It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Muhabbat or Samundar within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; aik chhoti si koshish ,,,,,,,,,, tanqeed ki muntazir uff kis qdar yakh pani hay!! bachaaonbachaao koi hay ? tthanday yakh ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| aik chhoti si koshish ,,,,,,,,,, tanqeed ki muntazir uff kis qdar yakh pani hay!! bachaaonbachaao koi hay ? tthanday yakh pani maiN mera jism sun hota ja raha tha....... reh reh kar ghussa aaraha tha apnay oopar , rona aaraha tha apni be'basi par kitna mana kya tha sab nay .......keh aaj samundar buhut chaRha hua hay aagay na jana magar mujhay to khabt swaar tha aesa lagta tha samundar mujhay aawazaiN day raha hay ,apni taraf bula raha hay or maiN us ki kasish maiN mukammal tour par giriftaar hogaya tha kaash maiN sab ki baat maan jata aaj hi to us nay pochha tha _____kabhi samundar ki kashish ko mehsoos kya hay ? maiN nay kaha tha haaN buhut .... kehnay lagi iski kashish buhut jaan lewa hoti hay bilkul muhabbat ki tarah kinaray khhaRay raho to khubsorat magar kabhi aagay baRhnay ki koshish na karna jaan say jao gay buhut be'rehem hota hay apni taraf aanay walay ko na ye ma'af karta hay na muhabbat ma'af karti hay maiN nay kaha tum to bilkul pagal ho jab tak samundar ki gehrai maiN na utraiN gay to pata kesay chalay ga samundar kitna gehra hay is maiN kitnay khazanay dafan haiN kehnay lagi haaN lekin har koi ye koshish nahi kar sakta ye tajarba to wohi karay jisay terna aata ho maiN nay kaha terna seekhha bhi to ja sakta hay ye suntay hi aik qehqaha lagaya or kaha ye har kisi kay bas ki baat nahi hoti or aik dam sanjidah hogai or kehnay lagi tum ye koshish kabhi na karna or bhagti hoi chali gai koi hay koi hay ? bachaao !! us nay sahi kaha tha ye har kisi kay bas ki baat nahi hoti ..............
__________________ samajajh jata hooN lekin dair say maiN daa'o-pej uskay woh baazi jeet jata hay meray chaalak honay tak |
|
#2
| |||||
| |||||
| haha.....well...pehl e swimming classes le lete yaar....yeh naubut to na aati... Waise mohabbat aur swimming main fereq hai.... laiken mujhe nahin maloom.... .... |
|
#3
| |||||
| |||||
| Bohat khoob.. umdaah raha.. Share kernay ka Behad Shukria.. @};- wafa aur dua ke saath withlove @};-
__________________ ![]() .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN....... |
|
#4
| |||||
| |||||
| Adaab! Achi kawish hai ![]() Wa'salam
__________________ ![]() Aysa To Koi Naa Milaa....!!! |
|
#5
| |||||
| |||||
| baat mohabbat ki ho yaan samundar ki gehrai wakai nahi pata chalti.... achi tehreer likhi hai achi koshish hai keep it up ![]() khush rahiyai ![]()
__________________ |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#8
| |||||
| |||||
| Umdah kawish 3 Likhti rahiye kay likhnay say nikhar atta jai ga @};- |
|
#9
| |||||
| |||||
| salamz...:wave1 ek baat kahiye , agar yeh aapki chhoti si koshish hai toh ab main aapki badi koshish ki muntazir rahungi... :clap6bohat hi khubsurat tehereer hai... 1khush rahiye.. ![]()
__________________ |