Re: Dil jahaN tha ...wahaN dard he dard hai...! | | wah kanwal husain wah chon kay tum nazm kaar ho,,is liye hr satr misray ki maanind khobsorat or mutarannam hoti hay,,lafzon ka jado khoob jagaati ho..achi bunat ki hay us din main usay daikhnay gaee thi ,,,or us din kay baad main khud kabhi aaina nahi daikh paae,, issi tarha boht khobsoorat khobsorat satrain tum nay is afsanay main bakhairi hain,,boht maza aaya parh kr or dil say dua hi nikli hay,,sada khush raho tameeri tanqeed kay hawalay say kuch arz karonga kay kaheen kaheen nasar kay bayaniye main kamzoari hay,,jesay pahli satar tum nay likhi,, husn meri hamaisha ki kamzori hay...agar isay isi lahjay main likhain to `ki` kay mutbadil `say` aaiy ga, hamaisha ki koi kamzori nahi hoti,matlab hamaisha kamzor nahi hota..sahi jumla hamaisha say kamzoari banta hay,,,agr isay mazeed adbi rang dain to ye hojaaiy ga,,husn meri daaimi kamzori hay,,,ya or bhi kuch isi tarha kaheen kaheen noak palak sanwarnay ki zaroort hay,,, ye sab is liye kah raha hon kay tum boht aala paaiy ki nasar nigar ho,,or boht acha jumlay bunti ho..jitni bhi daad chaho..wo kam hay..sada khush raho or tarqqi karo |