Re: '' 23rd March Kay Hawalay Say '' | | aur meraa yeh ek Hindustani musalmaan hone ke naate du'aa hai k Allah is mulk meN ba-qaul Hayaa saaHiba ke saHeeH ma'noN meN Islami nizaam naafiz hoN aur Naz saaHiba ke kahne ke mutaabiq: ek hii saf meN khaRe ho jaayeN MaHmood o 'Ayaaz
na koii banda rahe aur na koii banda-navaaz
ham Pakistan kii falaaH o bahbood ke liye du'aago haiN Allah se k use dunyaa ke tamaam musalmaanoN kii rahbarii kii salaaHiyat aur taufeeq 'ataa farmaaye...aameen. magar uske liye: kii MoHammd [s.a.w.s.] se vafaa tuu ne to ham tere haiN
yeh jahaaN cheez hai kia lauH o qalam tere haiN
+(( aameen +(( summaa aameen +((
Allah Pakistan ko Iqbaal jaisa koii LEADER 'ataa farmaa de jo soii huii qaum ke seene meN sharar phooNk de ...aameen :(
__________________ Khayaal hogaa, junuun hogaa, bahot abhii dil kaa Khoon hogaa bahaar hai door kii Haqeeqat, bahaar rang-e-chaman nahiiN hai Ali Z. Usmani [mere vaalid marHoom] |