Kehte hain ke jab nanha farishta is duniya main aata hai to usse kisi aisa ka saath
chahiye hota hai jo uski daikh bhaal kare usse pyar kare aur wohi ALLAH ne humen
diya hai ek tofa MAA ke roup main jiska karaz hum marte dum tak nahi utar sakte
woh hai MAA
jo MAA karsakti hai woh aur koi nahi karsakta ye sach hai aur MAA baap main se bache par ziada
haq MAA ka hota hai kyunke woh usse 9 maheenay pait main rakhti hai usse paal ti hai posti hai
usse bara karke uski shaadi karti hai agar wohi bacha usko chor kar chala jaye to woh kia mehsoos
karegi sun kar dukh nahi hota jisko 9 maheenay pait main rakha paala posa har zid poori ki
aur aaj woh chor kar jaraha hai aap karaz to nahi utaar sakte MAA ka laiqin ALLAH ne jo tofa diya
hai usse nibha to sakte hain
ek pyar sa rishta hai MAA aur bache ka rishta usse nibhayen kyunke is rishte main jo baat hai
aur woh kisi rishte main nahi hai........
---------------------------------------
Maine ek essay likha tha on mother jab main 12 years ki thi.. socha yahan share kardoon
1.gif)