It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Muqabla_e_Afsancha within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Originally Posted by Roshni Aapi Jani /yhug ek Afsancha meri taraf say bhi :blush @};- Hamna ka chota bhai Aman ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#91
| |||||
| |||||
| Quote:
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#92
| |||||
| |||||
| /aoa In afsaanchon mein bayan karda tamam kirdaar farzi aur khayali hain, kisi kism ki mutabiqat mehaz ittefaqiya hogi jis keliye musannif ya HG qatan zimmadaar nahin. ![]() "Abhi woh dard baqi hai.." Pehli nazar mein mujhey bilkul bhi aachhi nahin lagi balkay kuchh hasad mehsoos hua ke us kay aaney sey ghar mein meri markazi hasiat khatam ho gai thi, jisey daikho us ki khatar daarian kar raha hai, bawarchi ho, driver ya ghar waley sabhi ke zubaan par us ka naam tha,aur aik main hi in sab mein wahid banda tha jo us ko tang karney ka koi mauqa haath say na janey deta, par majal jo us sabr ki putli ney koi shikwa kia ho, har sitam hans ke saha,haan kabhi kabhi aesi gehri nazron sey daikhti goya keh rahi ho "tum" apni waza na badlo ham apni khoo na chhorein gay subaksar ban ke poochhein gay ke ham se sargiraan kyun ho "kabhi to tumharey dil mein bhi chahat ka deep jaley ga aur tab tum samjho gey ke muhabbat kya cheez hai", aur phir aesa hi hua, Main! jo apni zaat mein gum rehta tha, us ka aesa aseer hua ke usey deikhey bina chain na aata, kahan to us ka wajood bhi khatakta tha aur kahan yeh haalat ke kabhi baagh mein ikaththey chehal qami karna to kabhi nehar ke kinarey ke kinarey,bethey ghanton bita dena, zindagi yakdam hi bohat rangeen, bohat khoobsoorat lagna shuroo ho gai thi, Yeh khushgawaar tabdeeli sabhi ney mehsoos ki,behnein to uska naam ley ley kar mujhey chhairteen, yaar dost alag nalaan ke unhein waqt nahi de pata, mera sara waqt to ab us ke naam tha, wo thi main tha aur bas!!! par shayad is muhabbat ko zamaney ki nazar lag gayi aur us ki rawangi ka mazda suna dia gya,meri to rooh pe goya nishtar hi chal gaye,than li ke uski khatir sarey zamaney sey takra jaaonga,Walid saab ko saaf saaf keh dia ke woh meri pasand hai,kahin nahi jayegi, par unkey nazdeek yeh sab aarzi baatein thi, meri har baat sakhti se rad kardi gayi,kisi ne bhi meri na suni, aur to aur khud woh bhi meri himayat mein kuchh na boli ke kaheen uski waja sey ghar ka sakoon na kharab ho. Subh us ney mujhey chhor kar chaley jana tha, yeh raat bohat bhaari thi, main us ke kamrey mein gaya to woh jaag rahi thi shayad mera hi intezaar tha ke aik baar to milney aayonga,aaj main ney uskey saamney dil khol kar rakh dia,har baat keh dali,woh bhi sar jhukaye chup chap sunti rahi ke phir yeh mauqa mile na mile, Subha ka sooraj merey liye qayamat ki ghari ley kar aaya ,dunya khush thi magar mera dil nihayat udaas aur muztarib..."kash kuchh mojaza ho jaye,kisi tarah waqt ki tanabein kheinch loon aur usey rok loon par" jaaney walon ko kahan rok saka hai koi tum chaley ho to koi rokney wala bhi nahin aur judaai ka woh lamha bhi aan puhncha, shiddat-e-karb sey main ney aankhein band karlein, kesey dikh sakta tha mein us ke galey par qasai ki chhuri chaltey huwe, aah muhabbat naam hi qurbaani ka hai, yeh baat meri pyari gaaye "Chhanno" se barh kar kaun samjha sakta tha. Allah hafiz
__________________ Yadash Bakahir ham bhi aadi thay dil lagi kay Ab khwab ki hain batein qissay thay jo kabhi kay |
|
#93
| |||||
| |||||
| /aoa yeh aik aur "Kuchh Ishq tha..." Uski aur meri rafaqat kaii saalon pe muheet thi, hosh sanbhalney par woh pehla chehra hai jo meri yad.dasht mein ubhrta hai,ghar ke sab fard to wese bhi uskey deewaney thay, hotey bhi kyun na, bananey waley ney usey bari fursat mein banaya tha, Mardana wajahat ka mukammal shahkar,jo bhi usey daikhta, daikhta hi reh jata,sahelian uski tareef karteen to mera wajood aik ajab sarshari mein doob jata, shayad usi ke liye Faiz ney kaha tha Woh to woh hai, tumhein ho jaye gi ulfat mujh say ik nazar tum mera mehboob-e-nazar to daikho uski pasanad napasand, khaney peeney, gharz har chhez ki zimmedari main ney apney sar lay rakhkhi thi, baji ke baqol mein to pagal thi, haan main uske peechhey pagal hi to hogai thi, din ka chain na raat ka aaraam, sab usi pe taj dia tha par shayd meri tamam tar muhabbat aur khaloos bhi us paththar dil ko pighla na saka, kuchh loagon ki qismat mein sirf naarsai hi likhkhi hoti hai,unki tamam tar wafaain, muhabbatein aur chahatein raaigaan jati hain,yehi merey saath hua, meri saheeli ney jab uskeliye apni khwahish ka izhaar kia to aik lamhey ko goya kaainat ki gardish tham si gayi,har shay dolti hui mehsoos hui, aankhon taley andhera chha gaya,par uski bhi yehi marzi thi to meri kya bisaat, "Aesa kyun hota hai ke jinhein ham chahtey hain wohi hamara dil tor ke chaley jaatey hain,jin sey wafa ki ummedein hoti hain, wohi har naye maur pe ik zakhm naya detey hain zindagi ik zehr bhara jaam ban jaati hai jisey piye bina koi chara nahin", so us ki khatir yeh bhi kia, uski tamam khushion mein barh charh kar shareek hui par is tarah ke merey honton pe dikhawe ka tabassum "tha" magar meri aankhon mein udaasi kay diye jaltey "thay" aaj woh apni nayi zindagi mein bohat khush hai, uska to pata nahin par main ab bhi uski chahat ki aseer hoon, kash ke main uski ho pati par qismat ka likha kaun taley, yehi kya kam hai ke woh ab bhi meri nigahon ke saamney hai, usey daikh kar hi khush hojati hoon aur har dam aik hi dua merey labon pe rehti hai "Guddey Guddi ki jori salamat rahey" Allah hafiz |
|
#94
| |||||
| |||||
| Quote:
__________________ Khawab Howay Azaab !! |
|
#95
| |||||
| |||||
| Quote:
:-p |
|
#96
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() Bohat acha likha hai Danmurfi Bhai apnay ![]() Nice one khoob tajasus raha wesay I was expecting a cat /dontsee
__________________ ![]() Communication is to relationship what breath is to life(Virginia Satir)! Updated: |
|
#97
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() |
|
#98
| ||
| |