It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on jana zarori hai......... within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Juda ho kar chalna humaray paon ki taqdeer thi...itnay faslay pay rehna hai humay jahan koi pukaray tou sada baaz'gasht ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Juda ho kar chalna humaray paon ki taqdeer thi...itnay faslay pay rehna hai humay jahan koi pukaray tou sada baaz'gasht ki sorat gonjti rahay....aur yea mumkin na rahay .....kay koi lout aay.....sham o sahar jo b pawan chalti tou yehi sach sa'yain sa'yain karta....humay bichar jana tha...... haan magar yoon hota tou kitna bhala lagta........... TUM aik subh mairay sath sooraj kay samnay kharay hotay......jis ki kirnain ,roshni ki naram nazuk dharon ki soorat humaray opar chamakti....hum kuch dair khamoshi say ankhain modhay kharay rehtay.....phir tum ankhain khol kar kehtay''Sunou....aaj har bikharti kiran ko khud main samo lo ....yoon..kay jab roz sooraj yoonhi roshan ho ga......tou tum in kirnon ka lams mehsoos karo......kay mujay jana hai........''main ghabra kar ankhain khol daiti ...magar yoon lagta jessay sooraj bujh giya ho aur andhera jaag gaya ho....main hazar khwab aik ansoo main samo kar pouchti''Jana zarori hai?''tum woh ansoo apni hathli main jazb kar kay kehtay''haan bouhat zarori hai ....'' aur phir chalay jatay...ous kay baad har din ka sooraj bouhat dheemi roshni daita .....magar mairay undar jo kirnain bas chuki thin ....woh kehtin....''jana zarori tha.............'' haan manti hoon , tum say duuri an samjhi majbouri tehri.......tum is duuri ko mairay maathay par likh jatay........magar yoon hota tou kitna bhala lagta......... Tum aik baarish ghanay pair talay mujay kehtay''is baarish ko khud pay barasnay do''.......main geelay paton ko chouti , tumhara sath mehsoos karti aur mukurati rehti.........phir tum pouchtay....''is baarish main jo thandak hai , tumhari kitni piyas bujhati hai?''......main kehti....''rooh tak ko sairab kar chuki hai....''tum kehtay...''in qatron say khud ko itna hara bhara kar lo kay khizan kay sab amkan khatum ho jain...KAY....aab kay baad har sawan tanha tumharay aanghan outray ga''............muja y tumharay yea kehnay say yoon lagta, jessay mairi rooh kay sehra say mouhabat ka sawan bin barsay lout gaya ho.....aur piyas main sab jal gaya ho....main pouchti''Jana zarori hai.....?''aur tum meetay phouvar barastay lehjay main kehtay.....''Haan bouhat zarori hai......''ous kay baad har sawan main band kamray baitha karti .....aur ous guzri barish ki har bondh tumharay alfaaz duhraati.....''jana zarori hai........'' Magar aisa kuch na houva.........hum sath chaltay khwab buntay rahay.....kabhi boltay , kabhi gunguna'tay rahay.......aur sham dhaltay hi aik geet tum gaatay rahay......... aik din tum gehri khamoshi ouray nazar aay.....itni khamoshi kay tumharay palat'tay qadmon ki chaap sunai day rahi thi.... main nay kaha ''mujay geet sunao na....kay ankhon main neend outray....'' tum khamosh rahay......... main nay poucha........ ''kiya mairi neendain lay kar ja rahay ho?''............ tum khamosh rahay...... main nay poucha.......... ''jana zarori hai?............''tu m khamosh rahay phir na janay kab mairi ankh lag gai aur ankh kholi tou tum ja chukay thay......haan ous din say main jaag rahi hoon.... @};-
__________________ http://media.santabanta.com/gallery/...0clooney3h.jpg |
|
#3
| |||||
| |||||
| hmmmm lajawab@};-
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| Ambreen ji...jawab nahi aap ka...you are simply the best....(y) kuch log waqai mein aisay kho jatay hain ke dil ko unn ke janey ka yaqeen hi nahi hota...aur aisa lagta hai jaisay abhi lout aayen gay...magar laut ker aata hai sirf unka intazar jo aankhon main jamm jata hai aur unki nakaam khoj jo kabhi jeenay nahi deti...chain se mernay nahi deti main to samjha tha ke laut aatay hain janey walay tu ne to ja ker judai meri qismat ker di........... with respect & care withlove @};-
__________________ ![]() .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN....... |
|
#5
| |||||
| |||||
| its very good and beautifully written ![]()
__________________ |
|
#6
| |||||
| |||||
| AOA Dr. Ambreen......... ![]() bakamal likhti hain janaba aap tu.. baKhuda ghazab ka likhti hain....ye tehreer bhi bohat aachi likhi hay besakhta daad dene ko jee chaha hay.... khush raheye likhti raha karain k acha likhthi hain ![]()
__________________ guzar hi jay gi terey baghair bhi laikin bohat udaas bohat sogwaar guzre gi |
|
#7
| |||||
| |||||
| hmmmmmm acha lhika hai :flower
__________________ |
|
#8
| |||||
| |||||
| Ambareen bohat achy lafzoon main apna kayalaatka izhaar kiya hay ... sada muskurati raho @};-
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#9
| |||||
| |||||
| Dr. ambreen acha likha he aap ne aap medical pe bhi kuch likha kijiye...ta ke muj jese zehni beemaar bhi mustafeed ho sakein..lolz. P.S. pata nahi kyoon mujay yahan mazaak kerte huay der lagta he...baray baray serious loog hein is section mein /bhago
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |