View Single Post
  #19  
Old 09-20-2007, 10:32 AM
Kanwal's Avatar
Kanwal Kanwal is offline
Meri zat Zara Bey Nisha'n
 
Join Date: Jul 2003
Location: KhaaK NasheeN
Posts: 4,082

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 1 Time in 1 Post
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 1140
Kanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond reputeKanwal has a reputation beyond repute
Default Re: Muqabla-e-Tehreer (Ramzan Special)

Quote:
Originally Posted by handsome View Post
Aslam-e-Alikum!!!
May nay bus asy hi apni taraf sya matlub ferzi khani bana ker likh di hay bari ajeeb si lagi mughay bohat sada hay. inpage may kuch gerbar ho gai thi is liya adhi Roman English may likhi hay



Ahmed: Rooza kushai kia hota hay
Ami: jab koi bacha pehla roza rakhta ha apni zindagi ka to us kay liya khas ahtamaam kia jata hay.
Ahmed: chonk ker bola, mera pehla roza? per may to saray rozay rakh raha ho is dafa.
Ami: tum kia samaghtay ho tumhari chalako ka kisi ko pata nahi chlay ga?
Ahmed: masomian say bola kesi chalaki ? ab may nay kia kerdiya?
Ami: may sab janti ho tum nay aik bhi roza sahi say nahi rakha tum chup chup ker pani piya kertay thay
Ahmed: sherminda hoker app ko pata tha?
Ami: ha to kia nahi may tumhari nigrani ker rahi thi
Ahmed: accha!!! yani kal say asli musli wala roza rakhna hoga kia?
Ahmed ki baat sun ker sab hans paray or Ami nay bola kay Ajj tumharay rozay ki nigrani bhi may nahi karo gi balkay waqas or Rabia dono mil ker karain gay takay tumhara roza sahi say rakha jay. Ahmed nay sab kay mouh ko masomiat say dekha or sir hilata hova sonay ko chalagaya. usi waqt rabi or waqas us kay bister kay paas pohanchay or bolay chotay miya namaz kon perhay ga? namaz per may nay to namaz nahi perhi pichlay rozo may... Waqas bola wo rozay bhi kaha rakhay gay thay sahi niyaat sya sab to tum nay toor diya thay chalo jaldi utho or namaz ki tayari karo Abu kay sath hi masjid kay liya nikalna hay. Ahmed baybas tha is liya khara hogaya or wazo kia. Ahmed abu or waqas kay sath masjid ki taraf janay laga or bhi log masjid ki taraf namaz kay liya jarahay thay. namaz perhnay kay baad Ahmed phir sonay laga per us ko Ami nay kaha kay phelay thora sa Quran majeed perh lo. tumhara Quran bhi isi saal khatam hova hay us ka kuch to faida uthao asa na ho sab bhool jay.
Ab suba kay 9 bajay thay Ahmed kafi khush tha. usy is baat ka ahsas hi nahi hova kay sehrmi may kia hova tha wo sab say chup ker pain pinay gaya lakin jesay hi us nay Fridge khula Rabia us kay sar per agai or boli kia ker rahay ho? Ahmed bola wo... may... pa... pani pinay ka sochna bhi mat yaha ki duity meri hay rabia nay hukmarana andaaz may kaha Ahmed dar sa gaya. Ahmed mayoos ho ker wapis bister ki taraf bhera. per waha per phelay say hi Waqas betha tha or wo bola kia hova rooza sonay kay liya hi rakha hay kia ya phir rozay kay kuch faraiz bhi ada kernay hain? faraiz kesay faraiz? yahi Allah ko yaad ker kay Quran or namaz pher ker. chalo ja ker Quran majeed perho... per may nay subah perh lia tha Quran majeed....Accha phir sahi hay Waqas nay atmanan say kaha. Ahmed kay liya din guzarna mushkil ho raha tha. Ami us ki becheni ko samagh gai thi. onho nay Ahmed ko AC on ekr diya or sonay ko kaha Ahmed ki jan may jaan agai . Akhir nanhi si jaan kesay rakhti itnay garm mosam kay rozay.
Zuher ki azaan hotay hi Waqas Ahmed kay paas khara hogaya or usay zoor zoor say utha nay laga chalo jaldi karo namaz ka waqt ho gaya hay jab tak faraiz nahi poray karo gay roza kesay rakho gay. may wazoo ker raha ho jab may ao to bister khali hona chahiya. Ahmed ganodgi may tha aik do mint kay ander hi khara ho gaya or wazo kernay laga jesay hi wo AC walay room sya bahir nikla us ki halat kharab ho gai bahir ka darja hararat 48 ha. usay chaker say anay lagay per thori hi dair may us ki tabiyaat sambhal gai wo namaz perh ker aya to usay shadeed piyaas lag rahi thi per Ajj us ka koi plane kamiaab nahi honay wala tha us nay is baat ko qabool ker liya tha kay ajj waqay hi us ka roza hay.
us kay liya 5 ghantay guzarna mushkil ho rahay thay. neend wo pori ker chuka tha.. bhook say us ka bora haal horaha tha. ghar kay baqi loog ibadat may masroof thay Ahmed nay socha TV dekha jay takay time jaldi say guzar jay. Ahmed TV dekhnay kay liya Room may gaya or TV on ker liya TV ka volume zada tha is liya Rabia ko pata chalgaya kay Ahmed per Shitaan siwaar ho gaya hay wo jaldi say Quran majeed band ker kay TV room may gai or TV band kia. Ahmed nay us ki taraf sawaliya andaaz say dekha rabi nay bataya kay Roza sirf Khana pena band kernay ka name nahi balkay HEr borai sya bachnay ka bhi naam hay. or TV dekhna aik borai hay. ager time guzarna hay to Quran majeed kun nahi perh letay. per may Sehrni may Quran majeed perh chuka ho Ahmed nay jazbati andaaz may kaha . to phr kia hota hay mazeed perh lo tumhay sawab hi milay ga. or Ramzan may to her neki ka sawab bhi 70 gunah zada ho jatahay. Rabia nay samjhanay walay andaaz may Ahmed ko samghatay hovay kaha.
Ahmed Quran majeed perh raha tha bahi 20 mint hi guzray thay Rabi nay Ahmed ki taraf dekha wo gheri neend may tha or Quran majeed khula rakha hova tha. Rabi khari hoi or Quran majeed ko band kia Ahmed ko sotay rehnay diya. Akhir itni germi may jawan admi ko neend ajati hay yeah to phir Ahmed tha or wo bhi bhoka ppiyasa.
Roza khulnay may aik ghanta baqi tha Ahmed ghar may idher udher kay chaker laga raha tha us kay liya mazeed bhoka,,, khas toor per piyasa rehna mumkin nahi tha. dosri taraf bawarchi khanay say laziiz khano ki khashbo arahi thi. Ahmed ko yeah aik ghanta iak sadi say bhi bhari lag raha tha usay samagh nah iara hithi kay akhir kab yeha ghanta khulay ga or wo pani piya ga. bhook or piyaas say us ki shaksiyaat may ajeeb si tabdeeli arahi thi wo taiz taiz chalaynay laga.
Akhir Ahmed ka zoor toot gaya wo zoor zoor say ronay laga or bola may mazeed intezaa nahi ker sakta may mer jao ga ager mughay pani na mila. Ahmed ki halat dekh ekr ghar kay saray loog us kay ird gird jama hogay. Phir Ahmed ki ami nay usay apni baho may bhertay hovay kaha kay bus ab to bus thori hi dair reh gai hay jaha pora din intezaar kia waha kuch mints or ker lo. per ahmed ki samagh may kuch nahi araha tha phir us ki ami nay usay samghaya kay Roza kay maqsad hi Insaan ko Allah ki rehmat ka andaza lagana hay. Ager Allah chahta to hum roza khana kha ker bhi rakh saktay thay. mager wo behter janta hay wo humai nis baat ka ahsas dilana chahta hay kay tumharay kitnay hi Musliman bhai behan bhokay piyasay din guzar tay hain. Ahmed kay ronay k iawaaz ab kaam ho gai thi. Tumhay bhoka rakh ker is baat ka ahsaas dilana hi tha kay apnay dosray muslamano kay baray may bhi socho kay wo log kesay zindagi guzartay hain. kafi garib loog to kai din fakay bhi kertay hian. Ahmed ab chup ho gaya tha us nay ammi ki taraf dekha or bola phir Allah on ki madeed kun nahi kerta hay. Ammi nay jawab diya Allah on ki madeed hamaray zariya hi ker wata hay or is khas mahinay may to on ki madeed kerna lazim bhi hota hay. Ahmed nay kaha wo kesay Ami nay usay bataya kay is mahinay may Saray musalman jo kamatay hain or itni haysiaat rakh skatay ahin kay dosro ki maddeed karain wo madaad gaar logo ko zatak detay hain. Ahmed nay kaha accha to phir hum loog bhi dain gay kia. Ammi nay bataya ha hum loog bhi dain gay or ager jo zakaat nahi deta haysiaat rakhatay hovay bhi to us kay baray may ro hukaam hay kay jihaad karo.
Bato hi bato may pata na chala kay kab roza khul gaya Ahmed nay khajoor say roza khoola or itna pani piya itnay pani piya jesay ajj wo sara samander khali ker day ga. Dheer sara pani pee ker us ki tabiyaat kharab honay lagi usay chalnay may dushwari horahi thi. khana khanay ki gunjaish nahi. AHmed kay ghar walo nay us kay phelay roza rkahnay per us ko gifts diya Ahmed nay qabool ker liya or ja ker so gaya kun kay us kay paas pait ka dard khatam kernay ki koi or sorat na thi.... AIK FERZI ABB BITI
aapki jitni tehreer inp main thi wo main ney parh li...baki parh k reply karongi....poori hi inp kar deytey to kitna acha hota
__________________

Kuch Aansoo Kuch KhushiyaaN Dey Kar Taal Gaya
Jeevan Ka Ik Aur Sunehra Saal Gaya ...!!


Meri Zaat Zarra E Bey NishaaN
Mera Ishq Naghma E Bey Nawa