It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~* Dosti *~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Dosti main agar halki see kharaash bhi par jaaey tu mushkil say hee jaati hai .... kyun keh jis pay ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [5] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Dosti main agar halki see kharaash bhi par jaaey tu mushkil say hee jaati hai .... kyun keh jis pay aitabaar hota hai ussay say nuqsaan hota hai .... maeree dosti bhi aisi hee thee ... uss say dosti kee .. aitabaar kiya ... laikin shaid galti hoo gaee keh waqt say pehlay hee uss say baat kar lee keh agar aisa hoo gaya tu kuch baqi nahi rahay ga .. dono bikhar kay reh jaayein gay .. magar itnay araam say samjhaya uss nay keh aisa kuch nahi hoo ga .. main kissi baat kay liye bhi tumhain majboor nahi karoon ga .... Dosti chalti rahi ... hamaray darmiyaan shaid aisi dosti qaim hoo gee keh lagta hee nahi tha keh hum aisay dost hain jin ko koi bhi baat alag kar sakti hai ... apni har baat mainay uss say share kee ... uss ko hamesha apna samjha shaid issi liye uss nay bhi apna samjha aur apnay baaray main bhi sab bata diya ..... woh bhi aisay hee hoo gaya keh jaisa hamara har rooz baat karna zaroori hai ..... uss kee aik muskurahat say kitna sakoon milta tha .... aisay baatain karta tha jaisay keh ussay yaqeen hai aur saamnay walay banday say apni baat manwaa lay ga .. har cheez main hissa laina .. har kissi say mazak karna , un say aisay milna jaisay keh bohat poorani jaan pehchaan hoo .... kabhi kabhi mujhe uss kee batoon pay ghussa aata tha keh mujhe tang karnay kay liye doorsoon say maere buraiyaan karta hai..... phir woh din aaya jab wohi baat hoo gaee jis ka shuroo main kabhi darr tha /cheypi ... waheen say fasloon nay barhna shuroo kiya aur itnay barh kay keh uss kay baad aksar hee aisa hota keh din guzar jaatay baat na kiye howay ... uss ko mainay keh tu diya tha keh jo howa sahi nahi howa aur mainay kaha tha keh aisa na hoo keh woh baat hoo jaaey .. magar uss nay phir kaha keh aisa nahi hoga sab kuch pehlay jaisa hee rahay ga .... magar uss kay andaaz say pata chal raha tha keh nahi sab waisa nahi hai .... hamari dosti main farq par chuka tha magar phir bhi kaheen na kaheen yaqeen hai keh hum aik doosray kay saath waisay hee rahain gay jaisay keh pehlay thay ab bhi mujhe umeed hai keh chahay jitnay bhi buray halaat hoo jaayaein ... kitnay hee door kyun na hoo jaayein hamari pehli wali dosti main itna zoor haikeh hamain kabhi uss rah ko chorna nahi paray ga .... jo insaan sab ko hausla daita raha aaj uss rah pay khara hai yahan ussay sab ke zaroorat hai magar kissi ka sahara laina nahi chahta ..... magar yeh daur bhi bohat jald guzar jaaey ga .................... ..................
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#2
| |||||
| |||||
| hmmmmmm....... b-) fifaaaaaaaaaaaaaaaa ![]() tehreerein tum bohot hi achii likhne lagi hoo.... andaaz bhi bohot piyara hota hai... aur yeh jis dost aur dosti ke barey main likha hia to aisa ho jaya karta hai.... magar phir bhi bohot kuch ho janay ke ba'ajood kuch logon se dosti itni gehri aur achi hoti hai...... ya shayad us dosti ki jarein itni mazboot hoti hain ke woh hameesha humarey diloon main zaroor rehte hain... @};- khush rahoo....amaeeen
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Quote:
@};-sahi kaha keh kuch loog waqaee aisay bas jaatay hain keh door honay pay bhi paas lagtay hain ![]() bus dua haikeh yeh dosti kabhi khatam na hoo /yhug |
|
#4
| |||||
| |||||
| bohut hii khoob lajawab ayey parda nasheen khatoon kia hii kahney aap key @};- /clap5 @};- /clap5
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
waisay /thanku pasand karnay ka |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
ayteraaz merey khayal mein khatoon pey hoaa hey ;;) |
|
#8
| |||||
| |||||
| Assalam o alikum behna! Din ba din tumhari tehreer main nikhaar aata ja raha hai. Bohat khobsoorat likha hai. Sada mager pur-asar. Thanx for sharing /flowers Aatif
__________________ ![]() ![]() |
|
#9
| |||||
| |||||
| Dilkash Andaz mein Bohat Khoobsurat likha @};-
__________________ ![]() H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain |