[SOLVED] Talash-e-gumshudah...! | | TALASH-E-GUMSHUDAH....! /help
Hum saykhulus gum ho gaya hai.Us ki umer kai sau sal hai.Burhapay ki wajha say kafi kamzor ho gaya haiaur gher main "Khudghurzi" k sath un bun honay per naraz ho ker chala gaya hai.Us k baray main guman hai k insanon ki wajha say idher udher ho gaya hai.Us ko akhri bar"Humderdi" k sath dekhagaya hai.Tubsay donon ki kuch khaber nahin Us k bhai aur khas taur per chota ladla bhai"Ukhuwwat" aur behen "Hubbulwatni" sakhtpareshan hain.Us k dost " Mohabbat " aur " Meharbani" bhi us ki tlash main kho gaay hain .Us ki adum mojoodgi main us k dushman "Shur pasandon" nay "Taassub" aur "Hawis" k sath mil k tabahi mucha rakhi hai.Us ki jurwan behen "Sharafat" ka intaqal ho gayahai aur Sharafat k ghum main "Haya" bhi chal basi hai /hang .Us k walid mohtaram "Muaashray"ko sakht fiker lahiq hai.Us ki maan "Insaniat" shadeed beemar hai.Akhri bar aik nazar apnay bichray huay jiger goshay "KHULUS " ko dekhna chahti hai.Jis kisi ko bhi milay baraay meherbani insanon k pas ponhcha day aur ager woh khud perhay to wapas ajaay us ko kuch nahin kaha jaay ga .... /help |