zindagi nam he ek lamhe ka | | @};- zindage naam hai ek khawab ka
kisee ke aankhoan main bus janay ka kabhee kisee ko kho denay ka
kabhee khud per hans lenay ka kabhee khud per ro denay ka
zindage naam he ek lamhay ka
kisee kay liyay kho janay ka kabhee shaam dhalay ghar janay ka
kisee kay liyay jee lenay ka kabhee kisee kay liyay marr janay ka
zindage naam hai ek naghmay ka
kisee kay liyay gungunanay ka kabhee kisee kay liyay aansoo bahanay ka
kabhee sadiyoun ke piyaas ka kabhee zehar bhara jaam pe janay ka
zindage naam hai kisee ki justaju ka
kisee ko apna bananay ka kabhee kisee say bichar janay ka
kabhee paas ajanay ka kabhee dour kharay haath hilanay ka
zindage naam hai kisee ki chahat ka
kabhee apni khawahisoan ko lutanay ka kabhee aansu churanay ka
kabhee totay khawab sajanay ka kabhee ghamoan per muskuranay ka
zindage naam hai bus zindagee ka ..
kisee ke zindagee ban janay ka kabhee kisee ko tanha choar janay ka
kisee ke liyay zindagee lutanay ka kabhee apni lehad main utar janay ka
zindage .... teray bhee hazar he rang hain ....
@};- |