Quote:
|
Originally Posted by Roshni
Aapi Jani /yhug
ek Afsancha meri taraf say bhi :blush @};- Hamna ka chota bhai Aman jitna khoobsoorat aur piyara tha, utna hi nakchira aur laraka bhi .Donon ka apas main ziyada umer ka farq nahin tha is leay noke jhoke chalti hi rehti thi ...us din bhi shayad Aman Humna say ler ker ghar kay samnay walay darakht kay neechay Aa ker baith gaya tha .Bechara Aman aik to wesay hi mood kharab tha uska aur uper say sonay pay sohaga usko satanay wo bhi wahan aan pohnchi ....kabhi daen say a ker chairti to kabhi baen say .......jaisay kaan main kuch kehna chahti ho .........bhala mood bhi ho to Aman ka sunnay wala ....wo bechari apni adat say majboor thi usko kiya maloom tha k janab bezaar baithay hain.............us waqt to Aman ka bas nahin chal raha tha kay sab usay tanha chore dain ..........aur koi usko na sataey ....janay kiya wajha thi jo usko isqadar chirchirahat ho rahi thi ........Magar in madam nay bhi na baaz Aana tha na ai mustaqil usay tang kerti rahi ..........jitna bhi Aman usay peechay dhakailta wo utna hi usay chipatti jati thi ...Gussay aur chirchirahat main Aman nay us per hath bhi uthaya .......magar wo bhi ziddi ki ziddi thi shayad usko Aman kay gussay ka builkul andaza nahin hua werna agar zara bhi samajhdar hoti to baaz a jati uswaqt Aman ki jaan chore deti......bechari wo ......mujhay to us bechari masoom per itna tars a raha tha k bas ab iski shamat ai k ai ...........Nanhi si jaan aur itna ghussa
..........Aman nay bhi chain ka saans na liya jab tak us say jaan na chura li ..............Mar dala bechari Makhi ko ...........Poor street fly
/dontsee |
/aoa
wonderful.....bechaa ri makkhi... ab us ke liye fatiha bhi parh lein, shayad bechari ke gunaahon mein kuchh kami ho jaye /laugh2
Allah hafiz