It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~**... Khawb Safar ...**~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; /aoa Pichlay dinoon aik post hoi yahaan.. muqablay ke.. safar namay likhnay thai.. safar zindagi mein kaiyee kiyeah.. zindagi say ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#1
| |||||
| |||||
| /aoa Pichlay dinoon aik post hoi yahaan.. muqablay ke.. safar namay likhnay thai.. safar zindagi mein kaiyee kiyeah.. zindagi say lambay safar bhi aur sadiyoon pay moheet bhi ... socha tha waqat nay mohlat di tu zaroor likhoon ga.. aaj likhnay baitha tu humari mohtaram sathi naina jee nay jhat us ko lock kar diya.. acha hee kiya.. kay hum tu bus younhi dil behlanay ko baat kiya kartay hain.. tu khair uss safar ke taraf aata hoon jo ik khawb sa hai... iss safar mein aap aik naye shakhas say milain gai.. jo mein iss zindagi ke door mein janay kab kahaan choor aya hoon.. chaliyeah iss Khawb Safar pay chaltay hain.. ![]() Safar karnay ka shouq tu shaid nahi keh sakta haan adat mujh ko bachpan say pari.. choota sa tha tu mairay walid nookri kay sialsay mein lahore aa gai... hum apnay daada daadi kay saath rahay Nowshehra mein.. phir jab un kay roozgar ka kuch bando'bast howa tu hum bhi lahore aaa gai.. magar kuch arsay kay baad un ko karachi jaana par gaya tu hum dobara apnay daada daadi kay paas rehnay chalay gai.. kuch saal aisay hee guzray.. phir hum aik baar phir say apnay waldain kay saath rehnay karachi chalai gai.. wahaan hum nay apni zindagi kay sunehray din guzaray.. har saal garmiyoon ke chutiyoon mein Karachi say Nowshehra tuk ka safar jo lag bhag do din pay moheet howa karta tha woh kartay chutiyaan guzarnay apnay daada daadi kay paas aa jatay.. 2 maah rehtay saray rishtay daar apnay baal bachoon kay sath waheen pay aa jaya kartay thai.. aur uss ghar mein mailay ka sa samaan hoota tha.. daadi rooz humaray liyeah achay achay khanay banaya karti theen aur phir hum sab bachoon ko dopahar mein apnay kamray mein bitha kar kahaniyaan sunateen.. phal khilaateen.. aur phir khud hee khaani sunatay sunatay soo jaya karten.. aur sab bachay chupkay say aik aik kar kay ghar kay dalaan mein aa jatay aur khoob udham machatay kabhi bagheechay mein jaa kay us ka bura haal kar daitay.. aur jab daada ko pata chalta tu phir hajamaat ho khoob howa karti thee.. khair woh din bhi guzar gai aur 1987 mein jab humaray walid ka intaqaal howa tu hum sab ghar wallay lahore mein aa gai.. aik saal pehlay hee daada daadi bhi sab baich kay lahore aa gai thai keh un kay baaki sab bachay bhi lahore mein thai.. lahore mukhtalif shahar tha karachi say.. karachi mein kabhi bhi karachi waloon nay hum ko karachi walla na samjha.. aur jab lahore aye tu lahore waloon nay bhi apna na samjha.. safar ka silsala suffer kay saath saath chalta raha.. iss door dhoop mein koi khaas dost na ban saka mas'awaye khud kay.. haan kuch saathi zaroor millay... 1989 mein computer college mein dakhla liya kay kuch acha rozgar hoo sakay.. waheen pay kuch dostoon nay program banaya kay muree jaatay hain.. rehaash ka bandoobast upper topa kay army mess mein howa.. tu woh mairi zindagi ka pehla safar tha.. jis mein mein nay chehroon say hat kay hussan ko daikha.. aur ussay apnay andar utarta howa mehsoos kiya.. !! Woh safar kam tha nasha ziada.. aur phir tu youn howa kay har saal hee garmiyaan aati tu jisam pay chiyoontiyaan see reengnay lag jaateen.. dil chata buss kuch hoo aur paharoon ke bulaniyoon mein.. daryaoon kay kinray door tuk phaili wadiyoon mein.. jharnoon kay shoor mein.. baraf say dhakay darkhatoo ke jhuki shakhon mein panaah mill jaye.. saara saal june july kay maheenay ka intazaar hoota aur paisay ikathay kiya karta kay kab yeah din ayain aur paharoon ke aur safar kiya jaye.. aisay hee 10 saal ka arsa guzar gaya.. har saal khita e pak kay seenay pay garay parbatoon ke chootiyoon kay saayoon ko chootay.. mein jab bhi iss safar pay nikalata har baar hee kuch manchalay motorcyle pay in parhoon mein ghoomtay nazar aatay.. aur mein un ko tab tuk daikhta rehta jab tuk woh nazar mein rehtay.. !! aur phir shaam dhaltay he un sawaroon kay chehray badal jaatay aur maira chehra un ke jagaah lay layta.. yeah khawhish thi ya khawb tha.. kuch keh nahi sakta.. haan magar guzartay waqat kay saath saath junoon banta chala gaya.. aur iss khawahish nay zoor pakar liya kay zindagi mein aik baar zaroor inhee wadiyoon mein younheen azaadiyoon kay saath phirna hai.. !! Phir youn howa 2000 ka saal aya aur hum nay aik motorcycle lay lee number us ka tha LXM3855 Honda CG125. humari tu lottry nikal aye.. uss khawb ke tabeer mill gai humain.. mein roz office say nikalta aur kabhi rai wend road pay aur kabhi multan road pay motorcyle doraata phirta... yeah khwab say tabeer ka safar tha.. mein roz jab motorcyle pay baith kay office jaata tu zahan mein yeahi hoota kay jaisay kohsaroon kay darmayaan say kaheen guzar raha hoon.. rooz ka hee mamool ban un tamaam saathiyoo ko jo mairay saath har saal parbatoon kay safar pay mairay humrah hootay un ko office say ghantoon lambi calls karta aur un ko iss safar pay jo mein motorcyle pay karna chahta tha iss baras uss kay liyeah ammada karta.. kuch sathiyoon nay tu jab yeah suna tu hathay say hee ukhar gai aur khoob salawaatain sunayain.. keh miyaan damaagh kharab hoo gaya hai... kaya zindagi payaari nahi.. magar jab akhoon mein khawboon ke tabeer utri hoo tu kahaan kuch sunayee daita hai.. Phir youn howa kay jo kuch saathi manay thai saaal kay shuroo mein jaisay jaisay garmiyoon kay din kareeb aye kuch kay ghar mein kuch kaam nikal aye.. aur kuch ke tabiyaat kharab hoo gaye.. faqat ik mein bacha aur aik maira cousin.. jis ko mein nay zor zabardasti say razi kiya tha kay woh mujh say umar mein kuch choota hai.. aur pichlay baras uss ko mein apnay saath nashay kay iss samandar ke ataah gehraiyoon mein Huza aur Qaylaash jaisi vadiyoon mein liyeah ghooma tha.. woh din bohat lambay thai.. September ke 19 tarkheer tay hoi thi iss safar kay liyeah.. aur September aa kay nahi dai raha tha.. khuda khuda kar kay Aya aur hir woh raat bhi aye jis kay souraj taloo hotay hee hum nay iss safar pay nikalna tha.. mein bohat khush uss din.. dafatar say aatay hee sab samaan aik bag mein band kay bag aisay tayaar kar liya jaisay abhi safar pay nikal parna hai.. Lahore mein mairi adat thi mein ghar ke chat pay sooya karta tha.. jaldi soonay kay subah souraj nikalnay say pehlay hee safar ka iraada tha.. raat kay koi aik bajay ka waqat hoo ga kay Bakar (maira cousin) aya aur kaha kay uss kay walid nay janay ke ijaazat nahi di.. aisay laga jaisay chun say sab toot gaya hoo.. uss kay saaharay hee tu jaa raha tha mein.. kay akaylay woh bhi motorcycle pay paharoon ka safar karna.. sara sar pagal pun tha.. woh tu yeah keh kay chala gaya.. aur mein dair tuk jaagta raha.. ajeeb kashmakash mein tha.. sab ko keh chuka tha iss saal mein motorcycle pay paharoon pay jaoon ga.. yeah safar maiiri pehchaan ka hissa thai.. aur na bhi hoon.. yeah woh safar thai jo mairay tamaam saal ke thakan utaar diya kartay thai.. bohat thakawat hoo gai.. janay kab aankh lag gai.. !! Subah kay koi 9 bajay ka waqat hoo ga jab maa jee nay aa kay utha aur jo pehli baat kee woh yeahi tum nay tu jana tha.. gai nahi.. woh janti theen.. un ka baitta kitna thaka howa hai.. woh safar pay na gaya tu uss ke thakawat nahi utray gi... woh pehla din tha jab safar kay naam pay dil mein khoof utar aya tha.. woh lambi musafattain jo har saal dostoon kay sung palak jhapaktay guzar jaya karti thi.. zindagi say lambi lagi.. magar ussi pal koi devana cheekh kay boola.. Maa jee aap bhi kamaal karti hain.. itni dair say uthaya.. kab nikloon ga kab pohanchoon ga.. Maa jee hairat say mujh ko tuknay lageen.. aur kaha mein tu tumharay dostoon ka intazaar kar rahi theen jin kay saath tum nay jana hai.. uss waqat tuk mairay andar ka musafir jaag chuka tha aur woh mujh pay poori tarhaan haavi hoo chuka tha.. jhat say bahana taraasha kay nahi hum sab nay Sheikhupura mein mil kay nashta karna hai.. aur phir baghair moun dhoye kapray badlay bag pakra maa jee ke dhairoon duwain leen.. ghar say bahir aya motorcyle start kee aur nikal para.. gali ke nukar pay jaa kay peechay mur daikha maa jee darwaazay pay khari mujh ko daikh rahee theen.. aur un mein yaqeen tha phir say daikhnay ka.. ! Maa ke woh nazar woh duayain mairay liyeah kaafi theen.. @};- Ghar say nikla tu khud ko bara akayala mehsoos kiya.. ghussa bhi bohat aya un sab pay jinhoon nay pehlay kaha kay hum saath challain gai par ayain waqat pay dagha dai gai.. dagha khaanay ke adat see hoo gai hai... par iss ka faida yeah howa woh uss ziddi shakhas nay zid pakar lee keh aab tu jana hai.. chahay kuch hoo jaye.. aur kaisay naa jata ghar say tu nikal hee aya tha.. pehlay ilaqay ke main market gaya wahan pay aik shop hai jahaan mein roz mango milk shake piya karta tha.. wahaan jaa kay milk shake kay 2 glass banvaye aur ghata ghat pee gaya.. waheen pay baithay baithay plan banaya keh abhi nikloon ga tu 5 ghantay mein via GT Road RawalPindi aur lag bhag 4 ghantay mein Abottabad pohanch jaoon ga.. Rawalpindi mein mairi aik khala rehti hain socha dopahar ka khaana waheen jaa kay khaoon ga.. buss yeah socha aur bike pay baitha halmet pehna aur Band Road ke taraf hoo liya.. Band road pay un dinoon naye sarak ban rahi thi.. aur treffic ke halat burri thi.. magar hum tu motorcycle pay thai aur kaafi shookha andaaz paya hai mein nay motocycle chalanay ka.. dost tu kehtay hain basit tum motorcycle nahi chalatay mout kay kounain mein race lagatay hoo.. mujhay achi tarhaan yaad hai uss waqat ajeeb ajeeb sochain aa raheen theen.. youn motorcycle pay paharoon mein motorcycle pay janay ke khushi bhi thi aur ik lambay tanha safar ka khoof bhi.. Inhee sochoon mein gum GT road pay aan pohancha.. wahaan say left turn liya aur sochoon mein aisa magan tha kay GT road pay janay kay bajaye Faislabad road pay bike daal di.. par jab road pay har 10 mins kay baad Faisalabad itnay kilometer reh gaya tu thoori pareshani hoi keh yeah Faislabad kab say move hoo keh GT road pay aa gaya.. kuch dair tu khud ko hee samjhata raha keh nahi Faisalabad GT raod pay hee hai.. magar jab Faisalabad kuch hee kilometer reh gaya aur Gujranawla na aya tu road ke side pay truck driveroon kay liyeah banay howay aik qehwa khanay pay bike kharee kee aab yeah poochtay howay sharam bhi aa rahi thee keh itnay lambay safar pay nikla hoon aur pehla moor hee shaid ghalat lay liya.. issi sharam sharam mein aik karak chaye ka order diya aur nunge charpaye pay layte gaya thakawat see honay lagi thi.. Bay'shtar iss kay keh neend aaati aur mein waheen soo jata chaye aa gai.. chaye jo larka lay kay aya uss say baray raazdarana andaaz mein poocha Rawalpindi ko yeahi sarak jaati hai kaya.. uss nay kaha Haan.. tu dil ko tasaali hoi.. par sath hee jab uss nay haath say udhar ko ishara kiya jidhar say mein aa raha tha keh iss taraf jaa kay agay GT road aye gi udhar say seedhay haath hoo jaiyeah ga tu chaye aik dum pheeki see lagi.. bari mushkil say woh garam garam chaye khatam kee aur bike pay dobara himat kar kay baitha .. kamar tab tuk takhta hoo chuki thi.. woh jitni practice kee thi woh sab jawab dai chuki thi.. magar jo thaan baithay thai.. uss ka kaya kijiyeah.. Wapis udhar ko bike moori jidhar say yahaan tuk pohanchay thai.. GT raod pay jaa kay dobara shak howa keh kaheen uss larkay nay jhoot tu nahi bool diya.. aik thailay wallay say doobara confirm kiya aur pata chala keh hum khair say dairh ghanta kissi aur hee dashat ke musafat kartay rahay hain.. khair jee bike ko GT road pay daal diya aur woh jis speed pay jaa sakti thi matlab koi 100+KM.. uss speed pay doorana shuroo kar diya.. aur baaz dafa tu speedo meter ke soee bhi mairi taraf bari iltajee nazroon say daikhti thi.. CD player sath lay kaya gaya howa tha.. kanoon mein headphones lagay howay thai aur CD pay Nusrat Fateh Ali ke Qawaliyaan chal raheen theen.. Tum Ik Goorakh Dhanda Hoo uss waqat lag bhi sab goorakh dhanda hee raha tha.. Qawali suntay suntay pata hee nahi chala Gujranawala aa gaya.. Jab Gujranwala aya tu aisay laga jaisay manzil bus younhee kuch lamhoon ke musafat pay reh gai hoo .. woh yaqeen jo uss waqat milla wohi tha jo phir saray rastay saath raha.. aur pata hee nahi chala kab Gojar Khaan aur phir Rawalpindi aa gaya.. Taqreeban 3 baj kay kuch mins pay mein Rawalpindi mein apni khala kay ghar tha aur uss waqat ehsaas howa keh jisam ka kaya haal howa hai.. jab bike say utra.. kuch lamhay tu laga hee nahi yeah maira apna badan hai.. tangain mein jaisay kissi nay ussi halat mein sariyaa daal diya tha jis halat mein mein bike pay baitha howa tha.. khair khala mujhay daikh daikh kay kam hairat zada hoieen aur mairi bike ko daikh kay ziada hoyeen.. un ko yaqeen hee nahi aa raha tha kay basit miyaa lahore say un keh ghar tuk younhi bike pay hee aya hai.. khair yaqeen dilana maqsood bhi nahi tha.. poocha kuch khanay mein hai.. bhindiyaan khanay ko mileen.. lady fingures.. apna he maza tha un ka.. saath mein unhon nay ussi waqat doodhi halwa bana liya mairay liyeah .. yahaan yeah batata chaloon kay jitna acha mairi khala doodhi halwa aur parathay banati hain mein nay aaj tuk apni zindagi mein kissi aur kay haath ka nahi khaya.. Khuda khuda kar kay khana aya tu khala mairay pass hee aa kay baith gaieen aur kehnay lageen kapray change kar loo aur aab araam karoo.. mein un ke baat sun kay hans para aur kaha nahi jee mein ab nikloon ga.. poocha keh kaha.. aur jab mein nay bataya keh ab abotabad jana hai aur aat udhar hee qayaam karoon ga.. tu yeah bari bari ankhain dikhain aur saath mein do aik shareefana kisam ke galiyaan deen aur kaha damaagh kharaab hai.. par uss waqat tu mujh ko sirf apna hee theek lag raha tha.. un ko samjhaya keh lahore say yahaan tuk pohanch gaya hoon agay bhi kuch nahi hoo ga.. aur jo agar kuch hoona hoota hai woh kaheen bhi hoo sakta hai ghar mei baithay baithay bhi.. baat un ke samajh mein aye ya nahi.. par yeah howa keh bike ghar say nikalnay aur agay kay safar pay janay ke ijazaat mill gai.. Waheen pay mairay aik cousin rehtay hain.. un say poocha keh bhai Abotabad janaay ka rasta tu bata do.. un keh liyeah shaid mairee yeah harkat koi ajeeba thee.. kehnay lagay mein sath chalta hoon abotabad mor tuk choor aata hoon tum ko.. mujhay aur kaya chahiyeah tha.. unhoon nay gaari nikaali aur mujh ko lead karnay lagay.. Peshawar road pay kuch ziada door nahi jana para aur adh aik ghantay mein abotabad more aa gaya.. waheen pay aik resturant hai naam bhala sa tha.. wahaan baith kay hum nay aik aik cup chaye ka piya aur phir hum nay un say ijazat chahee bike start kee aur abotabad ke taraf apna safar shuroo kiya.. ![]() Baki Aainda @};-
__________________ Baray Udaas Din Hein.. Aur Soogwar Rattein... !! jazboon ka khuda jazba mohabbat naam hai jis ka kaya dhal lafzoon mein sakta hai ? samandar kaya kabhi koi koozay mein samaya hai? |
|
#2
| |||||
| |||||
| hummmmmm...... kafi mushkil passand insaan hain ![]() shru sey akhir tak aacha laga parh k ..pehli tehreer hay aap ki jo zara kum jholoo.n k saath hay warna bandha jhool nikalte nikalte hi door nikal parta hay ![]() bohat khoobsurat khush raheye hamesha
__________________ guzar hi jay gi terey baghair bhi laikin bohat udaas bohat sogwaar guzre gi |
|
#3
| |||||
| |||||
| Quote:
keyaa khayal hay cheyron kay husn par bhee ho jaey ek post /bhagoor jin wadioon ke baat ke hay wahaan jep may beth kar bhee safar say dar laghta hay or u bike par waysay Pakistan ke yeh wadiaan jub bhee ja kar dekhoo har bar new se laghte heen.aaj kal to waysay bhee kafi Ronaq hay K2 par /ydance or maa ke dua say barh kar kuch bhee nhee hay dunya may @};- |
|
#4
| |||||
| |||||
| bohat acha likha hai /rose
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#5
| |||||
| |||||
| [quote=Basit] Asalam o Alaikum .. purani yaadain taza ker di ... 2 saal say meray qadmooo nay bhee nahi chuma un unchay sarsaabz barfilay paharoon ko such tarus ker rhe gaya hoon . last yr ka tour bhee sister ki shadi ki wajha say miss howa or is saal ka tour bhee miss ho gaya kion kay 2 months lhr main raha . per wapis anay say phelay Malam Jabba or Kamal ki wadiyon ko palak jhapaktay choo he aya per tahsnagi si baqi rhe gaye meri .... or woo jo darina khuwashis app puri ker chukay meray undar abhee tak samye hovehay or aksir o bashtar mujhay jhinjorti hay kay nikal paroo nikal paroo phir ye haseen moqa nahi milay ga ... abb dakhoo kab moqa milta hay Bike per ya Car per un haseen wadiyoon ko ghomnay ka ... or ek situm or is dafa 38 teams aaye hoveen hay K2 base camp per annivercery hay K2 climbing ki or main yahan tamaktoiyaan mar raah hoon nahi ja sakta bohot busy hon kam main..... apnay safaroon ki kahani bhee ek ek ker kay share karoon ga .. itnay saray hain abb time lagay ga na un haseen wadiyon ko un manzaroon ko jo ajj tak dil ker undar tak samaye howay hain lafzon main dhalnay kay ....... or haan abhe K2 base camp tak ka safar baqi hay next yr ya 2006 main insha Allah pura kerna hay agar app ka saath howa tu maza dobala ho jaye ga ... wish u best of luck Allah hafiz |
|
#6
| |||||
| |||||
| [quote=ikirfan] hahahahaha Lala jee ooo Lala jee .... Basit is say poochoo kay har bar jab bhe safar kia apnay saath Shopper kion rhkata hay ![]() ![]() |
|
#7
| |||||
|