
10-03-2007, 07:58 AM
|
 | Senior Members | | | Join Date: Nov 2006
Posts: 1,007
Country: Tutorials:
0 Thanks: 0
Thanked 2 Times in 2 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 427 | |
Re: adhuri haqeeqat | | Quote:
Originally Posted by asma siddiqui bohat shukriya saahir ji,jab tehreer mein haqeeqat shaamil ho to asar rakhtee hai
shayad ye asar kisi kay dil mein utar jaaye shayad koyi kuch behter seekh sakay bus ye hi khwahish hai | aap ki is baat main aik boht ahm baat nikal aae hay,,kay tahreer ka asar kahan gaya?,, aaya kay waqae is doar main tahreer asar rakhti hay? aisay hi chand sawalat ahl e ilm o danish kay haan mazkoor hay,,,ham din bhar main boht kuch parhtay hain,,jo sab ki sab achi achi batain hi hoti hain,,laikin un ka asar boht hi waqti hota hay,,,aap daikhain kitabon pr kitabain likhi chap rahi hain,,din raat tulba apnay schools main parh rahay hain,,,laikin wo jo parhaya jata hay muashray main anzar nahi aata,,, main khud na janay kiya kuch likhta rahata hon,,log boht tareef bhi krtay hain,calls krtay hain ,,tareef main zameen asman aik krdaytay hain,,per us baat ka asar nahi laytay,,, ye itna lamba reply is liye likha kay aaj main bhool chuka tha kay kal main nay aap ki tahreer main kiya parha tha,,aapka reply perh kay dobara tahreer parhi to yaad aaya kay haan har haal main muskaran bhi aik boht bari dolat hay,,,ye to hamara haal hy khush rahain,,likhti rahain or or or |