View Single Post
  #1  
Old 02-01-2004, 12:04 PM
NainTara's Avatar
NainTara NainTara is offline
Aey nazar ki khushfehmi..
 
Join Date: Jul 2003
Location: ...Gehray Sannatey...
Posts: 1,801

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 417
NainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant futureNainTara has a brilliant future
Default ...Mujhey kuch kehnaa hai...


Meray ird girdd bouhat sey chehray hein, aur unn mein ek chehraa bouhat roushan aur bouhat sabeeh hai, joo mujhey be-had azeez hai...mein ney uss chehray sey be-tahaashaa muhabbat ki hai...sab sey ziada...mein ney uss chehray koo aakhri baar 19 january koo daikhaa ...aur aakhri bar awaaz kal shaam 7 baj ker 13 mint per suni... zindagee mein pehli baar uss awaaz mein kapkapaahat mehsoos hui... baat hi na hoo saki kionke 3 mint baad hi phone bey-jaan ho gaya thaa...tab sey ab tak ik musalsal bey-chaini ney ghair rakhaa hai...mujhey woo awaaz be-had umr-raseeda lagi...ya shaayed haqeeqat koo mein ney kal raat tasleem kiya ke "Meray Baba" ab boorhey ho gaey hein... pehli baar judaaee ka waqfaa itna taweel rahaa...kabhi bhi ham itna arsaa door nahin rahey ... mein ney unn koo hamesha apney aass paass hi paaya hai...aur kal raat sey ik khwahish shadeed hoti jaa rahi hai ke mein unn ko abhi iss pal daikhoun .. aur baat keroun ...shayed iss khwaahish ki waja sey hi mein yahaan alfaaz ka sahaara ley rahi hoon ...unn koo mehsoos ker rahi hoon.... mera dhiyaan aahatoun pey lagaa rehtaa hai unn ki ghair moujodgi kay bawjood unn honey kaa ehsaas hai...kal raat sey mousam kharaab hai pichli raat bhi badal aaey thay aur aaj bhi bijli ki karak dil ko sehmaati hai...baarish sab kuch baha ker ley jaana chaahti hai... magar yeh khouf bijli ki karak aur baadloun ki garaj kaa nahin ...ajab waahmey hein...raat be-had taareek hai naa chaand hai na taarey ...

mein unn koo kabhi nahin bataa paaee ke woo meray liyey kia hain...ya shaayed kuch logoun koo ham kabhi bhi nahin bata paatey...
__________________
@};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla
Reply With Quote