Dill bhee pagal tehraa | | Dill bhee pagal tehraa kisi toor sambhaltaa hii naheyn,,,,, laakh bahlaata hoon bahaltaa hii naheyn,,,,saarii anna saarii zidd toor deyta hey kambakht,,,,,,,ehad kiya tha naheyn milna uss sey baat hii naheyn karnii ,,,,laakh wo bulaeyey bhee too sounna hii naheyn,,,,,,,deykhna hii naheyn,,,,,,per kahaan,,,,,haar jaata hoon dill key aagey jeetna bhee chahoon iss sey too naheyn jeet paata,,, beybass hoo jaata hoon,,,,,saarii dooreyn issey thamma kar peechey peechey hoo leta hoon,,,,kath putlii kii tarhaa nachaata rahta hey ,,,,,,jo kahta hey maan leyta hoon,,, daantta bhee rahta hoon issey rooth bhee jaata hey kabhi kabhii,,,,,phir raha naheyn jaata mannana bhee parta hey ajeeb sii kashmakash mein rakhta hey qarrar sey rahneyn hii naheyn deyta beqarrar hii rakhta hey,,,,,muhabbat bharey lufz kaheyn sey mill jaeyn issey too nihaal hoo jaata hey aysey hii khushii sey qulaqaaryaan maarta hey jeysey kisi bachey ko uss kii manpassand cheez mill jaeyey too khush hoota hey,,,,dukh ranj mein joo yeh toot key bikhrta hey zabt saarey khoo kar joo yeh bilak bilak key roota hey too yeh samjheyey naheyn samjhtaa bahlaeyey naheyn bahltaa,,,,,issey udaasii key bhanwar sey nikalney mein kiitney jatan karney partey heyn,,,,samjh hii naheyn aatii keysey khush rakhoon issey,,,,kahaan sey dhoondh key laoon iss key leyey muhabbateyn.
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |