kya is safar ka koi unt hai? | | janam se leker mout tak bechara!
zaberdasti halaat aurat k pait mein palne k liye majboor kerte hain. phir jab maa ki kokh se woh manoos hojaye tou ose diyaar.e ghair mein dhakeil diya jata hai.
phir diyaar.e ghair mein saansein bahaal hon tou zindagi apni misaal aap mahir hone k bawajoud naye tajarbe kerne lagti hai...
jese is mertaba terbiyut k baad insaan ki kimiyaee saakht, khad.o.khaal ya fitrat badal jaeigi, ya woh insaan se koi khalaii makhlooq ban jaega..halaat insaan k khalaii makhlooq ban.ne ka samaan kerne mein koi kasar otha nahi rakhti...or in tajerbaat k nateeje mein zindagi mout ka tohfa ose deti hai...
waah kya baat hai..!
charagari ka aik bewafa andaaz...
dekha jaye tou ose is taweel thakkawat se mukhti mili lekin tab, jub woh iska bharpoor andaaz mein aadi hogya...
phir aik naye tajerbe ki taraf rawaan dawaan...
tareek, bina dar.o.deewar sa tajarba..
khamoshi...san.nata. ..
zindagi aik safar..!!
mout.! nayi zindagi yani naya safar..nai mussafat..
"kya is safar ka koi unt hai?" |