It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~Bara Bhai ~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Be rabt tehreerein , Be had ghumao phirao mein ki gayi batein, Be inteha thakan k bawajood kuch karney ki ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [1] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Be rabt tehreerein , Be had ghumao phirao mein ki gayi batein, Be inteha thakan k bawajood kuch karney ki justujo koi ne deeda ahsaas , aik lagan aik mohabbat aik tashnigi k kayesey kuch ayesa kar sakey k dori ka ahsaas mit sakey gheeron k deees mein beetey har din har lamhey mein kurhta wo shakhs ... jis ki kushada peeshani aur pukhta biyaani k sab mutarif hein.... jissey mohabbat karney k sab dawedaar tehrey ........... apni apni mohabbat ka yaqeen dilaye apni be riya mohabbat ka ... kis cheez ki kami thi us shakhs mein ....baas aik isi cheez ki k wo Mohabbat ka bhooka tha..... apney yaroon azeezon ki mohabbat .... apno ki dori ka dasa hua ..... be taasur cehron, be jaan rishton masheeno k manind insaano k darmiyaan ghira wo Kaanch se dil wala shakhs jiko APNO ki mohabbat darkaar...... lehjo ki mithaas ka bhoka.... watan ki matti ko tarsa hua. ...... jab meedan e amal mein aaya tu apney hi jesey chand logo k liye kuch kaam karney ki laga hui...... kuch soocha kuch mashwarey liye..... aur bil aakhir aik ayesey ghar ki bunyaad dali jis ki bunyaadon mein watan ki khusboo shamil hu .... jis k poor poor se apnagi chalakti hui, saat samandar paar bhi bulkul ayesa waqt guzarney ki khuaahish jesa apney ghar mein maa baap aur behan bayyon k darmiyaan guzra waqt.... wohi behno se shararatein... bhayoon ki cahatein... choti choti zarooriyaat ko barey bhai k maan se poora kartey huey us shakhs ki aankon mein jo chamak aati hu gi .... mehsoos huta hey kyesi hu gi ..... ayesa mahool banana k aik ghar mein jahan sab ki mojodgi zaroori hu baat be baat lartey bhai behno ko samjhana... ayesey roshte jin ko bhai behan ki kami mehsoos huti hu un key saath vesey bartao karna k bhai ki kami bhool jayein.... itni khushi itna maan huna sab ko usper k jesey meelon ki dori k hutey huey bhi apni sab batein usi k saath share karney ki khuaahish dil mein jaag uthey.......... dosrey k ghamon mein ayesey shareek huna jeeesey usko apna gham itna heech dikhayi dey k uski shiddat ka ahsaas rafta rafta zayil huney lagey..... Aik ayesa ahsaas k jis ko deekho koi baat hu doora chala jata hey Bhayya Bhayya deekho choti behan ne ye kiya .... Bhai deekho us bhai ney mujh se ayesey kaha..............aur bara bhai jab sarzish karta hey ...... dono ko galey lagwata hey ... kisi na kisi bahaney koi choti si lalach dey kar......... kabhiii zor dey kar kabhi tawajjuh se ... kabhi pyar se ..... aur jab dono bhai aapas mein apni ranjish bhula kar galey miltey hein tu barey bhai ki nigah aur uska maan ayesey hi barhta hey ... itni khushi uskey room room se photti nazar aati hey jesey uskey haath koi khazana lag gaya hu....... magar jab ye bachey ...chotey behan bhai ,,,,, waqt ki door mein kuch hasil aur kuch talab mein nakami patye hein ..... aur apni aadat k mutabiq usi ki janib nigah uthatey heinnnn... bhai ki aik na karda ya bila irdada ki gayi koi baat per itney sakht rad-e-amal ka muzahira kate hein jesey k pichli sari riyazat rayigan gayiiii... apni zin mein itney madhoosh hujatye hein k dikhtey bhi kuch nahi dikhta..... badgumani k badal nigah walon ki binayi ko zayah kar deetey hein........... Magar ghalti bhi unki nahi.... kabhi bara bahi se koi khuahish ki aur wo na pori hui.... hua hi nahi........ la shaori tor andha eetimaad , aik hukmumrana chai, aik maan k baas ayesa tu hu hi nahi sakta k bhai se farmayish ki jaye aur pori hi na hu ........... kuch aarzo ki hu... cahey kyesi bhi .... aur bhai ne rad kardi hu............ hu hi nahi sakta k bhai bhi ghalti kar sakey.... jisney mazaq mein bhi bhai ko halka phulka tanz mara lagey larney merey bhai ko kuch na kehna ...... aur agar kisi barey ne daant diya tu rotey bhai ki janib aana k bhai usney ye kaha aap ko........... aur bhai ka galon pe behtey aanso'on ko dheerey dherey pyar se ayesey poochna k apni shikayat yaad na rahey ayesey Farishta bhai k daman per koi cheet aye ye kyesey mumkin hey........ inhi andhi mohabbat mein jab badgumani apney an deekhey jaal mein kisi buhat azeez sathi ...buhat hi pyara rishta jissey bhai ko nihayat unss hu ....ussey mohabbat mein shiddat ki had na hu ... kisi wajha se ... kisi badgumani se ... kisi bharkavey se ... kisi anhoni se ... us bhai ki mohabbat per shak kiya jaye ... tu pehley tu bara bahi usko samjhata hey..... kisi aaney wali ghari se jissey us ko andeesha hu k wo choton k liye nuqsaan ka bais hu gi.... tu wohi azeez tareen rishta usi mohabbat karney waley bhai ki mohabbat per shak karta hey.... tu jitni shiddat mohabbat mein huti hey utni hi shiddat uski mukhalfat mein zahir huti hey.....bhaley wo baat us bhai mein hu hi na .... bhaley jo deeekha jo suna jo mehsoos kiya wo ayesa nahi hu....... kabhi kabhi aankhein jo dikhati hein.... kaan jo suntey hein.... halat jo nazar aatey hein wo choton ki nigah mein itney burey hutey hein jitney hutey nahi..... magar jab waqt ki gard chutti hey tu nigah jab deekhney k qabil huti hey tab bhi wo bara bhai hi huta hey jo choton ki arq aalood peechani deekh nahi pata .... aur usko sharmindagi k hissaar se bahar laney ki tag-o-doh karta hey..... kyon na karey wo jo mohabbat ..woh jo unsss... wo jo an deekhi door huti hey ...wo bin kahey ...bin deekhey ... usko be chain kiye deeti hey....... magar chota kya janey k Barey bhai k dil ki kya halat huiiii...wo jo bachpan mein usko piddi per khilata tha....apney hissey ki cheez bhi ley kar chupkey se maa ki nigah se bach kar chotey ko deekar bhooka soojata tha.... uski tapassiya....uski be riyah mohabbat per wohi chota haath chura kar door khara hu gaya tha ....Tabbbbbbbb ...tab us barey bhai k dil ki halat kon janey .......kyesey pal pal ....lamha lamha jeeetey marta tah.... kis tarhan badgumaniyoon k hisaar mein dhudh apney hi laho ko samney patthar uthaye khara deekhta tha.... Apney hi haathon khilaye bachon k hathon se patthar khana kyesa lagta hey.......... Kabhi mehsoos kiya................ ...........@};-
__________________ Ager Muhabbat Pe Bharosa Rahe Na Dunya Main To Koi Shakhs Muhabbat Ka Hosla Na Karay Suna Hay Us Ko Muhabbat Dua'in Daiti Hai Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare |
|
#2
| |||||
| |||||
| Kya kah gya hai ...! kya bol gya hai Salman ..! Bara bhai baap key jasa hee hota hai ... ! baara maan hota hai in barey bhaion per shayad ..! mera toh bara bhai koi nahi tha per haan mujhey bara bhai mil zaroor gya aur usey dekh ker main ney bohat kuch seekha aur phir jab main bara pehley sey hee tha yeh sab seekh ker main ney apney choton per shaayd bohat nahi per kuch toh shafqat ki hee ho gi ...! ajab rishta hai yeh bohat ajab rishta hai ..! tum ney likh ker merey fil ko chuuu liya hai salmaan @};- jeeta rah khush rah abad rah sada
__________________ ![]() H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain |
|
#3
| |||||
| |||||
| Salman Bhai Sadah Khush Rahoo Sahi Kaha App Nai Bilkul Sahi Kaha Jab Aik Shaks Kisi Ko Itna Piyaar Keray Itni Mohabat Keray Oor Uss Ko Apna Sab Kuch Samjay Per Uss Ko Pahta Chalay Kai Jiss Ki Kahter Woo Apna Sab Kuch Nichawar Kernay Per Tiyaar Tha Jiss Kai Gham Ko woo Apna Samjta Tha Jiss Ki Khushi Ko woo Apni Khushi Samjta Tha Woo Uss Ko Aysay Choor Ja ay Ga Kay Uss Ka Mohabat dosti Ah Sab Per Saay Aitabar Uth Ja Ay Ga Quote:
Per Ajj Iss Baat Ko Dill Manay Ko tiyaar Nahi Hai
__________________ ميں سچے رب كے رستے ميں سو بار لڑوں اور جاں دے دوں پهر لوٹ كے دنيا ميں آوں پهر جام شهادت نوش كروں |
|
#4
| |||||
| |||||
![]() Bara bhai... ![]() Dil bara hona chahiyeah... tung hoo tu nazar mein yeah tungi aa jati hai.. phir kuch sahi nahi dikhta.. ![]()
__________________ Baray Udaas Din Hein.. Aur Soogwar Rattein... !! jazboon ka khuda jazba mohabbat naam hai jis ka kaya dhal lafzoon mein sakta hai ? samandar kaya kabhi koi koozay mein samaya hai? |
|
#5
| |||||
| |||||
| bohat acha likha hai /rose
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#6
| |||||
| |||||
| mein kya kahoon salman aap ko is tehreer kai barai mein bauhat hi acha likha hai aap nai /rose lekin aaj kal ki duniya mein shayad ehsaas hi margaya hai..... khush rahiyai ![]()
__________________ |
|
#8
| |||||
| |||||
| bohot hi achi tehreer Wasi... @};- hameesha hi khob likhte hain... khush raheye...
__________________ ![]() |
|
#9
| ||
| |