
09-26-2007, 04:35 PM
|
 | Meri zat Zara Bey Nisha'n | | | Join Date: Jul 2003 Location: KhaaK NasheeN
Posts: 4,082
Country: Tutorials:
0 Thanks: 0
Thanked 1 Time in 1 Post
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 1140 | |
Raaye Shumari Baraye Muqabila E Tehreer | |
As-salam-o-alaikum Dosto!umeed hey sab kheryat sey hongey
is bar muqabla e nasar maah e ramzan k hawaley sey rakha gaya tha..
hasb e sabiq muqablay ke nataaij ka ailaan judges ke mushtarka faislay par mabni hoga...Judges say guzarish hai ke woh 30th September 2007 tak is thread maiN apne faislay say hmaiN aagah karaiN... judges har tehreer ko 1-10 tak marks daiNgay.. aur aakhir maiN tamaam judges ke diye gaye marks ka average kar ke hatmi nataaij ka ailaan kia jayega...
muqabiley main shmil tehreerian hasb e zail hain....
Aagahi By Dua E Sehar
aoa .......!!!Aghi!!!.............
[left] beta..............pa pa ............3 sala Zohaib bhagte huwe papa k gale ja laga aur un se aaise cimat gya jaise jane kitne dinoon bad mila ho................me ri jaan jub koi salam karta hai tu us k jawab main kehte hain aap ko bataya ta na ji papa, tu phir aap bhi kahiye kaise kehte hain." papa " good!bohat aachi baat hai aaj k bad nahi bhoolna,ok!..... ok!............. "mama kahan hain beta"? papa! "mama shawer le rahi hain"...... papa ko bata kar us ne phir se cartoon dekhna suhroo kar diye jo who un k anne se pehle dekh raha ta.use t.v dekhta chor kar unhoon ne ander jane ka iradha kya........... aacha! "aap yaha betho main change kar k ata hoon"..............is wqat 2.30 baj rahe te aur who abhi collage se lote te unhoon ne M.A kar rakha ta aur in dinoon aik collage main pro.te...... kamre main ate hi takhan ka ehsaas huwa tu change kye bagair hi late gaye................ .unhain late huwe abhi kuch hi dair hoi ti k nazi(asl naam tu nazish t mager sub us ko nazi hi kehte te pehle aapne gahr main aur ab sasuraal main bhi sub nazhi hi kehne lage te) wash room se nikli aur unhain dekhte huwe bloi ´a gaye aap ´................... hoon! haan................ . "kya huwa...? "thak gaye hain"..............baloon ko tawal se tahpkte huwe us ne un se pucha jo waqeyi main thake huwe lag rahe te. haan! "aaj kuch zeyada hi thakn ho rahi hai. " "khana lagaoon"..........us ne pucha,"nahi!abhi bus aik cup chaye la do." "khana nahi khayin ge aap." "nahi ! "abhi ji nahi chah raha"............aacha! "main lati hoon." kitchen amin ak juldi se chaye bnai sath main kuch frunch fries bhi tal lye aue kamre main a gayi Hasan!.........who nahi uthe tu us ne dobora awaz di.....Hasan! hoon............chay e le lain! "rakho main abhi hath munah dho kar ata hoon." chaye rakh ker who Zuhain ko dekhne chali ayi jiss ne us ki gair mojoodagi ka faida utathe huwe kamre main udham macha rakha ta. uff!Zaib (who donoon use payar se Zaib hi kehte te) beta"yeh kya gand macha rakha hai aap ne main mana kar k gay ti na aap ko".............us ne bete ki taraf dekhte huwe kaha ,aur us ki baat abhi khatum bhi na hoi k Zaib ne foran se kaan pakar lye aur kaha, sorry! "mama"..aur us ki masoomiyat par who muskura di ...........phir sari chezain sanbal kar use le kar sleeping room main use sulane le gay.......who nahi chahti ti k Hasan disturb hoon. us wqat sham k 4.00 baj rahe te jub us ki ankh khuli ti Hasan abhi tak nahi ute te aur Zaib bhi so raah ta.pehle khud ut k wazoo kya aser ki namaz pari aur phir Hasan ko jagay k who bhi fresh ho jayain.unhain wash room main bhaij kar khud kichen maina gay aur sham k khane ki tarai karne lagi.aaj us k iradha Hasan k favourite palak goshat aur biryani banane ka ta aur sath main Zaib k lye kheer jo k us ko bohat pasand ti.kuch hi dair main Hasan fresh ho kar aye tu ate hi kaha"kuch khane k lye mile ga kya? "aap aser ki namaz parh kar ayain jub tak main chaye banati hoon."juldi se chaye bana do na! plz................. .aurZaib!"nahi uta abhi tak"aapni baat k jawab main yeh rad_e_amal dekh kar use hamesha ki taran un ki is susti per bohat uljhan hoi who namaz k moamle main hamesha se hi susti bart,te te .Hasan ki mazhab se doori use bohat buri lagti ti.jub k un k bar,aks who 5 time namaz parti ti aur subbah quran_e_pak ki tilawat bhi karti aur yeh adat use aapne baba se pari ti who khud bhi namaz aur quraan baqaidgi se parte te aur bachoon ko bhi sakhti se talqeen karte te.yehi wajha ti k who bachpan hi se namaz aur quran pabandi se parhne lagi ti . sirf yehi nahi who bohat suljhi hoi larki ti har kaam main nom.1 ti taleem ho ya ghar ka koi kaam bohat aache tareqe se sar anjam deti ti .graduation k foran bad us ki sahdi ho gay rishte tu us k bohat sare aye te mager us k parents ko Hasan us k lye har taran se mozoon laga Hasan k papa tu kuch arsa pehle hart attack ki wajha se un se bichar chuke te ab ghar main who aur us ki maan(Amna begum) te jo aapne husband (Ahmed9 ki death k bad bohat beemar rehne lagi tin.Hasan khud tu studies copmlete karne k bad collage main job karne lage te aaise main aapne sath maan ka kayal rakhna kabhi kabhi bohat mushkil hota ta khaas tor per un dinoon jub who zeyada bemaar hotin koi khaas bemari tu ti nahi un ko bus who aapne shoher ki wafat ka sadma hi nahi bhool pa rahi tin jiss ki wajha se aye din beemar rehne lagi.Amna begum ne jub dekha k un ki bemaari Hasan ko disturb kar rahi hai tu Hasan se baat ki k ab who shadi kar lain.Hasan jo pehle tu aapni sutdies ki wajha se inkar rahe te ab maan ki halat dekhte huwe inkaar na kar sake aur yoon nazi un k ghar ayi un ki bewi bun kar. ---------------------- Nazi ko aapne sasuraal main set hone main koi khaas mushkil na hoi kyun k aik saas tin jin ko who aapni maan ki taran samjhti ti aur Amna begum bhi us ko betioon ki taran hi payar karti tin un ki aapni beti tu koi ti nahi so ab Naziki shukal main unhain bohat payari beti mil gayi ti who uthte bethte aapne rub ka shukar ada kartin k unhian itni payari aur naik baho mili ti.rahe Hasan who tu us k husan k sath sath us ki khubioon k bhi dildada te. zindagi aachi bhali guzar rahi ti k 6 mah bad hi Amna begum aik raat un donoon ko chor kar chali gayin yoon jaise un ko hasan ki shadi ka hi inetzar ta.kuch dinoon lage te un ko sanbhalne main mager zindagi kisi k jane se kub rukti hai unhoon ne bhi samjhota kar lya.Hasan tu collage chale jateuse ghar main akele time guzarna bohat mushkil lagta ta.phir un ki zindagi main Zuhaib a gaya tu donoon ki khushioon ka koi thikana na raha un donoon ko aapne bete se bohat payar ta.zindagi mukamil lagne lagi ti.
[b][i]Nazi bhi bohat khush ti aapne ghar main sirf is baat ka dukh ta k Hasan mazhab se door te.is k peeche koi khaas wajha nahi ti bus un ki aik ajeeb hi mantiq ti k bande ko sirf us waqt namaz parhni chahye jub who dil se parhna chahe.aur jub Nazi un ko samjhne ki kosish karti tu us ko bhi yehi kehte k jub mera dil mujhe is taraf mail kare ga main bhi namaz parhna shoro kar doon ga bohat kosish k bawjood bhi abhi tak who unhain mazhub k qreeb na la saki ti
ramdan ki amd ti.aur ramadan ki amad Nazi k lye bohat khushi ka bais hoti ti itni barkatoon wala mahina us ko bohat pasand ta waise tu khuda her haal main bande k nazdeek hota ta mager is mah ki rehmatoon aur barkatoon kiaur hi baat ti.
Nazi ne aik din pehle hi Hasan k sath ja kar ramadan k lye sara saman le ayi ti who te hi kitne do loag te tu zeyada mushkil nahi hoti ti.thori cheez bhi bohat hoti ti un k lye.ramdan main Nazi k lye yehi bohat ta k who roze rakhne k sath sath Hasan ko tarveeh bhi kisi na kisi taran parhne masjid bhaij diya karti ti.laikin pabandi se namaz who ab bhi nahi parhte te.khud who namaz aur quran tu pehle hi parhti ti mager ab quran ko aur bhi zeyada time dene lagi ti jub bhi ghar k kamoon se time milta who quran le kar beth jati ti.Zaib ne us ko kabhi zeyada tandg anhi kya ta is lye who aram se aapne rub ki ibadat kya karti ti.aur her namaz main aapne rub se aik hi dua karti ti k Hasan k dil main islam ki muhabbat paida ho jaye.
din guzarte ja rahe te ahista ahista ramadan bhi apne ikhtatam ki janib barh raha ta.
akhri aashre ka 3 roza ta jub Zaib ki tabiyat kharab hoi ti pehle tu halka sa bukhar ta is lye Hasan Doc.Amin ko ghar hi le aye who un k papa k dost te. check karne k bad unhoon ne med likh kar din aur sath main takid ki.
"uncle ise huwa kya hai"Hasan ne pareshani se pucha. Doc. Amin aachi taran se jante k who donoon Zaib se kitna payar karte te chunache us ko tasali dete huwe kehne lage"beta!main ne check kar lya hai aur dawa bhi likh di hai is ko thund lag gai hai aur koi khas baat nahi bus jo medicine main ne likh kar din hain who baqaidgi se dete rehna aur thund se bhi bachana."who baat karte huwe ut kahre huwe, aacha! "ab main chulta hoon aur pareshan na hona koi problem hoi tu mujhe call kar lena, main a jaoon ga."
ji!uncle, mager aap bethiye tu sahi chaye pi kar jaye ga"Nazi ne kaha.
nahi beta!"mujhe abhi aapne dost k haan ajna hai dair ho jaye gi chulta hoon,khuda hafiz." us se hath mila kar aur Nazi k sir per hath phair kar who bahir a gaye.
"khuda hafiz! uncle" Hasan un bahir tak chorne aye te.gate lock kar k jub who ander aye tu Zaib gehri neend so raha ta aur Nazi us k pass bethi us k bal sehla rahi ti.
us ki pareshani ko dekhte huwe us ka dil behlane ko batain karne lage aur phir kuch dair bad so gaye k subbah sehri k lye bhi utna ta.
-----------------------
Zaib ki tabiyat theek tu kay hoti us ka bukhar aur bhi bigharta ja raha ta.aaj doosra din ta Nazi k bohat kayal rakhne k bawjood bhi us k bukhar main koi kami nahi ayi ti.tu us ne Hasan ko phone kya aur Zaib k bare main bataya.Hasan ghar wapsi pe Doc.Amin ko ghar lete aye bache ko check karne k bad un ki pareshani main bhi izafa huwa kyun k jo dawa unhoon ne likh kar din tin who bohat aachi aur moaser ti mager Zaib k bukhar main koi faraq nahi ta.
"kya huwa, uncle! aap pareshan kyun ahi aur Zaib ka bukhar kum kyun anhi ho raha"Hasan ne pucha who aapne bete ki bigarti halat se haqeeqtan pareshan ho gaye te.
beta!"tum aaisa karo k ise hospital le jao wahan complete check up k bad hi pata chale ga k bukhar kum kyun nahi ho raha. wasie tu koi pareshani ki baat nahi laikin ager bukhar ka zor na toota tu yeh pareshani ki baat ho sakti hai."
ji, "mager uncle!is ko huwa kya hai jo bukhar utar hi nahi raha "
Hasan beta! "yeh tu hospital ja k hi batya ja sakta hai."main chulta hoon aur ab dair mat karo juldi se ise hospital le kar ao.
roza khulne main 3 hours hi reh gaye te. jub who ghar se rawana huwe aur adhe gante bad aapni gahri main Zaib ko le kar who hospital aye.wahin jahan Amin uncle ractice karte te.Doc ne chek up k bad us ko admit kar lya.uncle!"sub theek hai na"
Hasan ne pucha tu Doc ne jawab dya............"haan! pareshani ki koi baat nahi is ka bukhar kum nahi ho raha is wajha se admit karna para.aur jub tak is ka bukhar kum nahi hota main ise yahin rakhne ko tarjih doon ga. tum yoon karo,yeh medicine le ao"unhoon ne paper use pakrate huwe kaha.
ji uncle!!main abhi le kar ata hoon."is ka kayal rakhan main abhi ata hoon.Nazi ko takid karte huwe who khud bahir agaye aur jub wapis aye tu un k hath main medicines k sath sath aftari k lye bhi kuch saman ta.kuch dair k bad roza kuhla tu unhoon ne bhi aftari ki bhook tu pehle hi khtum ho chuki ti mager roze ki wajha se kuch na kuch tu khana hi ta.aftari k bad Nazi ko wahin chor kar who ghar a gaye Nazi ne Zaib k kapre lane ko kaha ta.
sehri k lye saman bhi Hasan hotel se ja k le aye te .sehri k bad Hasan Zaib k pass beth gaye aur nazi jaye namaz (jo k Hasan se us ne mangwa lya ta)dal kar namaz ada karne lagi.
------------------------------
Hasan ne phone kar k collage se kuch dinoon ki chuti le li ti .who un dinoon bohat disturb ho gaye te aur waise bhi un k lye un k bewi aur bete se barh kar kuch nahi ta aaisi halat main who collage ja kar bhi aapni tawajah aapne kaam per sahi se na de pate is lye unhain behtar laga k who kuch dinoon ki chuti le lain.
aagle din bhi Zaib ki halat joon ki toon ti.drips lagane k bawjood na tu hosh a raha ta na hi bukhar main koi kami hoiti. jo un k sath sath Doctors k lye bhi pareshan kun ti.Hasan ne aik bar phir Doc se baat ki tu unhoon ne yehi bataya k humari samjh main bhi nahi a raha k koan si wajha se is ka bukhar kum nahi ho raha kyun k koi khaas wajha nahi hai us ki tabiyaat k bigarne k peeche.laikin bukhar ka zor toot hi nahi raha aur na hi us ko hosh a raha hai.mujhe dar hai kahin yeh bukhar is ki jaan na le le.
"yeh ,yeh kya keh rahe hain aap.aaisa kaise ho sakta hai aap tu bohat qabil doctor hain phir mere bete ki bemaari aap ki samjh main kyun nahi a rahi .uncle,plz aap jo kaho ge main who karoon ga mager mere bete ko kuch nahi hona chahye jo cheez chahye aap ko main who la kar doon ga .promise mi,promise mi,k aap mere bete ko kuch nahi hone dain ge."Amin sahab ka hath pakrte huwe who taqreeban ro pare te.Amin sahib jo us ki aapne btet k lye deewangi se waqif te.
unhoon ne bohat payar se Hasan ko samjhte huwe kaha "dekho beta kabhi kabhi hum bhi kuch nahi kar pate bazahir us ko koi khaas problem nahi hai laikin tum dekh rahe ho k us ki tabiyat din ba din bigarti ja rahi hai tum Allah se dua karo bete who bohat karsaz hai tumhari zaroor mada kare ga aur dekhna Zaib bilkul theek ho jaye ga"...............doc.A min yeh keh kar us k lye suchoon k dar wa kar gaye.kyun k us ko aaj tak sub kuch bina mange hi mila ta is lye kabhi khuda se mangne ki zaroorat hi nahi pari ti yeh nahi ta k whokhuda per yaqeen nahi rakhta ta bus us ko her cheez bina mange mili ti is lye khuda se mangna kiss taran jata hai waqif nahi ta............aur aaj 27 shub ti shub_e_qadar ti.us ne aik bar parha ta k ramadan ki yeh shub bohat barkatoon wali shub hoti hai waise tu sara ramadan hi bohat ba barkat hai laikin is shub ki tu baat hi kuch aur ti.un k ander rub se mangne ka ehsaas huwa unhain yaad aya aik bar Nazi ne kaha ta k"khuda aapne bandoon ko azmata rehta hai kabhi bachoon ki azmaish main dalta ahiaur kabhi maal se azmata hai" tub unhoon ne is baat per dehaan nahi dya ta aaj us ki sari batain yaad a rahi tin"Hasan aap us din se darain jiss din aap ko kisi azmaish ka samna karna para aap seh nahi payain ge"..........hasan!khud a ki lathi be awaz hoti hai plz!is se pehle k waqat aap ko azmaye khud hi sanbal jayain aur kuda ka shukar ada karna seekhian us mangna seekhian"aj un sari batoon k sath sath unhain Nazi ki aapne stah be panah muhabbat ka aur bhi zeyada ehsaas huwa ta k who un ki mazhab se doori per kitna pareshan hoti ti........is se pehle k waqat guzar jaye mujhe is ko tham lena chahye unhoon ne nasjid jane ka faisla kya.who kamre main ayr Nazi ko dekha jo Zaib k pass bethi zer_e_lub kuch parh rahi ti unhoon ne Nazi ko bataya who isha ki namaz parhne ja rahe hain us waqt 10.30 ho chuke te aur roza khule kafi dair ho chuki ti.
----------------------
aaj kitne dinoon bad unhoon ne aapne dil se masjid ki taraf qadam barhaye te.waise tu Nzai k kehne per kabhi kabhar masjid a jate te mager jo kafiat aaj ti who is se pehle kabhi nahi huwa ta.masjid khali ti kyun k jamat huwe kafi time guzar chuka ta.unhoon ne wazoo kya aur phir namaz k lye khare ho gaye .namaz parne k bad jub dua k lye hath uthaye tu na jane kahan se otne sare ansoo a gaye te k who rone lage tewho ansoo bete ki muhabbat main beh rahe te ya itna arsa aapne rub se doori per who nahi jante te .un k zehan main sirf yeh at k aaj tak unhoon ne aapne khuda se kuch nahi manga aur aaj pehli bar unhoon ne kuch mangne k lye hath utaye te2ae mere parwardigar ,ae gafoor_o_raheem meri mada kar mujhe aapni nadani aur gaultioon ki muafi mange ki tufeeq ata farma .yaAllah main gunhegar hoon tera ,main itna arsa tujh se anjan bana raha ,kabhi kuch nahi manga tu ne phir bhimujhe ata kay aur bohat ata kya,main is qabil nahi ta .ae mere mabood mujhe muaf kar de main teri azmaish k qabil nahi hoon .ya Allah main aaj pehli bar teri bargah main kuch mangne k lye hath uta raha hoon mujhe namurad na lotana yaAllah aj ki shub tu sub ki jholian brhat hai mujhe bhi ata kar de .main tujh se aapne bete ki zindagi ki bheek mangta hoon yaAllah mera daman aapni rehmat se bhar de main us k bagair nahi reh sakta ha .....yaAllah meri madad kar....is se agge who kuch nahi keh paye te aur rote huwe sajde main chale gaye.olad ki muhabbat bhi insaan ko kiss taran azmati hai who shkahs jiss ne kabhi aapni khushi se namaz nahi parhi ti aaj aapne rub se ro ro kar duain magn raha ta aapni galtioon per nadim ta aur apne rub se rehmat ki umeed lagye huwe ta .........tu who kyun use namurad lotata rub_e_tala ka tu farman hai k"ae bande!tu meri taraf aik qadam barhye ga tu main 10 qadam teri taraf barhoon ga".tu aaj ki shub un ki dua kaise rad hoti jo aapne gunahaoon per nadim te.
kafi dair bad jub unhoon ne sajde se sir utaya tu who gair mamooli tor par pursakoon te un ka pura chehra ansoon se tar ta mager aaj unahin aapne aansoon per koi pashemani nahi ti aaj unhoon ne aapne rub se nazdeek ho kar manga ta.masjid se nikalte huwe unhoon ne aapne aap se ehad kya k ab kabhi koi namaz qaza nahi karain ge pehle hi kafi time who barbad kar chuke hain unhoon ne dil hi dil main aapne ehad per qaim rehne ki dua mangi aur hospital a gaye.
-----------------------------
agli subbah sehri k bad jub who namaz parh kar wapis aye tu Zaib ko thora thora hosh a raha ta unhoon ne foran doc ko bulaya us waqat on duty 2,3 doctors te jin main se aik ko who bula laye. doctor ne Zaib ko check kya us ki nabz check ki jo bilkul normal ho chuki ti jo pichle 2 dinoon se bohat week chal rahi ti.Zaib mukamil tor per hosh main a chuka ta mager naqahat ki wajha se ganoodgi main ta.doctor ne aachi taran mutmain hone k bad unhain kaha "yeh bilkul theek tu nahi laikin pehle se behtar hai is ka bukhar bhi kam ho raha hai aap pareshan na hoon bus aik do din tak bukhar bilkul utar jaye ga tu hum discharge kar dain ge "doctor un se baat kar k aapne room main chala gay mager unhain jaise zindagi ki naveed mil gayi unhoon ne Zaib ka matha chooma aur beikhtiyaar hath uta kar khuda ka shukar ada kya .aaj ager un k bete ko kuch ho jata tu who sari zindagi olad ki khushi se mehroom ho jate kyun k Zaib ki paidaish k waqat kuch problems hoi ti jiss ki wajha se Nazi dobara maan nahi bun sakti ti aur yehi such k who tarthara k reh gaye k ager Zaib ko hosh na ata ya use kuch ho jata tu who donoon kaise jeete.unhain reh reh kar aapni mazhab se doori yaad ayi aur aaj jub pehli bar unhoon ne aapne rub se sidaq-e_dil se kuch manga tu who na murad nahi huwe te.unhoon ne aik bar phir aapne rub ka shukar ada kya aur Zaib ki janib mutwajjah ho gaye jo pani mang raha ta.Nazi tu jub se Zaib ko hosh main aya ta sajde main giri aapne rub ka shukar ada kar rahi ti
--------------------------
aaj aakhri roza ta.ramadan aapni barkatoon aur rehmatoon ko loatne k bad rukhsta ho gay ta kul eid ti. eid ka chand nazar a chuka ta.who loag bhi is waqat eid ki shopping kar rahe te .hospital se agle din hi ghar a gaye te aur Zaib un ki be panah ihteyat ki wajah se bilkul theek at bus kuch kamzori reh gay ti who bhi kuch din main khatum ho jani ti.mager yeh eid Hasan k lye bohat eham balke Nazi k lye bhi kyun k us k shohar ne aapni zindagi ka muqsad pa lya ta who un main ane wali tabdilioon se agah ho chuki ti is lye aap ne rub ki bohat shukar guzar ti k us per aik aur ehsaan huwa ta.use abhi aapne shoher ko yeh yaqeen dilana ta k unhoon ne rah_e_haq ko pa lya hai kyun k Hasan ab bhi isi pareshani main te k unhoon ne aapni zindagi ka bohat hissa bagair kisi muqsad k guzara hai kya who aapni tmama galtioon ka kafara ada kar sakin ge.un ki pareshani ko dekhte huwe us ne aapne apa se aik azam kya "k ab main aap ko bhtakne nahi don gi main aap ka yaqeen banoon gi aur aap ka hath thaam loon gi is se pehle k aap phir se mazhab se door ho jao"........aur Hasan se bhi yehi kaha "dekhain ab tak jo bhi huwa us ko bhoolne ki kosish karain ager aap sanbhal gaye hain tu phir yeh mayoosi kyun hai aap k ander .aur aap ne dekh lya k khuda kitna meharban hai aik bar hi pukarne per us ne aap ko kitni bari khsuhi se nawaza ahi (us ka ishara Zaib ki taraf ta)."haan tum theek keh rahi ho ab main khud kio bahtakne nahi doon ga main ap ne khuda se muafi mangoon ga who mujhe zaroor muaf kar de ga Nazi ki batoon se unhoon ne aapne ander aik sakoon utarta mehsoos kya ta.such main yeh ramadan un k lye bohat mubarik sabit huwa ta.khuda jub nawazne pe ata hai tu phir bohat khub nawazta hai.bus aik qadam barhane ki dair hoti hai rahain khud ba khud khul jati hain. By Handsome Ahmed: Rooza kushai kia hota hay
Ami: jab koi bacha pehla roza rakhta ha apni zindagi ka to us kay liya khas ahtamaam kia jata hay.
Ahmed: chonk ker bola, mera pehla roza? per may to saray rozay rakh raha ho is dafa.
Ami: tum kia samaghtay ho tumhari chalako ka kisi ko pata nahi chlay ga?
Ahmed: masomian say bola kesi chalaki ? ab may nay kia kerdiya?
Ami: may sab janti ho tum nay aik bhi roza sahi say nahi rakha tum chup chup ker pani piya kertay thay
Ahmed: sherminda hoker app ko pata tha?
Ami: ha to kia nahi may tumhari nigrani ker rahi thi
Ahmed: accha!!! yani kal say asli musli wala roza rakhna hoga kia?
Ahmed ki baat sun ker sab hans paray or Ami nay bola kay Ajj tumharay rozay ki nigrani bhi may nahi karo gi balkay waqas or Rabia dono mil ker karain gay takay tumhara roza sahi say rakha jay. Ahmed nay sab kay mouh ko masomiat say dekha or sir hilata hova sonay ko chalagaya. usi waqt rabi or waqas us kay bister kay paas pohanchay or bolay chotay miya namaz kon perhay ga? namaz per may nay to namaz nahi perhi pichlay rozo may... Waqas bola wo rozay bhi kaha rakhay gay thay sahi niyaat sya sab to tum nay toor diya thay chalo jaldi utho or namaz ki tayari karo Abu kay sath hi masjid kay liya nikalna hay. Ahmed baybas tha is liya khara hogaya or wazo kia. Ahmed abu or waqas kay sath masjid ki taraf janay laga or bhi log masjid ki taraf namaz kay liya jarahay thay. namaz perhnay kay baad Ahmed phir sonay laga per us ko Ami nay kaha kay phelay thora sa Quran majeed perh lo. tumhara Quran bhi isi saal khatam hova hay us ka kuch to faida uthao asa na ho sab bhool jay.
Ab suba kay 9 bajay thay Ahmed kafi khush tha. usy is baat ka ahsas hi nahi hova kay sehrmi may kia hova tha wo sab say chup ker pain pinay gaya lakin jesay hi us nay Fridge khula Rabia us kay sar per agai or boli kia ker rahay ho? Ahmed bola wo... may... pa... pani pinay ka sochna bhi mat yaha ki duity meri hay rabia nay hukmarana andaaz may kaha Ahmed dar sa gaya. Ahmed mayoos ho ker wapis bister ki taraf bhera. per waha per phelay say hi Waqas betha tha or wo bola kia hova rooza sonay kay liya hi rakha hay kia ya phir rozay kay kuch faraiz bhi ada kernay hain? faraiz kesay faraiz? yahi Allah ko yaad ker kay Quran or namaz pher ker. chalo ja ker Quran majeed perho... per may nay subah perh lia tha Quran majeed....Accha phir sahi hay Waqas nay atmanan say kaha. Ahmed kay liya din guzarna mushkil ho raha tha. Ami us ki becheni ko samagh gai thi. onho nay Ahmed ko AC on ekr diya or sonay ko kaha Ahmed ki jan may jaan agai . Akhir nanhi si jaan kesay rakhti itnay garm mosam kay rozay.
Zuher ki azaan hotay hi Waqas Ahmed kay paas khara hogaya or usay zoor zoor say utha nay laga chalo jaldi karo namaz ka waqt ho gaya hay jab tak faraiz nahi poray karo gay roza kesay rakho gay. may wazoo ker raha ho jab may ao to bister khali hona chahiya. Ahmed ganodgi may tha aik do mint kay ander hi khara ho gaya or wazo kernay laga jesay hi wo AC walay room sya bahir nikla us ki halat kharab ho gai bahir ka darja hararat 48 ha. usay chaker say anay lagay per thori hi dair may us ki tabiyaat sambhal gai wo namaz perh ker aya to usay shadeed piyaas lag rahi thi per Ajj us ka koi plane kamiaab nahi honay wala tha us nay is baat ko qabool ker liya tha kay ajj waqay hi us ka roza hay.
us kay liya 5 ghantay guzarna mushkil ho rahay thay. neend wo pori ker chuka tha.. bhook say us ka bora haal horaha tha. ghar kay baqi loog ibadat may masroof thay Ahmed nay socha TV dekha jay takay time jaldi say guzar jay. Ahmed TV dekhnay kay liya Room may gaya or TV on ker liya TV ka volume zada tha is liya Rabia ko pata chalgaya kay Ahmed per Shitaan siwaar ho gaya hay wo jaldi say Quran majeed band ker kay TV room may gai or TV band kia. Ahmed nay us ki taraf sawaliya andaaz say dekha rabi nay bataya kay Roza sirf Khana pena band kernay ka name nahi balkay HEr borai sya bachnay ka bhi naam hay. or TV dekhna aik borai hay. ager time guzarna hay to Quran majeed kun nahi perh letay. per may Sehrni may Quran majeed perh chuka ho Ahmed nay jazbati andaaz may kaha . to phr kia hota hay mazeed perh lo tumhay sawab hi milay ga. or Ramzan may to her neki ka sawab bhi 70 gunah zada ho jatahay. Rabia nay samjhanay walay andaaz may Ahmed ko samghatay hovay kaha.
Ahmed Quran majeed perh raha tha bahi 20 mint hi guzray thay Rabi nay Ahmed ki taraf dekha wo gheri neend may tha or Quran majeed khula rakha hova tha. Rabi khari hoi or Quran majeed ko band kia Ahmed ko sotay rehnay diya. Akhir itni germi may jawan admi ko neend ajati hay yeah to phir Ahmed tha or wo bhi bhoka ppiyasa.
Roza khulnay may aik ghanta baqi tha Ahmed ghar may idher udher kay chaker laga raha tha us kay liya mazeed bhoka,,, khas toor per piyasa rehna mumkin nahi tha. dosri taraf bawarchi khanay say laziiz khano ki khashbo arahi thi. Ahmed ko yeah aik ghanta iak sadi say bhi bhari lag raha tha usay samagh nah iara hithi kay akhir kab yeha ghanta khulay ga or wo pani piya ga. bhook or piyaas say us ki shaksiyaat may ajeeb si tabdeeli arahi thi wo taiz taiz chalaynay laga.
Akhir Ahmed ka zoor toot gaya wo zoor zoor say ronay laga or bola may mazeed intezaa nahi ker sakta may mer jao ga ager mughay pani na mila. Ahmed ki halat dekh ekr ghar kay saray loog us kay ird gird jama hogay. Phir Ahmed ki ami nay usay apni baho may bhertay hovay kaha kay bus ab to bus thori hi dair reh gai hay jaha pora din intezaar kia waha kuch mints or ker lo. per ahmed ki samagh may kuch nahi araha tha phir us ki ami nay usay samghaya kay Roza kay maqsad hi Insaan ko Allah ki rehmat ka andaza lagana hay. Ager Allah chahta to hum roza khana kha ker bhi rakh saktay thay. mager wo behter janta hay wo humai nis baat ka ahsas dilana chahta hay kay tumharay kitnay hi Musliman bhai behan bhokay piyasay din guzar tay hain. Ahmed kay ronay k iawaaz ab kaam ho gai thi. Tumhay bhoka rakh ker is baat ka ahsaas dilana hi tha kay apnay dosray muslamano kay baray may bhi socho kay wo log kesay zindagi guzartay hain. kafi garib loog to kai din fakay bhi kertay hian. Ahmed ab chup ho gaya tha us nay ammi ki taraf dekha or bola phir Allah on ki madeed kun nahi kerta hay. Ammi nay jawab diya Allah on ki madeed hamaray zariya hi ker wata hay or is khas mahinay may to on ki madeed kerna lazim bhi hota hay. Ahmed nay kaha wo kesay Ami nay usay bataya kay is mahinay may Saray musalman jo kamatay hain or itni haysiaat rakh skatay ahin kay dosro ki maddeed karain wo madaad gaar logo ko zatak detay hain. Ahmed nay kaha accha to phir hum loog bhi dain gay kia. Ammi nay bataya ha hum loog bhi dain gay or ager jo zakaat nahi deta haysiaat rakhatay hovay bhi to us kay baray may ro hukaam hay kay jihaad karo.
Bato hi bato may pata na chala kay kab roza khul gaya Ahmed nay khajoor say roza khoola or itna pani piya itnay pani piya jesay ajj wo sara samander khali ker day ga. Dheer sara pani pee ker us ki tabiyaat kharab honay lagi usay chalnay may dushwari horahi thi. khana khanay ki gunjaish nahi. AHmed kay ghar walo nay us kay phelay roza rkahnay per us ko gifts diya Ahmed nay qabool ker liya or ja ker so gaya kun kay us kay paas pait ka dard khatam kernay ki koi or sorat na thi.... AIK FERZI ABB BITI
__________________ Kuch Aansoo Kuch KhushiyaaN Dey Kar Taal Gaya
Jeevan Ka Ik Aur Sunehra Saal Gaya ...!!
Meri Zaat Zarra E Bey NishaaN
Mera Ishq Naghma E Bey Nawa
Last edited by Kanwal; 09-26-2007 at 04:39 PM.
|