It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on *~*~ chand sai batain karna acha lagta haii ~*~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; ~*~ chand sai batain karna acha lagta hai....pehroon tujhe sochtai rehna acha lagta hai tu mere sath hai har pal ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#1
| |||||
| |||||
| ~*~ chand sai batain karna acha lagta hai....pehroon tujhe sochtai rehna acha lagta hai tu mere sath hai har pal har dam phir bhi har pal tujhe khoojtai rehna acha lagta hai ~*~ aaj phir yunhi tumhara khayal aya hai...aap phir yunhi dil kiya is chand sai poochoon tum kaisai ho....kya kar rahai ho...kin sochoon mein hoo kis kai khayaloon mein gum hoo...haan mujhe acha lagta hai yunhi chand sai tumhari batain karna..yunhi tanha bethai is chand ko dekhna acha lagta hai yun lagta hai jaisai ye chand sirf mujhse tumhari batain karnai ata hai...yun mehsoos hota hai jaisai ye tumharai aur mere jazboon ki dastaan ki kahani kehta hai/rose haan ye chand...jis sai mein nai pehroon beth kar tumhari batain ki hain...kabhi chandni raatoon mein sapnai bunai hain...kabhi anai walai paloon ki khawaishain ki hain...kabhi umeed kai diyai raushan kiyai hain kai tum ao gai jald hi ao gao meri zindagi mein sirf mere ban kar...kabhi chand sai gila kiya hai kai tum abhi tak nai ai ho....haan mein is sai sirf tumhari batain karti hoon...kabhi kehti hoon us sai kehna...aaj mujhe us ki bauhat yaad ai hai..aaj mein nai phir aik naya khawab dekha hai aaj phir sapnoon ki sej sajai hai...kabhi kehti hoon us sai kehna mein khafa hoon us sai....woh mujhse khawaboon mein milnai nahi aya hai....kabhi kehti hoon us sai kehna aaj phir mein nai baharoon mein in fizaoon mein usai mehsoos kiya hai aaj phir mujhe us ki chahat lamha lamha mujh mein samai hai.../rose haan ye chand janta hai mere har pal har lamhai ki khabar hai isai...mein jab bhi isai dekhti hoon mujhe yunhi lagta hai jaisai ye muskura raha ho jaisai mujhse keh raha ho pagli ho tum...woh jisai dil sai yun yaad karti hoo woh bhi mujhse yehi batain kehta hai...../rose tumhari batain karta hai bas tumharai khayaloon mein gum pehroon tumhein dekhta hai.....mein kehti hoon dekhta kaisai hain...woh to bauhat door hai to ye chand sirf dheemai sai muskura kar kehta hai...woh tumhein apnai dil mein dekhta hai...tum usai har taraf nazar ati hooo /rose aur mein sirf is chand sai yehi kehti hoon...usai kehna aaj phir woh shaam yaad ai hai woh shaam jis kai har pal mein aik khushi thi jis kai har lamhai mein chahat thi woh shaam jab us nai kaha tah woh mujhse mohabbat karta hai /rose
__________________ |
|
#2
| |||||
| |||||
| Diyaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaa ![]() Shoney yeh Chand say kis ki baatein karti rehti ho ![]() buhat khoobsurat @};- khush raho hamesha ![]()
__________________ Khawab Howay Azaab !! |
|
#3
| |||||
| |||||
| Shayar loag sach main pagal he hotey hein ..! hai na ? ![]()
__________________ ![]() H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain |
|
#4
| |||||
| |||||
| Khoobsurat likha hai @};- |
|
#5
| |||||
| |||||
| /good1 bohat pyara likha hai diya /yhug |
|
#6
| |||||
| |||||
| Wah Kia Likha Hai YAy Chand Waysay Hai Koon Hamko Pahta Bhi Nahi Hai Oor Chand Bahi Pahta Nahi Kaha Saay Aa Ga'ay
__________________ ميں سچے رب كے رستے ميں سو بار لڑوں اور جاں دے دوں پهر لوٹ كے دنيا ميں آوں پهر جام شهادت نوش كروں |
|
#7
| |||||
| |||||
| Bay'chara chaad kaya kaya kuch sun'na parta hai uss ko Kabhi socha kitna bolti rehti hoo.. aab yeah baatain chand say karnay wali theen.. uss nay bata deen kissi ko tu Tareef karnay ke bhi hoo rahee hai tu bata daina... /wink4 |
|
#8
| |||||
| |||||
| Loo jee PM aa gaya humain tu... ye tum kabhi tareef nahi kar saktai aab tu karni paray gi... /hang well joke apart... tareef kay liyeah zaroori nahi tareefi qalmaat istamaal kiyeah jayain.. kahi kabhi aap kuch na keh kay bhi sab keh jatay hain.. aur kabhi kabhi youn bhi hota hai hum kehtay tu bohat kuch hain magar kuch nahi keh paatay... aap ko chand say battain kartay daikh kay woh bhi ehad e guzishta mein guzri ik shaam say wabast ik yaad kay partoo say bandhay aik chand chehra shakhas ke battain humain tu aisay laga jaisay woh khobaroo shehzada mein hee hoon.. par woh jo khair say uss nay kaha woh tu hum nahi hoo saktay hain haan behan bhai mein aisa kuch kaha suna hoo jaye tu uss reference mein agar iss tahreer ko parha jaye tu phir tu hum paish paish hain... /jin1 Khush Rahoo Wa.Salam Basit |