Re: '' Dowlat Ya Mohabbat '' | | App ka sawal mujhai zara sa gulat lagha hai Sawal hona chahai tha kai zindagi guzarnai kai laey paisa zarore hai ya Mohbat
kiyon kai izat, shurat, rishtai , natai or paisa yah sub kai sub dolat main he shumar hota hai................
jo logh yah kahtai hain kai paisa zarore hai mohbat nahe kai mohbat sai inssan apni bhook nahe mita sakta to yah kahna Assaan hai kai inssan mohbat kai bagair apna aik pal nahe guzar sakta .,....
Abhe chand din pahlai ki baat hai mairai aik jan nai walai hain jo kai buri tara qarzai main dobai hoai hain .... Apna sub kuch wo farokht kar kai qarza bhar chukai hain but qarza ab bhe hai on kai sar par or ab wo apna Ghar farokhat kar rahai hain main nai on ko sumjhaya kai aysa na karo or jin ko paisa daina hai os ko sumjhao kai wo mahana Qist lai lain to on ka jawab tha kai wo nahe maan rahai hain . main nai kaha kai nahe maan rahai hain to on sai kaho kai jao jo ho sakta hai wo kar lo... or police main aik report likhwalo to on ka jawab tha kai Irfan wo mujhai jaan sai maar dain parwa nahe but maire biwi or mairai 4 bucchai hain Khuda na khuwasita on ko aghar kuch ho gaya to main kahaan jaoon ga ? maire asal dolat to yah hain na @};-
haan nazar zarorr yah ata hai kai inssan paisai kai pechai paghal hain but kahain na kahain aik stage par ja kar inssan ko Ahsass zarorr hota hai kai is bare bhe aik dolat hai os kai pass jis ko wo miss kar raha hai |