It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~*~ Parayaa .. ~*~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Ayeh .! mujh sey mileye .! arey jantey nahi hein kya ? main Paraya hoon ..! shayad app ney pehchana ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Ayeh .! mujh sey mileye .! arey jantey nahi hein kya ? main Paraya hoon ..! shayad app ney pehchana hee nahi ...! abhi kal he toh aap ney kaha tha key main aap ka dost hoon abhi kal hee toh mujh sey aik naya rishta banda tha aap ney abhi kal hee toh mujhey apney saharey ka ahsas dilaya tha aap ney ..! abhi kal hee toh aap ney kaha tha key apna har sukh dukh main aap sey baant loon ..! abhi kal hee toh kaha tha key jab koi na ho ga tab mera saath deney ko aap hon gey ...! abhi kal hee toh kaha tha key jab tak saans hey nibhao gey ..! abhi kal he toh mujhey ik nayee umang dilai thi aap ney , ik nayee umeed dilai thi aap ney ..! bhai bol deya toh jasey sab kuch laey gaye mera aap .! aur aaj aaj aap ney pehchana hee nahi .! kal mujh sey mera sab kuch jaan liya goya mujhey jhinjhor ker rakh dala merey mazee key geeley kaprey ko is hadh tak nichor dala key woh sookh gya ..! aur aaj ........! aur aaj jab main ney poocha toh ajnaan ho gaye ..! muun moar liya ..! nazrein phaer lien ..! aaj main khud ko pehchan gya ..! ji aaj khud ko pehchan gya ..! yaan yun kahyeh key pehchan toh gya tha per aaj jaan bhi gya key haan mein bhai ban jaon yaan dost ban jaon ..! kucb bhi ker loon kuch bhi seh loon ..! har rishtey ka har bojh utha loon magar phir bhi Main Paraya hoon aur sada ....! Paraya hee rahon ga
__________________ ![]() H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain |
|
#2
| |||||
| |||||
| aksar aisa hota hai kay paraye apnon say zyada apnay ho jatay hain ... paraye say woh kuch kaha jaa sakta hai jo hum apnon say nahin keh paatay .... aur jo apnon ko paraya kar dain ... woh khud .. khud say paraaye hotay hain .... apnay paraaye ki pehchaan nahin hoti unhain .... qadar nahin hoti unhain ..... Again Awais ... you write so pure straight from your heart .... beautiful @};- |
|
#3
| |||||
| |||||
| awais bhai.........sahi keh rahai hain aap....kabhi kabhi aisai hi hota hai ..na chahtai huwai bhi hum apnoon kai sath hi ye kar jatai hain unhain paraya kar daitai hain ....pata nahi aisa hota kyon hai... bauhat khoob likha hai aap nai as always /rose khush rahiyai ![]()
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
| hmmm.......... bohat dukhi kar deney wali tehreer hai, yeh dunya bhi aur dost ban ki aati hai , magar jab bhai ki , dost ki zaroorat mehsoos hoti hai , to saath chor jaati hai jisse apna yaar kehna usse chorna bhanwar mein yeh hadees-e-dilbaraa;n hai , ya kamal-e-dilbari hai khush rehiye @};- |
|
#5
| |||||
| |||||
| Awais.... bohot acha likha hai.... aisa hota hai aksar'o baishtar ke hum apnoo ko paraya kar dete hain.... aur paraeye itnay kareeb aa jatey hain ke apno se bhi barh kar lagte hain....magar jab insaan apnoon ko hi praya samjhey to woh khud se bhi paraya hi hoo jata hai....apne to apni zat jaise hote hain... ap unhain khud se juda nahi kar sakte... aur jo karte hian woh dhooka dete hain.... khair pata nahi kiya kiya keh diya... tehreer bohot achi lagi.... @};-
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| bohat achi tehreer hai Awais Bhai Khush raho Dhairon Khushiyan pao ........sath main sachay dost bhi Ameen Khayal rakhna apna /flowers
__________________ ![]() Communication is to relationship what breath is to life(Virginia Satir)! Updated: |
|
#7
| |||||
| |||||
| Beautifully written /flowers
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#8
| |||||
| |||||
| Quote:
__________________ ![]() |