Re: ~MasiHaai~ | | kamal ka afsana likh daala hay sameera aap nay,,,aik kahani main bay sumaar kahaniyan likhi hain aap nay,,wah kiya baat hay,,aik doctor ki kahani jo maseehai ka mareez hay,,aik oraat ki kahani jo wafa ki paikar hay or khamoshi sa jal mari hay,,or aik kahani un doctors ki hay jo ahsaas say aari hain.or aik kahani on lawaris logon ki hay jo mrjatay hain to un ko ronay wala koi nahi hota,, sameera aapki kahani nay ashk ashk krdiya ji,,boht hi maharat or pukhtagi say likhti hainaap,,, albatta kaheen kaheen kuch tafseeli bayanya ki kami hay,,,,laikin kahani ka anjaam boht hi jaandar hay,,aap ko boht saari daad |