It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~~~ek Lamha... Ek Soch!```, Hey Share Yours!! within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Sooraj dheerey dheerey paharoun kai peechey dooor kahin badloun main doob raha tha…barish ka zour toot raha tha…faza main mitti ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Sooraj dheerey dheerey paharoun kai peechey dooor kahin badloun main doob raha tha…barish ka zour toot raha tha…faza main mitti ki sondhi sondhi mehak rachi hui thi…ye wohi mousam hai na….!jisey ham hamra mousam kaha kartey they…Tum kehtey they kai dekho aaj aasman khul kar roya hai aur Main kehti,dekho!phir kabhi aisa na kehna…aasman tou hamaree khooshiyon main khul kar barsa hai aaj …tum meri aankhoun main gour sey dekhtey aur muskura detey,phir kehtey,acha suno…ab nahin kahoon ga. Aah…barsoun beet gaye lekin aaj bhi iss nam faza main merey kahey inn lafzoun ki goonj baqi hai,lekin na janey kiun mera dil aaj tumharey kahey huye alfaz dohra raha hai kai dekho!aaj aasman khul kar roya hai….!aaj bhi faza main mitti wohi mehak aur barish ki wohi khooshboo hai…!main dheerey dheerey qadam uthati issi rah guzar par inhi darakhtoun kai saye taley chal rahi hoon,jahan hamaree mohabbat ka janam hua tha,main ney chaha kai hamaisha ki tarah barish ki khooshbooo apney dil main basa loon,lekin khayyaal aaya…Tum bhi tou aik mashoor kun khooshboo ki tarah merey dil main basey they…meri sansoun main sama gaye they…aur be-wafa hawa kai aik jhoun kai ki tarah kahin dooor…bohat doooor judayi ki kohar main kho gaye…. Aah ye souch kar kai barish ki khooshboo bhi kahin kohar main….iss dhud main….kho na jaye main faza main barish ki ye khooshboo bikhraye apni raah chal di. main barish ki ye khooshboo apney dil main na basa saki….suno Tum jahan bhi ho…barish ki ye khooshboo hamisha mujhey tumharee qurbat ka aehsaas dilaye gi….kai tum merey qareeb ho….bohat qareeb……!!!
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
.chigum
__________________ Mout na aye, Teri yaad kiun aye |
|
#5
| |||||
| |||||
| 91% KHODE likha hai. lakin mostly barish may logoon ki feelings same ho jati hain hain |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() or apprichiation bhi ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| @};- aray wah aap nay khoobsorat likha hai... mazeed likhiyay...aur khush bhi rhiyay.. @};-
__________________ http://media.santabanta.com/gallery/...0clooney3h.jpg |
|
#8
| |||||
| |||||
| well thanx 2 alll app log bhe apni koi sooch koi aasa lamha jo app ko bahat acha lagta ho app share kar saktay hain :-) |
|
#9
| |||||
|