Kabhi waqt miley tu batana | | Kabhi waqat tumhien ijazaat de, kabhi lamhoon ki zanjeeroon se azad ho, kabhi dinoon, taqeekhoon, maheenoon aur saaloon ki qaid se bahar niklo tu batana keh tumhairey hisay main ye sab azad, zinda lamhey aur meray daman main murda kuch sansien kuan ayein......hisab kitab nahin mangti, bus kuch sawaloon ke jawab chahiyein, chaalo tum jawab bhi nah dena..bus itna bata deina keh mera muqadar kiya hai aab? saloon pehlay tumhi nay mujhey apney naseeb ki lakeer banya tha aur kaha tha "tera muqaddar main aur hum doonoon ki muqadar yeh hamari muhabbat" .....aaj woh waqt, lamhey meri muthi se bina batai chaley gayey..saal bhi, koi tumharey saath beeta hova din bhi tu wapis mur kar nahin aya..kitna chaha tha main nay un lamhat ko...tum tu b-e-wafai key daag, badnamiyoon key qissey qarar de kar mujhey chaal diye...kiya woh waqt bhi b-e-wafa nikla? kiya uss nay bhi jafa ki? yeh hi shayaed mera muqadaar?
aaj na daman main koi muhabbat, koi wafa hai..
..keh aaj tak tujh se bus b-e-wafai ka gham hi mila hai
....kabhi jo in saloon ka hisar totey...
...kabhi jo waqt pur ke peechey dekhey...
...mujhey bus itna bata deina....
...mera muqaddar kiya hai?
Dua go
Khamoshi
__________________ Silence.....of unspoken words
...............unfor gotten times... |