It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Ijaazat,,,,,ALLAH HAFIZ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; , /aoa :flower Bhai sagar.....ALLAH(SWT) say dua hai k hamaray Bhai jahaan bhi ja rahay hein khair o aafiat say ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#11
| |||||
| |||||
| , /aoa :flower Bhai sagar.....ALLAH(SWT) say dua hai k hamaray Bhai jahaan bhi ja rahay hein khair o aafiat say apna safar mukamal ker k aa jaein....khushioon k saath..Aameen ALLAH(SWT) aap ko khush rakhay bohot....Aameen @};- . |
|
#12
| |||||
| |||||
| Salams Sagar ji ... mashallah bohat hi khoob sahib... dard chuntay chuntay .. ye dard kab se dena shuru ker dia.. aap ne ye kaisay soch liya ke yunhi chalay jayen gay.. kahe'n nahi ja rahay... dunia mien kahen bhi ho'n aap HG per aa saktay hein .. to phir aisa bhi kya.. ke na aanay ka keh dala.. apnay pyaro'n ka hi socha hota... ho sakta hai ... koi aap ko dekh dekh jeeta ho.. ho sakta hai .. koi aap ki badolatt bikher ker simta ho... kuch to sochiye....aakhir hum bhi to hain jo ... Ji rahay hein kama kertay hein .. to phir.. ?? //////// Dey ker judai kehtay ho abb ji ke bhi dikhao Kabhi pyaro'n ko yun bhi aazmaya kertay hein?? Kisi ki zindagi ke waastay iss mohabbat mein sagar Kuch waaday zaroori hein jo nibhaya kertay hein Phir nikal partay hein hijr ki tapti dhoop mein hum Phir tere ghum ke saye, ... saya kertay hein wo humen chor gaya to hum per ye bhedd khula kuch safeenay sar-e-sahil bhi doob jaya kertay hein Sagar ji ... meri aap se kuch zayada rah-o-rasm to nahi rahi.. haan jitni bhi rahi .. chahat aur khaloos se bharpoor rahi.. aap ko jitna parha hai ... uss se barh ker suna hai... abb tak aisa na koi mila .. jisay aap se koi gila ho.. koi shikwa .. koi shikayat ho ... Mera kuch zayada maan to nahi aap per.. phir bhi kahay deta hon .. ke mat jaiye.. loat aayiye.... nahi to hum bhi yunhi jaltay rahen gay.... Itnay baray jahan mein jaye ga tu kahan iss ik khayal ne mujhe marnay nahi diya Ye hijr hai to iss ka faqt wasl hai ilaaj Hum ne ye zakhm waqt ko bharnay nahi diya so... ye zakhm abb waqt nahi .. aap hi bhar saktay hein... aap ke faislay ka intazar rahay ga... @};- apni sabhi wafao'n aur duao'n ke saath withlove @};-
__________________ ![]() .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN....... Last edited by withlove; 05-06-2005 at 08:59 PM. |
|
#13
| |||||
| |||||
| he is no more with us .. mera jiggar mera chota bhai chala gaya choor ker mujhay.. jis waqt meri uss ki baat hove yahan jummay ki namaz ka waqt tha or woo pehr chuka tha namaz . main us ko online dhak ker hairaan tah kay ajj opration hay or ye online baytah howa hay . mainay kaha kahan bhai kehnay laaga ajj jumma hay iss liye ajj nahi kerwaya opration kal ho ga . phir kuch baatainhoven or shayad main samjah wo dc ho gaya main namaz kay liye chala gaya . kafi arsa say Jummay ki har namaz main uss kay liye bohot dua ki kay Allah us ko lambi or achee sayhaat ata fermaye usay apni hifz o amaan main rakhay . per dil mera darta tha uss ki halat sun ker . or jis ka daar tha meray under wohe ho gaya . Allah say dua hay uusay jannat main jaga ata fermaye . uss kay tamam gunahoon ko maaf ker kay uss ki magfirat fermaye . uss ki qabar ko roshan or munawar karay amin sumameen
__________________ ![]() |
|
#14
| |||||
| |||||
| Quote:
WE ALL MISS U @};- |
|
#15
| |||||
| |||||
| SAFAR PEY NIKLEY HEYN SAFAR KAR KEY DEYKHTEY HEYN BOHUT DIN JEE LEYA AB MARR KEY DEYKHTEY HEYN bohat din pahlay sagar bhai nay shair kaheen likha tha aj is pa amal kar liya na bhai chor gaya na sath |
|
#16
| |||||
| |||||
sad sadLast edited by saarang; 05-07-2005 at 12:11 AM. |
|
#17
| |||||
| |||||
| /aw2 |
|
#18
| |||||
| |||||
| yeh sub kiya hai ? abhi aik umeed hai bus
__________________ ![]() |