Bila unwaan | | Kitnaa taqseem hoo chukka hoon kitneyn hissoon mein batt chukka hoon naheyn jaanta,,,,,,sach yahi hey key apnii shakhseyat khoo chukka hoon,,,,,,khud ko dhoondhtey dhoondhtey khoojtey khoojtey thak giya hoon haar giyaa hoon,,,,,,,sab kuch jaantey boojhtey phir unhii khaar khaar muhabbatoon key taaqub mein jaa raha hoon jin kii paadaash mein yeh jilawatani yeh dar badarii kaat raha hoon,,,,,,,milna hey kisi sey un sey jin key wajood ka hissa hoon,,,,,,jin key hukum sey dar badar bhatak raha hoon un key bina kaheyn sakoon naheyn qarrar naheyn ,,,,yeh aankheyn jinhoon neyn kabhii aansou deykhey hii naa they itna rooeyn heyn key aansou hii naheyn bachey sab kuch sahta challa giya waaqeyey soch aati hey insaan bohut sakht jaan hey,,,,,,itna key har gham har dukh sah jaata hey,,,,,,un sey milna na milna mouqadar kii baat hey imtehaan hey zindagii aik na khtam hooneyn waala musalsal imtehaan,,,,,,jaaney n aagey kia kia kuch likha giya hey naheyn jaanta,,,,,,per koshish haan koshish naheyn choorni mehnat naheyn choorni aur ALLAH jee kisi kii mehnat zaaya naheyn kartey yehi emaan hey mera,,,,,,har waqt apneyn dukhoon ka roona roota rahta hoon kabhii naheyn deykhta key merey RUB ney mujh pey kitney karam kar rakhey hey kia kia ginoon koi had o hisaab hii naheyn,,,,,,aaj poora din aik aayat-e-quraani parhta raha hoon,,,,.jiss ka tarjuma hey. Aur Apneyn Rub Kii Koun Koun Sii Neyamatoon Ko Tum Jhutlaoo Gey. |