/aoa
In afsaanchon mein bayan karda tamam kirdaar farzi aur khayali hain, kisi kism ki mutabiqat mehaz ittefaqiya hogi jis keliye musannif ya
HG qatan zimmadaar nahin.
"Abhi woh dard baqi hai.."
Pehli nazar mein mujhey bilkul bhi aachhi nahin lagi balkay kuchh hasad mehsoos hua ke us kay aaney sey ghar mein meri markazi hasiat khatam ho gai thi, jisey daikho us ki khatar daarian kar raha hai, bawarchi ho, driver ya ghar waley sabhi ke zubaan par us ka naam tha,aur aik main hi in sab mein wahid banda tha jo us ko tang karney ka koi mauqa haath say na janey deta, par majal jo us sabr ki putli ney koi shikwa kia ho, har sitam hans ke saha,haan kabhi kabhi aesi gehri nazron sey daikhti goya keh rahi ho
"tum" apni waza na badlo ham apni khoo na chhorein gay
subaksar ban ke poochhein gay ke ham se sargiraan kyun ho
"kabhi to tumharey dil mein bhi chahat ka deep jaley ga aur tab tum samjho gey ke muhabbat kya cheez hai", aur phir aesa hi hua, Main! jo apni zaat mein gum rehta tha, us ka aesa aseer hua ke usey deikhey bina chain na aata, kahan to us ka wajood bhi khatakta tha aur kahan yeh haalat ke kabhi baagh mein
ikaththey chehal qami karna to kabhi nehar ke kinarey ke kinarey,bethey ghanton bita dena, zindagi yakdam hi bohat rangeen, bohat khoobsoorat lagna shuroo ho gai
thi, Yeh khushgawaar tabdeeli sabhi ney mehsoos ki,behnein to uska naam ley ley kar mujhey chhairteen,
yaar dost alag nalaan ke unhein waqt nahi de pata, mera sara waqt to ab us ke naam tha, wo thi main tha aur bas!!!
par shayad is muhabbat ko zamaney ki nazar lag gayi aur us ki rawangi ka mazda suna dia gya,meri to rooh pe goya nishtar hi chal gaye,than li ke uski khatir
sarey zamaney sey takra jaaonga,Walid saab ko saaf saaf
keh dia ke woh meri pasand hai,kahin nahi jayegi, par unkey nazdeek yeh sab aarzi baatein thi, meri har baat sakhti se rad kardi gayi,kisi ne bhi meri na suni, aur to aur khud woh bhi meri himayat mein kuchh na boli ke kaheen uski waja sey ghar ka sakoon na kharab ho.
Subh us ney mujhey chhor kar chaley jana tha, yeh raat bohat bhaari thi, main us ke kamrey mein gaya to woh jaag rahi thi shayad mera hi intezaar tha ke aik baar
to milney aayonga,aaj main ney uskey saamney dil khol kar rakh dia,har baat keh dali,woh bhi sar jhukaye chup chap sunti rahi ke phir yeh mauqa mile na mile,
Subha ka sooraj merey liye qayamat ki ghari ley kar aaya ,dunya khush thi
magar mera dil nihayat udaas aur muztarib..."kash kuchh
mojaza ho jaye,kisi tarah waqt ki tanabein kheinch loon aur usey rok loon par"
jaaney walon ko kahan rok saka hai koi
tum chaley ho to koi rokney wala bhi nahin
aur judaai ka woh lamha bhi aan puhncha, shiddat-e-karb sey main ney aankhein band karlein, kesey dikh sakta tha mein us ke galey par qasai ki chhuri chaltey huwe, aah
muhabbat naam hi qurbaani ka hai, yeh baat meri pyari
gaaye
"Chhanno" se barh kar kaun samjha sakta tha.
Allah hafiz