It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~*~aaj phir dil nai dua mangi aaj phir tumhara khayal aya ~*~ within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; ~*~aaj phir dil nai dua mangi aaj phir tumhara khayal aya ~*~ “aaj phir dil nai dua mangi aaj phir ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#1
| |||||
| |||||
| ~*~aaj phir dil nai dua mangi aaj phir tumhara khayal aya ~*~ “aaj phir dil nai dua mangi aaj phir tumhara khayal aya aaj phir ek darr sai dil dharka aaj phir tum par pyar aya…aaj phir ankhoon mein hain sapnai aaj phir ek weham nai dil ko sataya aaj phir tum nai haath thama meri yakeen ko barhaya" aaj na janai kyon dhalti shaam kai sang ye kirnain mujhe kuch ajnabi si lag rahi hain yun lag raha hai jaisai kuch kehna chahti hoon apnai paas bulana chahti hoon na janai kyon aaj purai mahaul par aik sakoot sa hai aik ajeeb si khamoshi kyon yun lag raha hai jaisai har taraf ek khauff sa hai ek darr janai kyon aaj phool bhi murjhai sai lagai hain kaliyaan bhi sehmi si lagi hain janai kyon aaj hawa nai mujhe tumhara paighaam nahi diya kuch nam si lagi hai aaj mujhe is ki shokhiyoon mein ek ajnabiyat mehsoos hui hai janai kyon ajj dil mein hazaar sawaal uthai hain kaye weham jaag gai hain kitni baar tumhein yaad kar kar dua mangi hai mein nai kitni baar meri ankhain nam hui hain kyon akhir tum to jantai ho mein kitni pagli si hoon kaisai mein baat baar par darr jaya karti thi kaisa khadshai dil mein paal laiti thi kabhi tumhari narazgi ka darr kabhi tumhein khonai ka weham kaisai khud kai dil ko har baar samjhati thi kai tum mere ho mere hi raho gai magar phir bhi pagli hoon na mein tum bhi to yehi kehtai ho mujhse kai mein pagli hoon yaad hai tumhein tum nai mujhse kaha tha jab aik baar yehi khadsha mein nai tumhei bataya tum nai kaha tha “mein to tum mein sansain laita hoon tum mein jeeta hoon to tum mujhe kho kaisai sakti ho " aaj bhi janai kab sai mein ye khayal dil mein basai bethi hoon kyon mein ye sab soch rahi hoon kyon dil ko sata rahi hoon dil mein to tum rehtai ho kyon phir mein nahi baat sunti hoon kya tum jantai ho kyon kyon kai mujhe tum sai be inteha mohabbat hai meri sansain tumharai naam sai chalti hain meri dharkan tumharai naam sai dharakti hai jahan be inteha pyar ho wahan darr bhi to hota hai na … haan aaj shaam sai janai kyon mein khabra rahi hoon dhaltai sooraj ki in kirnoon mein kya hai jo mujhe yun tang kar raha hai yehi soch rahi thi kai achanak jaisai kahin sai tum nai mujhe pukara ho “pagli kya soch rahi ho kyon yun udas hogai ho"kya kehti sirf tumhein dekhai gai jo samnai kharai muskura rahai thai tumhari ankhoon mein mohabbat ki shama raushan thi tumharai lehjai mein duniya bhar ki chahat simti hui thi aur tum bas muskura kar mujhe dekh rahai thai …phir tum mere paas akar beth gai aur mera hath thaam kar kaha “meri zindagi tum sai meri har saans tum sai hai bhala mein tum bin kya kuch hoon.. khud ko adhoora mehsoos karta hoon tumharai bina khud ko tanha mehsoos karta hoon tumharai bina laakh jhagrai sahi laakh ranjish sahi magar tum meri ho sirf meri raho gi bin tumharai to mein kuch nahi ..is baat ka hamesha yakeen rakhna meri mohabbat ko tum hamesha apnai sang paoo gi tum bin jee nahi sakta mein kabhi bhi nahi "aur mein tumhari in batoon par imaaan kaisai na laati kaisai yakeen na karti ankhain moond kar tumharai shanai sai sar tika kar tumhein is baat ka yakeen dai diya kai mein bhi sirf tumhari hoon aur tumhari hi rahoongi aur phir jaisai har taraf ujala hogaya ho jaisai har taraf kisi nai raushni kardi aur who khadshai who weham kahin bauhat door mujhe bauhat door lagai who sirf aur sirf tumhari mohabbat kai yakeen sai haan sirf tumhari mohabbat kai yakeen sai meri zindagi mein raushni hai . badgumaani kai badal jab jhat jain to har manzar nikhra nikhra sa nazar ata hai har taraf raushni si mehsoos hoti hai...haan aisa hi mohabbat mein hota hai ehsaas mein hota hai..weham badgumaan kartai hain magar mohabbat gumaan sai kahin zayada khubsurat hoti hai...aisi hi mohabbat mujhe tumse hai aur hamesha rahai gi ![]()
__________________ |
|
#2
| |||||
| |||||
| Wah Buhat Khoob Diya @};- hamesha ki tarah buhat khoobsurat likha hai ![]() buhat sara khush raho @};-
__________________ @};- |
|
#3
| |||||
| |||||
| ZA.....BER....DASTTT TT 3 di api suberb suberb...love it ![]()
__________________ ![]() |
|
#4
| |||||
| |||||
| Quote:
...bas us pe yaqeen hona chaheye....jis pe muhabbat apna maan luta'ti hai...hameesha ki terha bohot hi piyarii tehreer .. khoobsoorat lafzoon main piroii hui.. mootiyoon ki mala jaisi...@};- aisey hi muhabbatoon ke hisaar main rahoo.. :hug3
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
magar mujhe tum jaani pehchaani si lagti ho khush raho ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
thanku bacha is pyari si tareef ka bauhat khush raho aap ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
mein janti thi tumhein yehi para sab sai zayada pasand ai ga sahi kehti ho tum aaina kai mohabbat mein itni taqat honi chahiyai aur hoti bhi hai bas hamein yakeen karna hota hai ![]() bauhat khush raho tum ![]() |
|
#8
| |||||
|