It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on "Mar'Qud" within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Main Sorung kay Da'hanay par khara hoon .. taveel, ghup andheeri, aur Na'guzeer Sorung maray samne mojood hai .. mare ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Main Sorung kay Da'hanay par khara hoon .. taveel, ghup andheeri, aur Na'guzeer Sorung maray samne mojood hai .. mare liye koyi aur rasta koyi aur chara nahi .. main aik qadam bhar'haoun ga tu sorung muje nigal jaye gi iske bawajood main yehi qadam uth'tata hoon kyoonk main aisa hi karne ka paband hoon... maray paas intakhab ki gunjaish nahi hai .. main iss sorung main bhatak raha hoon .. rasta tat'tool raha hoon ... main nahi janta sorung ke akhir par kia anjam mera muntazir hai ... roshni aur taza hawa ya pher mazeed andhera, khoof , tanhaye , dewangi, junooon aur khoon ke chaintay..... mager yeh sawal La'hasil hai ... ab maray liye koyi faraq nahi parta.. main is baat ki parva bhi nahi karta k yeh sorung kab kahaan aur kaisay ikhtatam pazer ho gi.....kyoon k ab main ne jaan liya hai k sorung hi meri zindagi hai ... tamam-o-kamal zindagi, yeh sorung jis k ander bachpoan say le kar jawani aur zawal-e-omar tak main baas chalta hi rahoon ga .....baas farak sirf itna hai k yeh sorung zahir ab hoyi hai warna mojood tu shuru say hi thi...main iss sorung main akela hoon aur kisi ko pukar bhi nahi sakta .... awaz doon ga bhi tu kisay pari hai k koyi sunay ga ... in sanatoon main meri awaz Baz'gusht ban kar lout aye gi ... muje baas iss sorung main chalna hai koyi aur rasta jo na hoa mare paas. .. tu pher Pharr'Pharrana bekar hai na .... main chahoon bhi tu mat'ti ki in Dee'O qamat dewaroon say bahar nahi nikal sakta ... ab yehi mera moqader jo tehri.... ab yehi meray wajood ki mustaqil halut hai ... jis qadar jald muje yeh ehsaas ho jaye ga mare haq main utna hi behter hai ... yeh meri Aag'gahi ho gi .................... .. Yeh Sorung tang hi hoti ja rahi hai janay kyoon ..... Uffffff yeh kia cheez hai jo muje Bebas kiye de rahi hai .. kyoon muje apna wajood Kat'ta mehsoos ho raha hai ... yeh Azab-e-Ag'gahi tu nahi .... nahi yeh tu mare Wo amal hain jo main ne Duniya main kiye hain... mare Burre Amal jin ka natija yeh Tareek Sorung hai.............Aaaa h !!!! yeh kia ho gaya ... kyoon main ne Duniya main Naik Amal na kiye , kyoon Nemaz jo Deen ka satoon thi usse Qaza hi karta chala gaya ... Kyoon Roze ki halat main burri batain muuh say nikaleen , Kyoon Hajj karne k baad bhi muj par asaar na hoa , kyoon Zakaat na nikali aur paise ki hawas main andha hi hota chala gaya ... kyoon Jehad jaisa afzel fail na kiya jabke Muslim Um'ma ko zaroorat bhi thi meri .. mare jawan kandhoon ki .......... ab yeh Sorung muje dara kyoon rahi hai... Araay yeh kia yeh tang kyoon ho rahi hai ... uffffffff itni azeyat Aaaaaaaah aaaah ahhhhhhhhhhhhhhhhhhh hhhhhhh......hhhhhhh hh.......hhhh.....hh ...h ......akhir yeh Sorung hai kiya................ .................... .................... .................... Kiya hai yeh !!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !
__________________ *Apna Khyal Rukhiye Ga Aur Agar Ho Sake Tu Dosrun Ka Bhi* |
|
#2
| |||||
| |||||
| umdaah likha Falak jee... @};- yeh hamarey amaal ke khouf , jo zindagi main hamain kabhi kabhi aisey hi dasnay aa jatey hain, aur kabhi mout se pehlay hi mar dete hain... apne aap ko tazabzub aur wasoom ke andaishoon main rakhnay se ap mout ke amal ke honey se pehlay hi jee nahi patey... mar jate hain... laikin jo kuch ap ne is dunya main hasil kiya, agar yaqeen ho ke chor jana hai to woh zindagi kamyab zindagi hai...aap hasol ki khushi uar bicharnay ke ranj se mavraa hain, phir surang tang nahi lagti. khush raheye.........aur younhi share karte raheye...@};-
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Assalaam O Alaikum Falak Bhai ALLAH maafi, ye surang.....ya dusray balkay haqeeqi lafzoon mein qaber.....isay kon yaad rakhta hai....dunia ki hawes nai sab bhola diya hai, or jab yaad aata hai tu bohot der ho chuki hoti hai.... khair achi tehreer hai, @};- @};-yaad rehna chaheeay hai ye sab... ta k ham ghaltion say bachay rahein......mager... .. Bohot khush raheeay or share kertay raheeay.... ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| Hmm...well..dekho humare saath kiya hota hai.... Acha likha hai..xxxx busi aur bechaini to aaj kel din churhe aur aankhain khulle bhi mehsoos ki ja sekti hai...hum itne hi gumrah hain ke, use mehsoos kerte huwbhi...neyi rahain dhoonte hain..aish-o-ishret aur junoon-o-berbiriyyet kei... Allah Khair hi kure... |
|
#5
| |||||
| |||||
buhut Umda janab >-v kya hi achha ho kay ham sab ye jaan laiN kay aik din marna hay jawab day hona hay MALIK-e-KAINAAT kay aagay khhaRa hona hay to phir ham say koi gunah sar zad na ho lekin aik baat kehna chahiN gay yaqeenan aap bura nahi manay gaiN aap nay sirf namaz roza haj or zakat jehad ka zikar kya ibadat sirf yehi to nahi hamaiN sirf ye sab karnay kay liye to dunya maiN nahi bheja gaya
__________________ samajajh jata hooN lekin dair say maiN daa'o-pej uskay woh baazi jeet jata hay meray chaalak honay tak |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() jee sahi kaha hai aap ne k yeh humare Aaamal ka khoof hi tu hai jo humain maray de raha hai ...... Dua'oun k liye shukriya ..... Insha ALLAH zaroor share karun ga ... Jeeti rahiye |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
jee yehi tu humara masla hai aaj k is dour main yeh batain hi tu hum bhool gaye hain tabhi syaed musalsal aik azab nak kafiyet say guzar rahay hain :( Insha ALLAH zaroor share karun ga jab bhi kuch naya likhoon ga ... |
|
#8
| |||||
| |||||
| Quote:
Pasandedgi ka shukriya janab jee yehi tu dekhna hai k ab humare saath kia hota hai ............ :( |