Quote:
Originally Posted by kanwal Hussain Aaj phir Eid palt kr aa gai....loag kehtay hain k abhi kal ki he to bat hai....kal he to ye khushyun bhara din hamari dastrus main tha....kal he to sab gharoN main charaagaN tha ...jashan-e-Eid tha....magr....ye sadyun...jesay pal jeenay walay ya alam-e-barzakh...main nahin hain na......in ka hr din eid he hai....hr khushi ka pal dosaray pal se jura hoa....to ye kab jantay hain k eid.....hr dil main palat kar nahin aati...ye to kabhi kabhi pehli sans se aakhri sans tak bhi ....intzaar ko intazaar he rehnay deti hai....baz gharoN aur diloN k naseeb main chand raat nahin hoti....wo tamaam umer.....intazaar likhtay aur sehtay hoaye jeetay hain jiye chalay jatay hain is aik pal k liye...magr ye nahin milta .....baz hatheliyan...mehndi. ..se chand ...ubharnay ki bajaye..lakh mahir naqash gr honay par..bhi..hath par siyahi he ubhar pati hain..... anchal k palo main khawab k jugno bandhnay walay hath ....anchal ko hawa k hath se bachatay bachatay thak kr choor ho jatay hain....mgr in pr koi jugno koi sitara mehrbaN nahin hota.....eid ki rah main bichanay ko phol chuntay hath khud khizaaN ki zad main aa jatay hain....mgr phir bhi aik aas k sath ....aik umed k sath....zakham zakhm ungliun..ki parwah nahin kartay ....iss aik din k liye ruton ka zulam sahay jatay hain....bahaar ka damnn tham kr iltaja kiye jatay hain k thora ruko.... k eid ko teri zarort hai...teray bina wo na aa paye gi....tum he to os k aanay ki ..pehli khabar tum mat jao ....zara si der to tehro.....bas pal do pal main aanay he wala hai wo pal....jab hamaray hath par aik roshan chand utray ga...aik dhanak rang din ....ka hath thamay....aik roshan raat ki bahoN main bahain dalay magr hota kia hai....in alam-e-barzakh k qadiyun k sath....aasman k aik neelay zehar rang goshay se chamakta khanjar nikalta hai....jo in ki umed k dil main uter jata hai.........aur ye loag.......sab se galay mil k kehtay hain chand raat mubarik.........agr in se koi ye kahay to bass dil par hath rakhay.........sara dard pee jatay hain...sara dard.........aur yun jashan-e-eid main shareek hotay hain....yahi to hain jin ki band muthi main ....aik dagh aur ....hontoN k kanptay goshoN main aah dabi hoti hai....yahi to hain jin k hath phol chuntay chuntay thak kar bay jan hoaye jatay hain ...yahi to hain jin par kabhi koi jugno ya sitara mehrbaN nahin hota......ye hm he to hain. |
very nice sis ........ zabar 10 ....... jee Eid ki atni kubsurat therir ..... maza aygaya phar kar ......... mare sweet sis ko buhat bohat eid mubarak ... or ab doo jalde sey eideeeeeeeee
