It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on - Net Kahaniyaan - within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; NET ke duniya bhi ajeeb hai.. rung rung kay loug bhaant bhaant ke boliyaan.. duniya kay charoon konoon say hazaar ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#1
| |||||
| |||||
| NET ke duniya bhi ajeeb hai.. rung rung kay loug bhaant bhaant ke boliyaan.. duniya kay charoon konoon say hazaar ha loug aik jagaah pay ikathay hotay hain.. sab apnay tae'een khud ko shehzada gulfaan aur qalo patra samajh rahay hotay hain... jab aik dojay say miltay hain tu tarhaan tarhaan ke kahaniyaan garhtay hain.. fasanay likhtay hain.. khawb buntay hain.. miltay hain.. aur phir bichar jaatay hain.. anjaam e kaar sab apnee apnee rah hoo laytay hain.. mein 1990s say internet ko istamaal kar raha hoon.. iss doraan hazaroon logoon say milnay ka ittefaq howa.. kuch bohat sheereen.. aur kuch bohat hee karway kaseelay... kuch aisay kay un ke pakeezgi daikh kay haya aa jaye aur kuch aisay kay un ka sochain tu karahat mehsoos hooti hai.. mein iss tehreer mein aisee hee chooti chooti kuch kahaniyaan bayaan karna chahoon ga.. yaqeenun yeah maira zaati tajurba hai.. aur mairee zaati raye hai.. ![]() mairee net say waqfiyaat mairee nokri ke zaroorat thi.. magar mujh ko net say mut'arif karwanay wali Amna theen.. mairee bohat hee payaree dost.. un say rishta daftaree tha.. magar woh mairee aik aisee dost hein... aik aisee shakhsiyaat hain.. jo mairay saath mairee tamaam umar rahain gi... kam say kam guzishta paanch saloon ke doori mein un say dilli rabat barha hee hai.. mairee chat ke duniya mein pehlee ID bhi un kee hee banaye hoi hai jo mein aaj tuk istamaal karta hoon.. magar aab woh sirf bohat hee makhsoosh logoon tuk mehdood hai.. aur waisay bhi aab mein chat bohat hee kam karta hoon.. khair sab say pehlay mein aamna ka taruf aap logoon kay sath share karta hoon.. aur phir koshish karoon ga kay go yeah aik Net Kahaani nahi hai.. kiyon kay yeah haqeeqi zindagi say shuroo hoi.. magar phir haqeeqat say nikal kay kissi aur hee cheez mein dhal gaiee.. (yeah aap mein say kuch dost shaid pehlay bhi parh chukkay hoon as I did shared it a couple of year ago as well)![]()
__________________ Baray Udaas Din Hein.. Aur Soogwar Rattein... !! jazboon ka khuda jazba mohabbat naam hai jis ka kaya dhal lafzoon mein sakta hai ? samandar kaya kabhi koi koozay mein samaya hai? |
|
#2
| |||||
| |||||
| Yeha kahaani dar'haqeeqat aik net kahaani na lagay.. magar iss kahaanee say hee baki ke tamaam kahaniyaan shuroo hoeen.. mairay liyeah mairee net life ke ibtada yeahi thi.. aap ko waqat millay aur dil manay tu aap bhi apnee net kahaniyaan yahaan pay hum sab say zaroor share kijiyeah ga.. intazaar rahay ga ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Ahaan Nice Accha likha hay or Purkhloss dostoon par jitna likha jay wo kam hay Mazeed ka intizar rahay ga |
|
#6
| |||||
| |||||
hmmm..... yaadein purani baatein sab yaad ati hain khush rahyeah Basit @};-
__________________ Khawab Howay Azaab !! |
|
#7
| |||||
| |||||
| Betha parh raha tha ... acha laga phir sai parhna acha laga kai mazeed sharing ho gi go kai bohat dooor talak jaye gi baat chaltey chaltey .... Ajab hai duniya is kambakht net ki khair acha likha hai likhtey rahyeh aur haan jo pehley sai parha hai Biya wali baat woh toh la jawab hai ahsas sai bhara hua pakeezgi kai samandar main bheega hua dil ko chuu janey wala jazba .. jeetey raheyeh khush rahyeh sada abad rahyeh @};-
__________________ ![]() H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain |
|
#8
| |||||
| |||||
| net ki duniya....pata nahi hakeekat hoti bhi hai yaan nahi kuch loog aisai miltai hain jin sai rishtai pal bhar mein bantai hain kuch aisai zakham dai jatai hain jin ka dard kabhi nahi jata ajeeb hi duniya hai ye khaka mein pehlai par chuki hoon aur bhi bauhat si batain hain jo sunaojee kai hawalai sai yaad ai hain /rose kabhi kabhi sochti hoon kash wohi din wapas ain lekin beeta waqt bhi kabhi wapas nahi ata hai ![]() acha likha hai basit /rose khush rahiyai ![]()
__________________ |
|
#9
| |||||
| |||||
| Bohut khloos,muhabbat aur dill sey likha hey bhaii @};- /clap5 @};-
__________________ ![]() |