It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~* Mausam ka jado *~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Aaj mausam ka aisa jadu tha keh main majboor hoo gaee bahir bhaagh main jaanay kay liye ... aik jaga ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Aaj mausam ka aisa jadu tha keh main majboor hoo gaee bahir bhaagh main jaanay kay liye ... aik jaga araam say beith kay bohat sakoon mila ... kabhi taez hawa chalti thee aur kabhi baarish kee halki see phoowaar parti thee.... aisay mausam main jhoomnay ka dil kar raha tha ... main iss mausam say lutf andooz hoo rahi thee keh mujhe aisa laga shaid koi saaya lehra kay guzra hai yahan say ... kuch itnay paas say keh khushboo mehsoos hoi hoo ...... laikin apna weham samajh kay khayal nikal diya ... khayal tu nikal diya magar yeh zehan araam say kab beithta hai ... koi na koi yaad aa hee jaata hai .... ussi waqt mujhe uss kee yaad sataanay lagi ... uss ko yeh mausam pasand tu tha magar jab main itni khush hoti thee aisay mausam main aur uss ko kehti thee tu saath hee kehta tha " tumhain mausam kay ilawa aur koi baat nahi aati " mujhe maloom hota tha keh woh aisa hee kahay ga magar uss ko tang karnay ka maza aata tha ... uss ko chairnay ka ... uss kee iss baat pay pyaar aata tha .... masoom si shakal bana kay yahi kehta tha ... aur main danista hee uss say naraz hoo jaati keh ab woh manaey ga .... laikin uss ko mana na aata hee nahi tha .... narazgi khatam karnay kay liye bhi kabhi aisay ilfaaz istamaal karta tha keh maeree narazgi khatam hoo jaati aur hamesha kehti " tumhain kabhi bhi mana na nahi aaey ga " aur woh khilkhila kay hans parta .........aur aisay hee bas uss kee yaad aa gaee ... aisay hee baarish honay lag gaee aur baarish main bheegnay ka tu apna hee maza hai aur main zabardasti uss ko saath rakhti keh tum bhi baarish ka maza loo aur woh kehta " maera beemaar honay ka irada nahi hai .. tum bhi andar chalo beemaar par jaoo gee" magar main ussay israr karti aur aakhir kuch dair baad uss kay saath andar jaanay ko raazi hoo jaati ..... iss kay saath hee main yadoon kee duniya say bahir nikal aayee jab mama kee awaaz aayee keh andar aa jaoo kya bheeghnay ka irada hai itni sardi main bahir ... mama kay yeh ilfaaz sun kay main chaunk gaee aur muskura kay mama kee taraf deikha :blush .. kyun keh woh bhi yahi kehta tha ............ aur aaj mausam mujhe ussi kay paas lay gaya .......
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#2
| |||||
| |||||
| [quote=GreAt JasoOsa] khub kia kehnay ... sirf mosum he nahi .. zindagi ka ek ek pal har lamha har uthaya howa qadum ussi ki seemth bharta chala jata hay per is qadar dooriyaan ho gai hain kay ye zara sa fasala abb sadiyoon per moohet lagta hay .. or masum tu apna jadoo deekhata he hay dil o dimag per jo baatain naksh ho jati hain woo badaltay mosamoo main he apna asir deekhati hay kisi ki yaad main jalati hain tarpati hain ..... wish u happiness forever Zia |
|
#3
| |||||
| |||||
| thanku so much for liking ;;) ![]() hmm sahi kaha .. yaadain apna asar mausam main hee deekhaati hain kabhi udaasi kay mausam main tu kabhi khushi kay mausam main |
|
#4
| |||||
| |||||
| Salam Behna! Kiya baat hai her roz aik naya dhamaka maira muntazir hota hai , Aik aur khobsoorat tehreer likhnay per mubarakbaad aur daad tumharay liya. Good goin, Bhiyaa /flowers
__________________ ![]() ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| very nice /rose yaadain hamesha sath rahtii hian.... sirf mausam he unn ko yaad nai dilata ...... aap say related har cheez ahsaas dilatii hai /rose |
|
#7
| |||||
| |||||
| bauhat khubsurat likha hai tum nai bacha /hug2 yadain har pal har lamha sath hoti hain chahai yadain mausam kai sang chalain yaan dil kai mein kahin meethai dard ki tarhaan rahain ![]() dua karoongi tumhara woh dost sada khush rahai aur tumharai sath rahai ameen sum ameen /dua khush raho ![]()
__________________ |
|
#8
| |||||
| |||||
| Hmmm din ba din nikhar ata ja raha hey janab ki tehreeron mein @};- Bohat khoobsurat @};- Likhti rahein khush rahein sada abad rahein @};-
__________________ ![]() H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain |
|
#9
| |||||
|