shaikh tanzeem | | kahne ko to na darmiyan kuch faasle hamare the
qismat se magar ham tum samandar ke do kinare the aghosh main tera ham ko yoon piyar se chhupa lena hai yaad aaj bhi ham ko jo pal sang guzaare the taarikiyon main gham ki jab ye dil kaanputhta tha raahon main roshni lekar mojud tum sitaare the qismat ki wo kahani thi, ye waqt ka taquaza hai maazi ko bhool jaye ke wo din kabhi hamare the raaton ki teergi main ab ek sada sisakti hai subha ki roshni main kal kuch haseen nazare the |