Re: '' Maa'n Ka Lams '' ماں کآ لمس | | haya yw aik aisa nukta tum nay uthaya hay jo waqae boht ahmiyat ka haamil hay,,,aaj waqe ham say wo maan ki goad bachar gai hay jis ki aaghosh main mohammad ali johar jesay jurrat nishan bachay janam liya krtay thay,,,,, baat ye hay k hum jesay jesay qanoon e fitrat say door hotay jarahay,,,to wo fitri cheezain jo humain wadeeat ki jaati hain wo bhi usi raftar say hum say door hoti jarahi hain,,,,aisay hi maan ka mamta bhara lams hay,,maan ka lams hi hota hay jo bachay main piyar mohabt or mithas gholta hay,,yehi waja hay k aaj hamaray muashray main saffaki or darindgi barhti jarahi hay,,,,or aik cheez hay baap ka lams,baap ka lams bacha main khud aitmadi paida krta hay,,,aaj wo lams bhi bayzaari or uktaaht ki nazar hochuka hay,,,,mujhay ye parh kr boht tamniyet ka ahsaas huwa k aaj aisay log bhi ahin jo itni bareeki main ja kr sochtay hain,,, |