It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Mohabbat Meri Nazar May Part1............ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Assalawalekum Zindagi Ji and Dosto Im back with some thing well yeh koi nayee baat nahi bas jo hum nay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Assalawalekum Zindagi Ji and Dosto Im back with some thing well yeh koi nayee baat nahi bas jo hum nay feel kiya wohi send karahe hai dosto aaj hum kuch baat karengay Mohabbat per ji mohabbat per akhir mohabbat kya hai mohabbat kis ko kahtay hai mohabbat kiu hoti hai mohabbat kab kaise hoti hai kya aaj is duniya may koi kisi say sach may mohabbat karta hai kya is duniya may ajj bhi mohabbat hai mohabbat mohabbat her taraf mohabbat. Pahele mohabbat ka matlab tha kisi ko dil say chahna apni jaan say ziyada chahna kisi kay lie apnay khushiya bhi qurban kardena hum jis say bhi mohabbat kartay woos ki khushi kay liye apni jaan bhi dedetay jis say mohabbat kartay hai woos ki khushi may apni khushi samajtay thai pahele mohabbat ka ek yeh bhi matlab tha sirf dena mohabbat may samjauta nahi hota mohabbat may jazbaat hotay hai mohabbat may sirf khushiya deni hoti hai khushiya milay is ki umeed nahi rakhtay sachi mohabbat karnay walay mager dosto yeh to aap ko bhi pata hai hum ko bhi pata hai kay aaj mohabbat ka matlab ek dam change hogaya hai aaj mohabbat ka matlab hai dhoka mohabbat ka matlab hai flirt mohabbat ka matlab hai aaj sirf lena mohabbat ka matlab hai khushiya china sab ki aur dukh dena aaj dekho chahe jis ko bhi sab yehi kahtay hai mujay is say mohabbat hai mujay woos say mohabbat hai my woos say mohabbat karta hoon woh mujh say mohabbat karta hai jab waqt ata hai to na mohabbat hoti hai na wafa aaj bewafai ka naam hai mohabbat aaj dhokay ka dusra naam hai mohabbat aaj kisi say dushmani puri karna hai to bas kahdo kay mujay tum say mohabbat hai aaj mout say badi saza koi hai to woh hai mohabbat aaj koi kisi say mohabbat nahi karta aaj bas time pass kartay hai mohabbat to bas kitabo may stories may rahgayee hai pahele thi mohabbat jo sachi hoti thi jaise laila nay majnu say ki saleem nay anarkali say ki aur kayee hai dosto aur zindagi ji aaj ki is duniya may mohabbat bilkul nahi hai pahele mohabbat aisi thi maa betay say karti beta maa say baap bete say beta bhain say bhain baap se mager aur koi pasand ajaye to woos say mohabbat kartay aur woon ki khushiyo ka khayal rakhtay mager aaj dekhiye mohabbat kaha hai aaj ek larka kisi larki ko dekh kar kahta hai mohabbat hai aur dusri aur koi aur larki pasand ajaye to woos ko bhi wohi kahega mujay aap say mohabbat hai aaj larkaky hi nahi larkiya bhi wohi kahti hai 2 say 4 tak say to her ek ko mohabbat hai dosto aaj to mohabbat ager hai to bas kuch log ki wajah say jo sachi mohabbat kartay hai jo sachay dil say mohabbat kartay hai warna aaj to mohabbat ka naam bhi hota yaa nahi yeh nahi pata mager aaj bohat kam log sachi mohabbat kartay hai aaj to beta maa say beta baap say pyar nahi kartay to kisi aur larkiya yaa larkay say kya mohabbat karengay mohabbat to bas ab bewafai ka dusra naam ban gayee hai dosto waise hum to is khabil nahi kay koi hum say mohabbat karay mohabbat to woon ko milti hai jo bade khush naseeb hotay hai jo kismat walay hotay hai jin ko mohabbat milay waise ek sher yaad araha hai is baat per suniye arz kiya hai Her Kisi Ko Nahi Milta Yaha Pyar Zindagi May Khush Naseeb Hai Woh Jin Ko Hai Mili Yeh Bahar Zindagi May waise dosto aaj ap sab ko ek baat kahengay ager kisi say mohabbat karo to sachi mohabbat karo kisi kay dil say na khelo kisi say mohabbat ka mazak na karo kisi ko jhooti mohabbat mat karo kisi kay dil say mat khelo yeh to wohi jaanta hai kay jab mohabbat may dhoka milay to dil per kya guzarti hai yeh to wohi jaanta hai jo sachi mohabbat karta hai aur woos ko dhoka milta hai aur woos ko mohabbat nahi milti waise sachi mohabbat karnay walay sab ki khushi ka khayal rakhtay hai woh apni mohabbat kay liye sab kuch kartay hai mager dusri aur woh apni khushi say pahele apno ki khushi ka bhi khayal rakhtay hai apnay mom dad brother sister sab ka woh selfish nahi hotay woh apno kay liye apni mohabbat ko qurban kardetay hai kiu kay dosto ager hum kisi larki say mohabbat kartay hai aur woh bhi sachi mohabbat mager apnay mom dad woos kay khilaf ho to jo sachi mohabbat karta hai woh apnay mom dad kay liye apni mohabbat ko qurban kardeta hai kiu kay hum kisi larki say kuch years pahele milay hotay hai mager humaray mom dad woon say humari mohabbat tab say hoti hai jab hum is duniya may bhi nahi aye thai abhi hum is duniya ko dekhe bhi nahi thai jab hum apni ankhe bhi nahi kholi thi tab say humaray mom dad hum say mohabbat kartay hai mom woh to aap ko apnay pet may 9 months rakhti hai aap jab is duniya may atay ho to aap kay liye din raat jaagti hai woh khud nahi khati aap ko khilati hai woh khud nahi soti aap ko sulaati hai woh khud nahi soti kiu kay mom ko darr hota hai Ok Dosto This the first part im sending other part also ok dosto so take care every one and zindagi ji aap bhi apna khayal rakhn ok so take care every one Khudahafeez/jin3 Last edited by dil_diya_dard_liya; 05-01-2004 at 05:26 PM. |
|
#2
| |||||
| |||||
| Assalamwalekum Zindagi ji and dosto im back with second part of mohabbat meri nazar may kay kahi ager mujh ko gahri neend lag jaye aur mera bacha bhook say rota rahe aur my na jaagoon isliye woh soti hi nahi dad din raat kaam karkaky aap ka liye food cloth aap kay liye her tarha ka aram deta hai aap ko khilata beshak allah hai mager zariya to aap kay maa baap bantay hai dosto aap ko jab aap is duniya may nahi thai tab say aur phir is duniya may jab aap aye tab say jab aap 1 min kay thai tab say lekar aaj tak aap ki dekh rekh kartay hai aap ko khilatay hai bada kartay hai padhatay hai khud nahi khatay aap ko khiltay hai khud achay kapde nahi pehntay aap ko pinatay hai aur jab aap hosh sambhal tay ho aur ek larki yaa larkay say miltay ho aur woos larki yaa larka kay liye apni mom dad say larayee kartay ho jhagda kartay bura bhala kahtay ho woos larki kay liye jo bohat say bohat 1 say 2 saal sirf hum is larki yaa larkay say mohabbat kartay hai woon 1 yaa 2 years kay liye hum apnay mom dad ki saalo ki mohabbat ki parwa nahi kartay dosto ager aap sachi mohabbat kartay ho aur aap kahtay ho kay aap ko sachi mohabbat hai aur aap apni mohabbat nibhana chahtay ho to pahele apnay mom dad say nibhao waise bhi mohabbat ka matlab to qurbani hai kuch panay ki umeed na rakho woosi ko mohabbat kahtay hai aaj aap khud suntay hongay kay betay nay apni mohabbat kay liye mom dad say larka ghar chordiya beti nay mom dad kay inkaar karnay per apni mohabbat ko panay kay liye larkay saath ghar chor kar bhaag gaye kya yehi mohabbat hai nahi dosto mohabbat yeh nahi mohabbat matlabi nahi hoti aaj kal hum suntay hai larki mom dad ki marzi say kahi shaadi karli to larkay nay larki ko maar dala larkay nay kahi shaadi karli to larki nay apni jaan dedi yeh to mohabbat nahi dosto mohabbat woh hoti hai jo humaray dil may hoti hai hum to yeh kahengay kay ager mohabbat may nakaam ho to kuch mat karo dosto balkay jo aap ki mohabbat kay saath kabhi waqt guzara tha woos ko aur apni mohabbat ki yado ko apni agay ki zindagi ka sahara banao mohabbat may nakami per dukhi mat ho woon yaado ko woos waqt ko positive lekar khush raho bas yehi kaehngay aur yeh kahengay kay kisi say mohabbat mat karo ager karo to sachi karo waise bhi dosto humari ek feeling hai yeh suniye Mohabbat Ko Dekha Hai My Nay Itnay Pass Say Nafrat Si Hogayee Hai Is Kay Aihsas Say bas dosto kahnay ko to bohat hai mager ab yahi bas kartay hai bohat long hogaya hai ok dosto so dosto and zindagi ji apna khayal rakhan is badnaseeb dost ko ok so take care every one apni dua may yaad rakhiye ga Khudahafeez/jin3 |
|
#3
| |||||
| |||||
![]() ![]() ![]() Hum Is Per Kutch Nahi Likhain Gay ![]()
__________________ guzar hi jay gi terey baghair bhi laikin bohat udaas bohat sogwaar guzre gi |
|
#4
| |||||
| |||||
| salaam ![]() bauhat khoob likha hai aap nai lekin mohabbat sai nafrat kaisai kar sakta hai koi ![]() khush rahiyai ![]()
__________________ |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
kar sakta hai na nafrat jab woos ko mohabbat say dhoka milta hai mohabbat kaa naqab pahan kar jab log dhoka detay hai to nafrat hojati hai samjay diya ji by the way take care all of u and u too zindagi ji and sis bye khudahafeez aap ka pagal |
|
#6
| |||||
| |||||
mohabbat agar dhoka dai to haan keh saktai hain kai nafrat ho jaati hai....lekin kya woh wakai nafrat hoti hai yaan gussa hota hai....gham hota hai.....takleef hoti hai...nafrat aik bauhat hi mazboot ehsaas hai....jo mera nahi khayal kai mohabbat jo karain un ko ho sakti hai i could be wrong lekin kai baar hum gham kai aur dukh ki aziat ko bhi nafrat ka naam dai daitai hain....sirf ehsaas ghayal hoon tab....khush rahiyai ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
Khudahafeez/jin3 Aap Ka Pagal |
![]() |
| Tags |
| mohabbat, nazar, may, part1 |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| msg/sms | imaan85 | Gup Shup | 302 | 07-23-2008 07:39 AM |
| " Mohabbat Rukh Badalti Hai " | smumair10 | Nazam | 6 | 10-25-2007 12:11 PM |
| (((mohabbat))) | Mahk | Nazam | 12 | 10-15-2007 01:58 AM |
| Main Aisi Mohabbat Karta Hooon.... | umair_bantva | Nazam | 8 | 10-14-2007 03:03 AM |
| ~!~ PoLLing...Question:Mohabbat Andhi Hoti Hai ~!~ | naz | Mohabat Kadah | 10 | 05-28-2007 09:11 AM |