It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Kirchiyo'n Say Kasheed Kartay Hai'n Khushiya'n within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; well haya....acha lay kr chali ho.....kahani main ghaltiyan to bay shumaar hain but choonk tum afsanay ki bunat say baqaaida ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#21
| |||||
| |||||
| well haya....acha lay kr chali ho.....kahani main ghaltiyan to bay shumaar hain but choonk tum afsanay ki bunat say baqaaida waqif nahi ho isliye ye boht ziyada tareef ka mustahiq hay,,,,,isay perhnay main kuch time laga hay but poora perh liya hay aik bari ghalti ki wazaaht kerdon k rija k baba ko to tum nay maar diya tha,,,,,,, Us Din Ghar Mai'n Eid Ka Sama'n Tha Jab Firasat Nay Apni Tankhuah Ka Draft Bhaija..Mairi Badd'Naseebi Kay Usi Din Amma'n Ka Khat Aa'Gaya Kay Abba Is Duniya Say Rukhsat Ho Gaey... laikin page no 8 main Laikin Mai'n Bhala Kaisay Jaati Kay Mairay Sar Par To Abba Ka Thanda Larazta Huwa Haath Dhara Tha Owr Un Ka Woh Toot'ta Laihja Mairay Kano'n Mai'n Goonjta Rehta Tha '' Bitya! Maira Sar Na Jhukana '' Mai'n Bhala Waha'n Ja Kar Apnay Bad'Naseeb Marhoom Baap Ko Yeh Taana Kis Tarha Dil'Wati Kay BaitiTalaaq Lay Kar Waapas Aa Gai Hay...Amma'n Ko Kaisay Batati Kay Un Ki Nazo'n Ki Pali Baiti Par Aik Aik Pal Kis Tarha Beeta..Mairi Baiwa Amma'n Aik Owr Sadma Kis Tarha Saihtee'n... main tum nay baba ko phir zinda krdiya hay,,,,,, haya is ka matlab hy k tum kahani ko bina soachay samjhay likhti chali gaee ho,,,cuz ye ghalti aisi nahi hy k isay miswriting samjha jaaiy,,,,is k ilawa jahan kahani wazaaht ka taqaaza krti hy wahan tum khamosh hojati ho or jahan kahani main khamosh rahnay ki zaroorat hoti hay wahan tum wazaaht shuro krdayti hay,,,,,,,,,mera tumhain yehi mashwara hay pehlay mukhtasir likho jab us pr dastras hojaaiy to tweel likhna,,,,kahani boht hi umda lag rahi hay but tumhari maharat hi isay is ka haqeeqi husn day sakti hay,,,, agar main afsanay k funni taqaazon ko balaaiy taaq rekh kr is afsanay pr tabsar keron to bila shuba boht umda or dilchasp kahani hay,,,, daikhtay hain k rija k saath ab is perdais main kiya banti hay...na piya raha or na baabul:( |
|
#22
| |||||
| |||||
| Quote:
Saahir Ji Aap Ki Baat Say Mujhay Ittifaaq Is Liye nahi Kiyu'n Kay Aap Nay Kahani Sahi Say Nahi Parhi...Abba Owr Baba Do Mukhtalif Shakhsiyat Hai'n...Rija Ki Shaadi Jin Halaat Mai'n Hui Thi Us Waqt Rija Kay Abba Beemar Thay Un Ko Diqq Jaisa Maraz Ho Gaya Tha Laikin Us Waqt Woh Hayaat Thay...Rija Firasat Kay Saath Pakistan Chali Aai Thi...Baba Firasat Kay Waalid Hai'n Owr Woh Bhi Zinda Hai'n... Rija Ko Pakistan Mai'n Apnay Abba Ki Wafaat Ka Pata Chala Hay... Mai'n Nahi Bal'Kay Aap Ghowr Say Kahani Nahi Parh Rahay (hehe) Jin Ghaltiyo'n Ko Aap Nay Bayaan Kiya Hay Woh Mujh Say Sar'Zad Nahi Hui Hai'n...Albatta Yeh Zaroor Hay Kay Mai'n Kahani Ya Afsaana Likhnay Ki Bareekiyo'n Say Poori Tarha Waaqif Nahi...
__________________ |
|
#23
| |||||
| |||||
| Quote:
Laikin Mai'n Bhala Kaisay Jaati Kay Mairay Sar Par To Abba Ka Thanda Larazta Huwa Haath Dhara Tha Owr Un Ka Woh Toot'ta Laihja Mairay Kano'n Mai'n Goonjta Rehta Tha '' Bitya! Maira Sar Na Jhukana '' Mai'n Bhala Waha'n Ja Kar Apnay Bad'Naseeb Marhoom Baap Ko Yeh Taana Kis Tarha Dil'Wati Kay BaitiTalaaq Lay Kar Waapas Aa Gai Hay...Amma'n Ko Kaisay Batati Kay Un Ki Nazo'n Ki Pali Baiti Par Aik Aik Pal Kis Tarha Beeta..Mairi Baiwa Amma'n Aik Owr Sadma Kis Tarha Saihtee'n... haya agar aap ko ye tanqeed buri lagi to very sorry,,,,laikin aap plz ye baat na kahain k main ny ye afsana nahi perha hy,,,,,boht juzyaat k saath perha hay hy or kahani ko pasand bhi kiya hy,,,haya ye likhna boht aasaan baat hy k aap ka afsana perha or boht acha laga or boht saari daad |
|
#24
| |||||
| |||||
| Quote:
Saahir Ji Mujhay Tanqeed Zara Bhi Buri Nahi Lagti..Tanqeed Bara-e-Islah Nahi Ki Jaey Gi To Seekhnay Ka Amal Hi Ruk Jaey Ga...![]() (Laikin Mai'n Bhala Kaisay Jaati Kay Mairay Sar Par To Abba Ka Thanda Larazta Huwa Haath Dhara Tha Owr Un Ka Woh Toot'ta Laihja Mairay Kano'n Mai'n Goonjta Rehta Tha '' Bitya! Maira Sar Na Jhukana '' ) Saahir Ji Yeh Alfaaz Rija Nay Apnay Aap Say Ada Kiye Hai'n...Ibtidai Page Par Hi Is Ki Wazahat Hay Kay Zindagi Bhar Rija Kay Sar Par Us Kay Abba Ka Haath Dhara Raha Owr Woh Laihja Goonjta Raha Woh Alfaaz Goonjtay Rahay...Woh Wapas Amma'n Kay Paas Jaanay Ki Himmat Na Kar Saki... Saahir Ji Insha Allah Baaqi Bhi Likhoo'n Gi Aaj Kal Bas Time Ki Kami Ka Shikaar Hoo'n..Aesa Hargiz Bhi Na Sochiye Ga Kay Mai'n Tanqeed Pasand Nahi Karti Ya Na'Gawaar Guzri Hay..Aesa Zara Bhi Nahi Hay...Bal'Kay Mai'n To Bouhat Khush Hoo'n Kay Aap Read Kar Rahay Hai'n... ... ![]() |
|
#25
| |||||
| |||||
| Quote:
Mai'n Bhala Waha'n Ja Kar Apnay Bad'Naseeb Marhoom Baap Ko Yeh Taana Kis Tarha Dil'Wati Kay BaitiTalaaq Lay Kar Waapas Aa Gai Hay...Amma'n Ko Kaisay Batati Kay Un Ki Nazo'n Ki Pali Baiti Par Aik Aik Pal Kis Tarha Beeta..Mairi Baiwa Amma'n Aik Owr Sadma Kis Tarha Saihtee'n... jab baap mar chuka hay to rija tana kis ko dilwa rahi hay?isi terha or bhi jaga jhool hain ,,,,tum pehlay is jaga say kahani ko theek kero |
|
#26
| |||||
| |||||
| Quote:
hmmmmm chaly phir next ka intezaar kerty hain mughy yaad kerwaye ga may nay isy complete pherna hay u ko to pata hay na mughy yaad nahi rheta kuch :(
__________________ Please use Image around 60KB only as your signature. Thank you Admin |
|
#27
| ||
|