It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on gayr adbi yadain... within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; salam dosto... /yhug qisa kuch yoon hai kay humay aaj apna college bouhat yaad a raha hai.....socha kuch yadain aap ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| salam dosto... /yhug qisa kuch yoon hai kay humay aaj apna college bouhat yaad a raha hai.....socha kuch yadain aap say b share ki jain ...theekh?.....waisa y tou writers club main achay achay adeeb adbi batain kartay hain ...hum nay socha kuch gayr adbi batain b ho jain ...kion? sab say pahlay 1st day...jab daray daray sehmay sehmay college main enter houvay......aur jatay hi seniors kay hathay char gay.......punjabi songs ..falan race ...khari car ko dhaka ...falan nara lagao ..etc.....aisay azeem kaam jo karway so karway .....lakin sab say buri bas main ki....wapsi kay waqt jab college bus main baithay tou wahan b seniors nay khoub class li ......khuda khuda kar kay ghar ka stop aya ......bus ruk gi ....hum nay outarnay kay liyay darwaza khola ......lakin darwaza kholay hi na.....darwaza undar ki taraf pull karnay say open hota tha ......seniors kahain kay darwaza zor laga kar kholo .....hum nay khoub zoro shour say zor lagana shouro kiya .....lakin janab darwaza thora sa open ho ..aur sath hi phir band ho jay.......hum nay baychargi kay alim main bus driver ko dekha ...woh b kehtay baita zor say pull karo ...peechay dekha tou sab seniors hans rahay thay....... khair hum doubara Allah ka nam lay kar darwaza kholnay lagay ....lakin ous darwazay nay b na kholnay ki qasam khai thi......5 mins ho gay is mushaqat main ....... main nay kaha seniors ko ....dekhain yea ziadati hai ...... ''kis kay sath ? darwazay kay sath?'' peechay say awaz aai... main nay kaha ...koi aur option nahin hai ? ''haan hai''........ ''kon si '' ? hum nay khush ho kar poucha ..... '' yahi kay window kay rasstay bahir jaya jay ''.......seniors ka jawab la hola wala quwata ......aab mustaqbil kay doctors khirki say baramat hoon gay .....nahin yea option reject houvi ....... khair 15 mins tak kuch seniors nay kaha kay humay kal kuch khilana pilana ho ga .....hum foran maan gay ......aur darwaza open houva.....asal main ous ko lock karnay ka button bus driver kay pass tha ......jo seniors ki ijazat say hi hilaya ja sakta tha ...... bus say aik aur waqaya yaad aya ....next day hum 3 friends jo aik hi bus par jatay thay ...bus main baith gay .....hum logon ko abi rastoon ki pehchan na thi .....hum nay ziada gor na kiya kay bus ki raston par safar kay marahil tay farma rahi hai .......maira ghar koi 25 mins tak aa jana tha ......lakin jab 40 mins ho gay aur kafi larkian outar gin .....tou mairi friends thora parayshan houvin.......kehtin kay ambreen yea koi aur hi jaga lag rahi hai .....main nay kaha ho sakta hai driver ko '' raasta badal kar chalnay ki adat ho'' aur ous nay different route liya ho......khair jab 1 hour ho giya tou main nay b bahir nazar dorai aur gor gor say bahir ki jaga ko dekha aur socha .. isi shahar main maira ghar b tha................. ... mairi friends tou bouhat hi parayshan ho chuki thin .....coz 2 hours guzar chukay thay .......kehnay lagin itni dair main tou insan nail kay sahil say tab khakay kashgir pouhach jay .........tum driver say pata karo kay akhir masla kiya hai ..... yea tou wohi mamla ho giya kay ''ik umer chalay aur ghar nahin aaya'' khair main driver uncle kay pass gi .....oun say poucha kay aap ko kis nay keh diya kay hummay lahore ki sarkoon ki sair karwain ? ....kehnay lagay kay main tou bilkul sahi simat mehvay safar hoon ......yea cantt kay area ki bus hai......hum nay apna sar peet liya kay kahan cantt aur kahan humara ghar ..... ...asal main ousi din buses kay route change houvay.......notice board par laga diya giya tha .......lakin hum new thay ....humaray farishton ko b nahin pata kay notice board par humaray liyay kuch likha giya hai ...... khair ous din ghar 4 hours late pounchay .....kionkay ous bus nay route complete kar kay doubara college outar diya tha /skull mazeed yadain.....next post main... @};- |
|
#2
| |||||
| |||||
| Doc buhat acha laga parh ker aur buhat kuch yaad be aa gaya adwo First Years fools adkya din thay wo be thanks Doc tum nay itnay achay din yaad kerwa diya Khoosh Rho @};-
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
nice sharing /rose
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#4
| |||||
| |||||
| /welcome1 to writers ![]() wah ji doc sahiba kya khoob hi mazai kai din guzarai hian aap nai /weldone bauhat acha laga parh kar wakai woh din sab sai achai thai jo ab yaad atai hain...nahi nahi mere sath ye aisai kisam kai wakiyai paish nahi ai kyon kai idhar ulat tha hum nai apnai seniors kai naak mein dam kiya hota tha...becharai apni jaan bachai phirtai thai ![]() chaliyai share karoongi ye sab aap kai sath bhi ![]() khush rahiyai and keep writing ![]()
__________________ |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
aap b khush rahain ... @};- |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
thanx altreasure sahiba.... @};- |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
bouhat shukria diya .......aur haan yea aap kaisay seniors kay naak main daam karti thin ?...humay zaror bataiyay ga.... ;;) khush rahiyay diya .... @};- |
|
#8
| |||||
| |||||
| loo ekk ure bawakooof discover hoo gaya
__________________ Zahid Saleem Chudary |
|
#9
| |||||
|