Hmmmmmmmmmmm -:? |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
. Bhai, Islami nisab say aap ki kia murad hai?? her saal sirf aik book perh lenai say hamein Islam ki knowledge nahein ho sakti, hamein nahein hoi, kam az kam...sirf thori bohot sortein, or hadeesein, ya phir thoray bohot Islami waqyat per lanai say aap samajhtay hein ham Islam seekh gaey?? ham dusri taleem k leeay tu salha saal laga detay hein tab bhi wo taleem complete nahein hoti, or aap is k baat ker rahay hein... Or sab say bari baat, jab tak ham os per amal na karein sara Ilm fazool hai...tu ham ktinai loog jo thora bohot hamein Ilm bhi hai os per chal rahay hein?? . |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
App nay baat ke umal @};- keya app ko nahe laghta kay yah zimadare hukomat ke hay kay wo loghoon ko paband karay islami qanonn ki pabandi ke or wo is ke sub say bare zimaidar bhe hay keya app ko nahe laghta kay Hum aik awam kay tor par ayse Hukomat na La sakay jo kay humare aik mistake hay @};- |
|
#8
| |||||
| |||||
| Assalamoalaikum..... Kabhi a'ay naujawa'n muslim tadabbur bhi kiya tu nay Woh kiya gardoo'n hay jis ka tu hay ik toota hua taara HUm Alhamdulillah muslaman hain.... laikin naam kay har ghalati har kootaahi hum islam ka libaada orh kay deen ki shaffaf chadar main chupa kay kartay hain .... jab aamaal ka daroomadaar niat par hay to baat niat say shuroo ho kay niat pay khatam ho jaati hay .. hamaari niatain saaf nahi , hamain kisi taur chain nahi hay sukoon nahi hay ,, tajassus hum main hay .. lalach hum main hay ... beimaani hum main hay aur AAj yyehi sab to aam hay aur khaas tor pay muslim ummah main aisa kuon ? ye kuon sirf sawal nahi hay almiya hay hum nay apni bunyaad ko khud khookla kya hay ,,, QURAAN PAK hidaayat ka zarya jis main tamam aalamoo'n kay raaz panhaa'n hain us ki rahnumaai laina choor di hay hum nay hum jab hi KHUDA ko pukaartay hain jab hum par afaat aati hain aur aaj ka musalman is liyay bohat azaad aur apni hudood say bahar hay kuon kay ALLAH bhataknay waloo'n ki rassi daraaz kar kay un ko aazmaata hay .... sab say pahlay hamaara mazhab hamain insaaniat sikhaata hay waqai aadmi ko mayyasar nahi hay insaa'n hona .... yahan hum insaaniat bhoolay baithay hain aik doosray ko lootnay khasootnay say matlab hay ... insaaniyat say bay bahra ... parhay likhay jahiloo'n ki fauj tayyar kuon khari hay sirf aur sirf andhi taqleed aur apni asal say doori ki wajah say ..... kaha to bohat kuch ja sakta hay magar shayad yahan bhi is baat ko pata nahi kitnay log samjhain aur kitnay log khaali article samajh kay nazar daal kay choor dain .... YA KHUDA HAMAARi MUSLIM UMMAH KO BHALAI, BAHTARI AUR DEEN PAR AMAL KARNAY KI TAUFEEQ ATA FARMA (Amin) Fiamanillah
__________________ __ LosT __ |