It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~**... Mard ...**~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; ~**... Mard ...**~ Mard kay baray mein likha shaid kissi aurat kay liyeah bohat asaan hoo.. aik do dost hain ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| ~**... Mard ...**~ Mard kay baray mein likha shaid kissi aurat kay liyeah bohat asaan hoo.. aik do dost hain un say baat hoi tu unhoon nay yeahi kaha kay marad pay tu zaroor likhain gai aur aaina dikhayain gai marad ko.. mein nay jee zaroor.. magar woh tu aap tab dikhaiyeah ga jab daikhnay say fursat millay.. uss kay baad jo jo kuch sun'na para woh phir kabhi kay liyeah utha rakhtay hain.. Aik marad kay haysiyaat say khud ka ehtisaab karna bohat mushkil hai.. ehtisaab kissi aur kar karna hoo tu woh tu aisay hee hai jaisay saans layna hoo.. waisay bhi humain auroon kay baray mein baat karna aur un ke buraiyon ko barha charha kay paish karna asaan lagta hai aur youn bhi aaj kal kay door mein yeah rawaaj aam hai kay marad aurat pay tanqeed karta hai aur aurat marad pay tanqeed.. maksad donoon ka hee aik dojay ke tawajoo hasil karna hoota hai.. daikhnay mein aya hai jo dosri jins kay baray mein jita barha charha kay kehta hai woh utni hee tawajoo pata hai.. khair yeah aik behas talab baat hai aur issi pay shaid koi bhi al'll ilaan mutafiq na hoo.. magar mahir e nafsiyaat yeahi kehtay pa'ye jaatay hain kay har moa'shray mein aurat kay mukhtalif roop uss moa'shray kay marad kay liyeah hootay hain.. aur bilkul issi tarhaan mardoon jo tarhaan tarhaan kay roop dhartay hain woh bhi aurtoon ke khushnoodi hasil karnay kay liyeah hotay hai.. Marad aur aurat dono hee mukhtalif moa'shroon mein mukhtalif anwah o iqsaam mein paye jaatay hain.. agar hum in ke safaat ka jaiza layain tu humaray ilam mein aye ga kay har moa'shray mein uss moa'shray kay reet rawajoon say muansbat rakhtay howay mukhtalif sifaat kay marad o zan paye jaatay hain.. magar choonkay iss moz'oon mein sirf aur sirf mard ka zikar karna maqsood hai tu mein chand aik cheeda cheeda sifaat ka zikar karna chahoon ga.. jo umar kay iss behtay dharay mein hum nay behtay, doobtay, obhartay daikhay.. !! Farishta Sift Mard : Mardoon ke yeah qisam aab napaid hootee jaa rahi hai.. shaid issi liyeah shair hazraat yeh kehtay nazar aatay hain na tu farishta hai na mairay ishq farishtoon jaisa.. magar kaya kijiyeah Aadmi ko moyasar nahi insaan hoona ... aur saaray fasaad ke jar hee yeah hai hum insaan banay say pehlay aur bohat kuch ban'na chahtay hain.. aur iss kaar mein hum insan hoona aksar hee bhool jatay hain.. koi marad o zan ban baithta hai.. tu koi muslim o hindu bana baitha hai.. tu kaheen taqseem ka yeah alam hai kay issi pay iktafa nahi kee sindhi aur baloochi bhi ban baithay.. yeah taqseem dar taqseem ka amal jaari hai aur shaid yeah uss waqat tuk jaari rahay ga jab tuk naam e insaan khatam nahi hoo jata.. baat hoi farishta sift insanoon ke.. mairi bad'qismati kahiyeah kay in kay baray mein mein nay jitna bhi jana woh kitaboon mein hee parha.. ya phir un romanivee kahaniyoon mein jo sirf aur sirf khawateen kay rasaloon mein chapti hain aur jo un mein markazi kirdaar ada kartay hain.. waisay baat bhi mant'aqi hai.. insaan farishtoon jaisa hoo hee nahi sakta.. insaan aur khata ka chooli daman hai.. aur farishtoon mein hum nay ablees kay ilawa kissi ko khata kartay nahi suna.. tu woh khawateen jo baray shoq say iss farishta sift mard ke khooj mein hain.. woh shaid tamaam umar issi khooj mein rahain.. ya hoo sakta hai iss khooj mein woh marad ko tu na paa sakkain kisi farishtay ko zaroor paa layain.. shaid yeahi sooch kay City of Angels kay naam say aik film banaye gai.. yaqeenun uss kahani ko likhnay walli koi khatoon hee rahi hoo gi.. ! Shaitaan Sift Mard : Mardoon ke yeah woh qisam hai jo khawateen ko har dosray marad mein nazar aati hai.. aap kissi bhi aurat say pooch lijiyeah un ke mardoon kay baray mein kaya raye hai.. pehla aur hatmi jawab jo millay ga woh yeahi hoo ga.. Saaray marad hee shaitaan sift hootay hain... aab koi poochay in naik'bakhtoon say kay agar saaray marad shaitaan sifat hotay hain tu phir tu sari aurtain .................... . (kabhi kabhi zindagi pay payaar aa jata hai tu baat adhoori choorni par jaati hai... jeenay kay liyeah chup rehna bhi parta hai /wink3) Shaitaan yani kay iblees ke aurtoon say bohat banti hai.. aur uss ko aurtain bohat achi lagti hain.. aab iss pay mujh ko mukamal yaqeen hai kay mairay molvi bhai uth kharay hoon gai aur shuroo hoo jayain gai laa'n taan.. waisay yeah kehnay ka maqsad un kay ubadltay jazboon pay lafzoon ka thanda thaar pani dallna hee tha.. yeah bilkul waisay hee hai jaisay aap kissi ko keh dain mujh ko pata hai ab tum kaya karoo gai.. tu chahay sun'nay walla wohi karnay jaa raha hoo magar aap kay yeah kehnay kay baad woh chahtay howay waisa nahi kahay ga na karay ga.. yeah hi insaani nafsiyaat ka hissa hai.. /wink4 Haan tu kaha hum nay kay Shaitaan ke aurtoon say bohat banti hai.. aab iss pay molvi aitraaz karain ya na karain.. magar aurtoon ka vawailla machaana samajh mein aata hai.. zahir see baat hai koun chahay ga uss ka naam shaitaan kay saath liya jaye.. magar aap khud sochiyeah agar aap mard ko shaitaan sifat kahain aur phir aisay tamaam mardoon ka muta'laya karain jin ko shaitaan sift kaha jaata hai.. tu ilam hoo ga kay aisay tamaam mardoon ke ko jo jins sab say ziada pasand hooti hai woh aurat hee hoti hai.. tu agar shaitaan sift marad ke aurtoon say bohat banti hai tu khud sochiyeah shaitaan ke kitni banti hoo gi.. ? Magar woh sawaal tu waheen pay reh gaya.. keh shaitaan sift mard koun hain.. agar baghoor daikhain tu yeah shaitaan sift har marad kay andar badarja'e atum mojood hooti hai.. agar aisa na hoota tu larkiyon ko bayaahnay say pehlay un ke ma'yain aur bayahtaa sahailiyaan batoor e khaas mashwara e awal na dain.. hum nay daikha hai jab bhi koi khatoon bayaahi jaati hai uss ke jahaan aur bohat say mamoon mein tabiyaat hoti hai waheen yeah bhi tarbiyaat kee jaati hai kay marad ke iss shaitaan sift ko kaisay qaboo mein rakhna hai.. Magar shaitaan sift yeahi nahi hooti.. haan woh alag baat yeah bunyaadi hai.. shataani sifaat mein fasaad aur nafaq aur dosri bohat see shaitaaniyaan shamil hain.. magar hum un tamaam zamni khasoosiyaat ka baghoor muta'laya karain tu yeah baat wazeh hoo gi kay kissi na kissi toor baqi tamaam sifaat ka taluq kisi na kissi toor bunyaadi khasoosiyat say zaroor hoo jata hai.. !! Insaan Sift Mard : Agar tu aap pehli do iqsaam ka baghoor muta'laya karnay kay baad Insaan sifft mard kay iss hissay ko parhnay jaa rahay hain tu shaid aap issay parhnay kay baad pehli do iqsaam say mun'hiraf hoo jayain.. aur agar aap pehli do iqsaam ko parhay baghair issay parhnay lagay hain tu yaqeen janiyeah aap apna waqat bar'baad kar rahay hain.. kiyon kay jab tuk aap buniyaadi sifaat ko nahi parh laytay aap iss kisam ko nahi samajh saktay.. tu maira mashwara yeahi hai kay agay mat doriyeah.. saans phool gaya hai tu aik gilaas thanda paani pee lijiyeah aur agar rozay say hain tu khuda ra mujh ko gunah'gaar mutt kijiyeah.. Insaan sift mard, mardoon ke woh kisam hai jo iss duniya mein paye janay wallay 99.9% mardoon ka ahaata karti hai. yani aap keh saktay hain dunia mein jitnay bhi mard paye jaatay hain woh insaan sifat marad hotay hain.. yahaan insaan say muraad insaaniyaat na liya jaye.. insaan ka lafz jin mainoon mein istamaal howa hai uss kay baray mein tafseeli baat iss mazmoon mein agay jaa kay kee jaye gi.. ! Jaisay Farishta sift insaan ko samajhnay kay liyeah hum nay koshish kee pehlay farishtoon ko samjha jaye bilkul usi tarhaan insaan sift mardoon ko samajhnay kay liyeah zaroori hai pehlay insaani sifaat ko jana jaye.. Insaan nay jay moa'shray ke bunyaad rakhi aur woh moa'shray ko samajhnay kay qabil howa tu uss nay khud ko Social Animal kaha.. social anilam matlab kay samaaji janwar.. janwar woh hai jo jibalat kay matay'hat kaam karta hai.. aik shair ka bachay ke jibalat mein shikaar karna hota hai aur aik machlee ke jibalat mein tairna hota hai.. aur aik parinday ke jibalat mein urna hota hai.. bilkul waisay hee agar hum daikhain kay samaaji janwar kaya hai tu shaid hum uss ko kahain jo aik samajaj mein zinda reh sakta hai waisay hee jaisay machli paani mein jeeti hai aur yeah uss ke jibalat mein hota hai aur prinday ke jibalat mein urna hota hai.. Aab sawal yeah paida hota hai samaaj ya society kaya hai.. iss baat say shaid hee koi inkaar karay kay in ka wajood hum say hee hai.. matlab insaan hee in ke bunyaad dalta hai aur woh hee iss kay tab'ay zindagi guzarta hai.. samaaj kissi aik cheez ka naam nahi hai yeah muktalif cheezoon ke amizish say milla aisa murakab hai jis mein iss kay tamaam ajzaa'e tarkeebi apas mein youn ghul mill chukay hotay hain kay woh aik akaye ke sourat ikhtiyaar kar laytay hain.. marad aur aurat bhi issi samaaji murakab say milli akai ka hissa hotay hain.. Humaray iss moa'sharay mein marad mukhtalif roop mein milta hai.. kabhi woh ghana pair hai jiss ke chaoon mein sab baithna chahtay hain.. tu kabhi woh ba'qamaash wehsha hai jo har roz aik naye jisam kay sath aur kabhi kai jismon kay sath rehna pasand karta hai.. aur kabhi kabhi tu marad aik bay'his bay'jaan goosht ka loothra dikhaye daita hai.. magar mein yahaan yeah bat zaroor wazeh kar doon choon'kay marad har moa'shray mein mukhtalif andaaz say taraz e zindagi guzar raha hai tu zaroori nahi aik moa'shray mein paye janay walla marad dosray moa'ashray mein paye janay wallay mard jaisa hoo.. yahaan yeah baat bhi wazeh karna zaroori hai kay aik moa'shray mein paye jaanay wallay tamaam marad aik jaisay nahi hoo saktay.. chaliyeah pehlay hum daikhtay hain humaray moa'ashray mein jo marad paya jaata hai woh kiss kis rung mein milta hai.. Mardoon ke aur bohat see kismain hain.. magar mein sooch raha hoon kay jaisay shaitaan ke aant ke tarhaan yeah mozoo lamba hoota jaa raha hai shaid mazeed likhoon tu issi ko parhna bhi gawara na karay.. tu woh baki sab phir kabhi kay liyeah utha rakhta hoon.. @};- Khush Rahiyeah Wa.Salam Basit |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| mard |
| Thread Tools | |
| |
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| kaam himmat sey agar jawan mard lyta hy | Aisha Baig | Aatish Haider Ali | 2 | 07-20-2008 12:34 AM |
| !Mard honi chahiyah, Khatoon hona chahiyah ! | llvlliss_chlak0 | Funny Poetry | 6 | 04-17-2008 01:44 PM |
| nau muslim aurat aur musalman mard | munda_khi | Discussion Corner | 0 | 02-17-2008 02:57 PM |
| wo mard hi kia | Unlucky.perdaisi | Ashaar - Misc | 24 | 10-28-2007 01:24 AM |
| kAmyAb MaRd | Unlucky.perdaisi | Jokes n Jokes | 3 | 09-02-2007 11:54 PM |