
05-18-2007, 08:34 AM
|
 | Cloz_Book | | | Join Date: Dec 2004 Location: Spain
Posts: 53,710
Country: Tutorials:
0 My Mood: Thanks: 1,068
Thanked 1,025 Times in 796 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 6868 | |
Re: '' Maa'n Ka Lams '' ماں کآ لمس | | Quote:
Originally Posted by Pehli``Barish haya ji aap nay bilkul theek likha hai, waqai hamaray aaj k jadeed muashray main ab maan bhi kaheen kho gae hai maan ka wo piyar jo fitri hai ab kam kam hota jaraha hai, maon nay bas apni duty banali hai k bas bachay ko waqt per school, kahan, tution,our games k liye time table bana liya hai, bachon ki tarbiyet bhi kuch masheeni si ho kar rah gae hai, maan ka loryan sunana,bachon ka kahaniyan sunana, un ki tarbiyet k liye khud ko aala aikhlaq ka namona bana waghaira ab khtam hota jaraha hai, bas tamam zumadaryan nibha kr soch liya jata hai k unhon nay sahi tarbyet ka haq ada krdiya hai...yehi wja hai k ab bachay jab jawan hotay hain to un k pas taleem to hoti hay lakin aala ikhlaqi trbiyet say mahrom hotay hain...un k andar aik mahromi hoti hai jisay wo mahsos nahi kr patay or yehi bachay hamaray muashray ky bay trteebi ka hissa ban jatay hain haya ji aap nay boht khobsorti say boht ahm nukta uthaya hai jis say hum log aam tor pr ghaflat brat tay hain sada khush rahain our yonhe likhti rahain  | Barish Ji Aap Nay Hamaisha Mairi Howsla Afzaai Ki Hay Owr Is Martaba Bhi Peechay Nahi Rahee'n...Duniya Kay Badaltay Huway Halaat Par Ghowr Karai'n To Kahee'n Na Kahee'n Yeh Kari Milti Nazar Aaey Gi...Maghribi Moaashra Ho Ya Mashriqi... Rishtay Zawaal Ka Shikaar Hai'n...Mujhay Aik Qowl Yaad Aa Jata Hay...
'' Tum Achi Maa'n Mujhay Do, Mai'n Achi Qowm Tumhai'n Doo'n Ga ''
Rishto'n Ki Ghaflat Bouhat Buray Nataaij Murattab Karti Hay...Aap Ko Yeh Tehreer Pasand Aai Mujhay Bouhat Khushi Hui...Bouhat ... Sada Khush Rahiye Aameen... |