It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Aik Anjaana Khat.. within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Salam Alikum Dosto... Ap Log samajh rahay hongay kay yahan main apna likha hua koi nasri-mazmoon share kar raha hon.. ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [2] |
|
#1
| |||||
| |||||
| Salam Alikum Dosto... Ap Log samajh rahay hongay kay yahan main apna likha hua koi nasri-mazmoon share kar raha hon.. nahin, balkay yeh aik khatt hai jo mujhay kal Lahore-Pakistan say mosool hua..likhnay walay nay apna naam likha, aur siraf naam likha, na yeh bataya kay mujhay kaisay, kab aur kahan say jana, aur kia jana, mera address kahan say mila, halankay pichhlay 5 barson main london main yeh meri 2 rihaaish-gah hai, iss ka address to shayad hi kissi kay pass ho.. behar haal.. yeh khatt ap doston say share kar raha hon... ![]() " 20-08-2004 ... 11:30 pm Aslama'u'alikum kaisay ho Hashim... Theek rehna, jis haal main bhi wo rakhay ussi main khushh rehna aur meri dua hai kay Allah pak tumhain apnay karam say hamesha sanwaray... Ameen hairaan ho gaey hogay kay yeh baithay bithay tumhain kon khatt likh raha hai aur kyoun likh raha hai.. hai na? hashim! kehtay hain kay dill ki gawahi jhooti nahin hoti hai, to bas bat itni hai kay tumhain suna, parha, bohot achhay lagay, dill nay tumharay haqq main gawahi di, is liyeh aap say baat kar rahi hon, hamain be'hadd mukhtasar waqt mila hai aap say mulaqaat ka, iss ikhtisaar main yaqeenan , uss denay walay ki maslihat hogi.. haina Mohabbat, uss pyaray ka pyara tohfa aur lajawab ne'matt hai, Khamosh sadaaon kay peechay , chup chaap, sir ko jhukaey baitha hua Hashim bohot achha hai, usay sambhaal kar rakhna... be'shakk wo jo kuchh deta hai uss par shukar adaa karna hamara awwaleen farz hai, magar kabhi bhi dua say haath na giraana, us say mangna kabhi na chhorna, mazeed ki tamanna karnay walaon ko hi to wo ataa karta hai, jo dua say haath rok detay hain wo ham hain, laikin jo ataa say haath nahin rokta wo WOH hai... dua ka matlab main nay.. Ashfaaq Baba say seekha, wo kehtay hain... " denay wala, mangnay walay kay samnay pholon ka aik tokra rakh deta hai, kuchh muhizz daikhnay par ektifa kartay hain, siraf daikh kar khush hotay hain, wo duur say dikhata hai, kuchh uss main say aik phool ki khwahish kartay hain wo usay aik GULAAB deta hai, aur jo bohot mangtay hain wo unn ko poora tokra utha kar dey deta hai.. iss liyeh mango to poora tokra mango, main to kehti hon poora baagh mang lo, magar shart yeh hai kay duaain bhi pholon jaisi hon... tumhari kai aik ghazlain, nazmain parhi hain, tumhain suna bhi uss din paltalk par, lehjay ka dheema pann, alfaaz ka asar, talaffuz ki be'baaki, aur aakhar main tumharay alfaaz aur soch, sabhi dill ko bhaey, iss liyeh socha kay aisay lafzon say khailany walay shakhs say lafzon main bat ki jaey.... na meray lafz tum jaisay, na likhnay ka andaaz, bas kabhi kabhi zehan jab kainaat ki wusatoon main kho jata hai na to aankhain dhundhla jaati hain, aur phir jab hosh aata hai to dekhti hon kay safhay par kuchnn likha hota hai .. bas yahi main hon, khushh raho sada tum, hanstay muskuratay raho, dheron mohabbatain, duaain, naik tamannain, mukhlis khwahishaat tumharay liyeh... Allah ap sab ko taa'abad apnay hifz-o-amaan main rakhay Ameen Taalib-e-Dua Dua Go Memoona S. Lahore Pakistan
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#2
| |||||
| |||||
| Issay kehtay hain bad'naam na hoon gai tu kaya naam na hoo ga... /wink4 Paa jee tussi hoon mashoor hoo gai hoo.. kuch karna paray ga taaada... ![]()
__________________ Baray Udaas Din Hein.. Aur Soogwar Rattein... !! jazboon ka khuda jazba mohabbat naam hai jis ka kaya dhal lafzoon mein sakta hai ? samandar kaya kabhi koi koozay mein samaya hai? |
|
#3
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#4
| |||||
| |||||
| (?) (?) HG pe bara ajeeb ajeeb sa kujh honey laga hey bhaaayyyyyyy /bhago |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
/khikhi /khikhi /khikhi /khikhi /khikhi in k carborator may kachra agaya hay /toomuch/toomuch
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#6
| |||||
| |||||
| /rose khat jis nai likha jo bhi likha bauhat hi acha likha aur sach bhi hai....dil mein kisi kai liyai kab jaga ban jai kab kahan kaun bha jai koi nahi janta.....bas in mohabbatoon ko sambhal kar rakhna hashim ![]() khush raho sada /rose aur online ao mujhe baat karni hai tum sai ![]()
__________________ |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
yeh HG say hatt kar hai /grinsmile |
|
#8
| |||||
| |||||
| Quote:
hawwwwwwwwwww |
|
#9
| ||
|