Re: اس کے بال بکھرگئے | | Assalam'O'Alaikum ..
Tafseer Sahab .. bila shuba aap ki tehreerain bohat shaandaar hain .. lekin iss forum main posting kay kuch asool hain ... yahaan aap aik din main ziyada say ziyada 2 threads post kar saktay hain .. jab kay aap nay aik saath 15 threads post kar diye .. jiss say ho ga ye kay aap kay threads pe proper replies bhi nahi milain gay aur doosron ki posts bhi aglay safhay par chali jaayen geen ...
iss liye please posting kay waqt iss baat ka aainda khayaal rakhiye ga ...
Wassalam ... |